Namaz k Zaroori Masaail…

*~*Namaz k Zaroori Masaail*~*

*Aourat K Namaz Parhny Ka Mardon Sy Farq*
Aourat ki namaz mein mard ki namaz sy thora farq hota hy.
is kp zehan mein rakhny ki zaroorat hy… shariyat ny namaz aisi ibadat mein bhe is baat ka khiyal rakha hy k aourat sharm o haya ka lehaaz rakhy.

1. Dopata ya chadar sy bghair hath nikaly kandhon tak hath outha kr niyyat kry.

2. Dono hath naaf ki bjaye seeny par bandhy.

3. Daein hath k hathaili baein hath ki hathaili par rakhy mardon ki tarah halqa bana kr kalaai ko na pakry.

4. Rakoou mein itni jhuky k hath ghutno tak pohanch jaein or hathon ki oungliyan mili hue hon.

5. Sajdy mein pait, bazoo, raan or baghal sub ko mila kr rakhy… mardon ki tarah alag alag na rakhy…or kohniyon ko zameen par bicha ly.

6. Sajdy mein dono paoun zameen oar bicha ly or baithty huy dono paoun daein taraf nikal kr baein surain par baith jaye.

7. Kisi bhe namaz mein ounchi aawaz mein qirat na kry bal’k aahesta aawaz mein qirat kry

Ihsas Atta Ho.

*Faraaiz E Namaz*

Arkaan rukn ki jama hy jo batein namaz mein farz hein oun ko rukn kehty hein.


 

*NAMAZ MEIN 6 FARZ HEIN*

1. Takbeer e tehreema yani niyyat bandhty huy Allah o Akbar kehna.

2. Qayam… yani namaz ki niyyat k baad khary hona.

3. Qirat… yani quran pak parhna.

4. Rakoou krna.

5. Har rak’at mein do sajdy krna.

6. Qada e aakhir… yani namaz k aakhir mein at’ta hayat parhny ki miqdar mein baithna.

*NAMAZ MEIN FARZ CHOUT JANY KA HUKAM*

Agar in biyan karda 6 farzon mein sy koe farz chout jaye tou namaz nai ho gi or wo namaz dobara parhni ho gi.
aisy he agar koe jhuky jhuky takbeer e tehreema kahy tou bhe namaz nai ho gi kion k takbeer e tehreema k waqt farz namaz mein seedha khary hona shart hy.

Ihsas Atta Ho.


 

*~*Namaz k Zaroori Masaail*~*

*Mufas’sidat E Namaz*

Jin baton sy namaz tout jati hy oun ko mufas’sidaat namaz kehty hein.

*Mufas’sidaat E Namaz*
1. Namaz mein baat krna… bhol kr ya jaan boujh kr… kam ya ziada har sorat mein namaz tout jaye gi.
2. Namaz mein salam krna ya salam ka jwab daian.
3. Namaz mein kisi ki cheeink par Ya rehmakallah kehna ya kisi dua krty huy ki dua par aameen kehna.
4. Kisi buri khabar par In’na lililah kehna…
kisi achi baat py Alhamd o lilah kehna.
5. Dard ya takleef ki wajah sy aawaz nikalna. 6. Imam k ilawa kisi ko luqma daina yani ghalti btana
7. Namaz mein quran pak daikh kr parhna.
8. Quran pak parhty huy koe aisi ghalti krna k maani badal jaein.
9. Namaz mein koe aisa kaam krna k koe daikhny wala yeh samjhy k namaz nai parh raha.
10. Namaz mein qasdn ya bhouly sy khana peena.
11. Namaz parhty parhty do safon ki miqdar aagy barh jana.
12. Qibla ki taraf sy bila uzar seena phair laina.
13. Sat’tar khul jany ki halat mein itni dair ho jana k namaz ka koe rukn ada ho jaye.
14. Napaak jagah pr sajda krna.
15. Namaz mein koe aisi cheeze maangna k jo aadatan aadmion sy maangi jati ho.
16. Dard ya ranj ki wajah sy is tarah rona k ilfaaz wazeh hon.
17. Baligh aadmi ka namaz mein qehqaha maar kr hansna.
18. Muqtadi ka imam sy aagy barh kr khary hona. Aisi baton sy namaz tout jati hy or is namaz ka lotana zaroori hota hy.

Ihsas Atta Ho.


 

*~*Namaz k Zaroori Masaail*~*

*MAKROOHAT E NAMAZ*

Makrooh wo batein kehlati hein jin k krnyvsy namaz fasid ho jati na hoti magar in k krny sy gunnah hota hy or swab mein kami ho jati hy.

*MAKROOHAT E NAMAZ*
1. Namaz ki halat mein kisi k salam ka hath outha kr jwab daina.
2. Namaz mein kapry smaitna ya oun sy khailna.
3. Tasveer bany kapry mein namaz parhna.
4. Dousri rak’at ko pehli rak’at sy lamba krna.
5. Munh mein koe cheeze rakh kr namaz parhna.
6. Rafa e hajat ki zarooart ho tou ous waqt mein namaz parhna.
7. Namaz mein oungliyan chatkhana.
8. Namaz parhty huy idhar oudhar daikhna.

Ihsas Atta Ho.


 

*~*Namaz k Zaroori Masaail*~*

1. Souraj nikalty waqt, zwal k waqt, gharoub k waqt koe namaz nai parhni chahiye.

2. Fajar ki namaz parh lainy k baa jab souraj ouncha na ho jaye ous waqt tak nafal parhna makrooh hy.
is waqt ki miqdar taqreebn 15 minute hy.

3. Souraj nikalny sy pehly qaza namaz parhna or sajda e tilawat krna darust hy.

4. Subah sadiq ho jany k baad do rak’at sunnat or do rak’at farz yani fajar ki sunnat or farz k ilawa or koe nafal parhna makrooh hy… Albata qaza namaz parh sakta hy or sajda e tilawat bhe kr sakta hy.

5. Zohar ki namaz sy pehly wali chaar moak’kida sunnatein aik salam sy parhni chahiyein…. yani pehly qa’ada mein tash’had k baad darood sharif or dua parhy.

6. Nafal namaz baith kr parhna jaaiz hy lakin baith kr parhny sy aadha swab mily ga.
Baith kr namaz parhny wala rakoo krty waqt itna jhuky k paishani ghutnon ki seedh mei aa jaye.

7. kabhe aik paoun par khary ho kr zoor daina or kabhe dousry par makrooh hy.

8. Ishaa ki namaz parhny sy pehly so jana makrooh hy.

9. Niyyat krty huy hathon ko kaano tak outhana sunnat hy jo koe aisa na kry tou namaz tou ho jaye gi lakin yeh tareeqa khilaaf e sunnat hy.

10. Hr rak’at mein Bismillah parh kr sorat fateha parhy is k baas jab sorat milaye tou bhe Bismillah parhy.

11. Sorat fateha parhny k baad kam az kam aik chouti sorat ya is k brabar aik aayt ya teen choti aayaat parhy.

12. Har rakoo k baad seedha khara hona.

13. Dono sajdon k darmiyan kuch dair baithna… agar zara sa sar outha kr dousra sajda kr liya tou yeh aik he sajda ho ga.

14. Namaz mein qirat ki aawaz itni ho k khud ko sunai dy agar apny kaano mein bhe aawaz na aaei tou namaz nai ho gi.

15. Kisi namaz k leay koe khas sorat apni taraf sy makhsoos krna makrooh hy.

16. Dousri rak’at mein pehli rak’at sy lambi sorat parhna makrooh hy.

17. Agar bohat sari aourtein aik jagah jama hon tou bhe jamaat sy namaz na parhein alag alag parhein.

18. Aourat apny shohar ya kisi mehram k sath jamat kr k namaz parhy tou ous ko chahiye k wo brabar mein na khari ho warna mard ki bhe namaz na ho gi.

19. Mustahib yeh hy k namaz mein qayam ki halat mein apni nigah sajdy ki jagah par rakhein or jab rakoou mein jaein tou paoun par jab sajda krain tou naak par or salam phairty huy kandhon par rakhein.

20. Nama mein agar jamaai aa jaye tou munh ko khoub achi tarah band kr lain…
agar na ruky tou qayam ki halat mein daein hath ki pusht sy or baqi arkaan mein baein hath ki pusht sy rokein.

Ihsas Atta Ho.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *