Namaz E Ishaa Or Aap S.A.WW Ka Tareeqa…

*~Namaz E Ishaa Or Aap S.A.WW Ka Tareeqa~*

Maghrib k baad aasman par surakh shafq namoudaar hoti hy is k ghaaib hony k baad aik spaidi baqi rehti hy kuch dair k baad yeh bhe ghaaib ho jati hy or tamam aasman yaksaan nazar aany lagtahy or phir ishaa ka waqt shuru ho jata hy jo subah sadiq sy pehly tak rehta hy.

Yeh baat yaad rakhni chahiye k aadhi raat k baad ishaa ka waqt makrooh ho jata hy or swab kam milta hy is leay itni dair kr k namaz nai parhni chahiye. Behtr hy k aik tehaai raat guzarny sy pehly parh li jaye.

Ishaa k mutaliq bohat c ahadees mein takeed aaei hy.

Aap S.A.WW ny frmaya k, “Ishaa ki namaz ka khiyal rakho ummat e Muhammadi ko is baat par fazeelat di gi hy k is sy pehly kisi ny isha ki namaz ada nai ki”

Hazrat Usman r.a sy riwayat hy k Aap S.A.WW ny frmaya k,
“Jis ny ishaa ki namaz jamaat sy parhi goya wo aadhi raat tak ibadat mein masroof raha or jis ny fajar ki namaz jamaat sy ada ki goya wo pouri raat ibadat mein masroof raha”

Hazrat Abu Huraira r.a sy riwayat hy k Aap S.A.WW ny frmaya k,
“Munafiqon par fajar or ishaa sy ziada koe namaz bhari nai agar in dono k swab ka in ko ilm ho jaye tou ghutnon k bal chalty huy aaein”

Ihsas Atta Ho.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *