Namaz k Fazaail

*~Namaz K Fazaail~*

Hazrat Haafiz Ibn e Hajar r.a ny Munbihaat mein Hazrat Usmaan ghani r.a sy riwayat kiya hy k…
Jo shakhs aoqaat ke pabandi k sath namaz ke muhafzat kary…
Allah os ka 9 cheezon sy ikraam farmaty hein.
1. Is ko apna mehboob bana laitay hein.
2. Is ko tandurusti atta karty hein.
3. Farishty is ke hifazat kartay hein.
4. Is k ghar mein barkat atta karty hein.
5. Is k chehry par sulahaa jaisa noor zahir hota hy.
6. Is ka dil naram farma daity hein.
7. Roz e mehshar is ko pul siraat sy bijli ke si taizi sy guzarein gy.
8. Jahanum sy nijaat atta farmaein gy.
9. Jannat mein naikon ka sath atta farmaein gy.

Hazoor Nabi Akram S.A.WW ka irshaad hy k… Namaz deen ka satoon hy or is mein 10 khoobiyaan hein.
1. Chehray ke ronaq hy
2. Dil ka noor hy
3. Badan ke rahat or tandurusti ka sabab hy
4. Qabar ka uns hy.
5. Allah ke rehmat outarnay ka zariya hy.
6. Aasmaan ke kunji hy
7. Aamaal namay k tarazu ka wazan hy.
8. Allah ke raza ka sabab hy.
9. Jannat ke qeemat hy.
10. Dozakh sy aarr hy
Algharz ye k…
Jis ny namaz ko qaaim keya os ny deen ko qaaim keya…
or jis ny namaz ko chorra os ny deen ko giraya.

Ihsas Atta Ho.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *