Namaz k Zaroori Masaail- Namaz e Vitar ka Biyan

*~*Namaz k Zaroori Masaail*~*

*~Namaz e Vitar ka Biyan~*

Ishaa ki farz namaz or sunnaton k baad teen rak’at namaz e vitar aik salam k sath wajib hy. wajib ka darja farz k qareeb qareeb hy is leay agar kisi ki ishaa ki namaz qaza ho gi tou ous k leay yeh hukm hy k farz qaza k sath vitar ki bhe qaza parhy.

Hadees sharif mein hy k “Jis ko is baat ka dar ho k aakhir raat mein tahajad k leay na outh saky tou wo awal raat mein ishaa ki namaz k baad vitar parh ly or jis ko aakhir raat mein outh jany ki umeed ho tou wo aakhir raat mein vitar parhy”

Teesri rak’at mein sorat fateha or sorat parhny k baad rakoou sy pehly Allah o akbar kehty huy dono hath kanoo tak outhaye or phir dobara bandh ly is k baas dua e qanoot aahesta aawaz mein parhy or phir rakoou o sajood or qa’aa kr k salam phair dy.

Ihsas Atta Ho.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *