Namaz Ka Ehtamaam

*~Namaz Ka Ehtamaam~*

Quran pak Surat Nisaa mein hy k…
“Beshak namaz emaan walon par apnay waqt mein farz kar di gae hy”
Bandagi ka taqaza tou yehi tha k is aayat k outarnay k baad emaan walay namaz adda karnay mein dil o jaan sy koshish karty…
Lalkin insaani tabiyat duniya ke ranginion mein ghaafil ho jaati hy jab k Allah apnay bandon k leay Meherban Raouf or Raheem hy… Os isi leay Allah ny Quran pak mein ja baja 700 bar sy ziada is ke yaad dehani karaai hy.
Farmaya
“Or namaz qaaim karo”
Namaz ka ehtamaam karna yani…
Ache tara wazu karna… saaf kaprray pahen’na or waqt e mulaqaat ke ehmiyat k hisaab sy dil ke haalat ke taiyari….
Kion k Allah Shahensha e Haqeeqi or insan duniya mein Allah ka khalifa hy.
Namaz dono ke mulaqaat hoti hy is leay moomim is ka khaas ehtamaam karay kion k namaz moomin ke mairaaj hy or isay bojh samajhnay ke bajaey… isay khud par ihsas samajhna chahiye or is ke adaaigi ka khoob ehtamaam karna chahiye.

Ihsas Atta Ho.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *