Namaz k Zaroori Masaail- Vitar K Masaail

*~*Namaz k Zaroori Masaail*~*

*Vitar K Masaail*

1. Agar kisi ko dua e qanoot yaad na ho tou ous ko jald yaad krny ki koshish kry…
jab tak yaad na ho teen martaba
ALLAHUMA MAGHFIRLI
ya aik baar
RABANA AATINA FI DUNIYA HASANTANV WAQINA AZAB’BANAAR
parh liya kry.

2. Agar koe dua e qanoot parhna bhool gya or rakoo mein jany k baad yaad aaya tou rakoou sy wapis khary na hon bal’k sajda e sehv krny sy namaz ho jaye gi.

3. Agar bhool kr pehli ya dousri rak’at mein dua e qanoot parh li tou is ka aitbaar nai… teesri mein dobara parhy is k baad aakhir mein sajda e sehv kry.

4. Agar kisi ny ishaa ki namaz k baad vitar parh liye or aakir shab mein tahajad ki namaz parhi tou dobara vitar parhny ki zaroorat nai.

5. Vitr ki teeni rak’aton mein sorat milani chahiye.

6. Dua e qanoot ki bjaye SUBHANA KALAHUMA parh liya tou namaz ho jaye gi.

7. Agar parhty parhty shuba hua k na maloom yeh dousri rak’at hy ya teesri or kisi taraf ziada guman nai bal’k dono taraf brabar hy tou jis mein shuba ho ousi rak’at mein dua e qanoot parh lain pahir baith kr at’ta hayat parh kr khary ho jaein or aik rak’at or parh kr ous mein bhe dua e qanoot parhein or aakhir mein sajda e sehv kr k namaz mukamal kr dain.

Ihsas Atta Ho.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *