Asar ki Namaz…

*~Asar Ki Namaz~*

Hazrat Aadam a.a ny asar k waqt gandam ka dana khaya tha jis ke waja sy dunia k qaid khany mein bheij diye gy.
Allah ta’ala ny ummat Muhanmadi S.A.WW pr is waqt namaz farz kr di ta’k is namaz ke barkat sy ummat qaid khany sy nikal kr wapis apny ghar jany ki haqdar ban jaey.

Hazrat Younas a.s machli k pait mein giraftar hoay to 4 andheron ke waja sy ghabra gy…
1. Raat ka andhaira
2. Baadlon ka andhaira
3. dariya ka andhaira
4. Machli k pait ka andhaira
Unhon ny Allah ke baargah mein iltaja ke..
“Tery siwa koe Mabood nahi Too pak hy main zulam krny walon mein sy hon”
Allah ko ko ye faryaad pasand aei or in ko qaid sy rahai mil gi.
Hazrat Younas a.s ny asar k waqt qaid sy reha hony pr shukray k tour par 4 rak’aat namaz ada ki.
Allah ny ummat e Muhammadi S.A.WW pr ye namaz farz farma di ta’k namaz e asar ada krny walon ko 4 andhairon sy nijaat ata kron…
1.. jahalat ka andhaira
2.. kufar ka andhaira.
3.. Qabr ka andhaira.
4.. Qaymat k din ka andhaira

asar ka waqt ehl e dunia k leay apny kaam samaitny ka waqt hota hy aksar log mashgoliat ke waja sy gaflat ka shikar ho jaty hein.

Allah ny asar ke namaz farz farmai ta’ k apny Parwar digaar ko yaad krein or is ki rehmaton sy daman bharein.

Allah pak ka farman hy k,
“Namazon ki hifazat kro bilkhasos asar ke namaz ke”

Hadees pak mein hy k, insan k afaal ke nigrani krny waly din raat k farishty asar k waqt ikhathy hoty hein qabr mein jb nakeeryn sawal k leay aaty hein to aisa lagta hy k jaisy asar ka waqt ho”

Ihsas Atta Ho.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *