Namaz kay Maani aur Iski Shaan

*~Namaz k Maani~*

Namaz urdu zaban ka lafz hy…
Shariyat e islami mein is ka matlb hy k aik khaas tarteeb sy Allah ke ibadat karna.
Namaz ko arbi mein Salaat kehty hein.
Arbi lughat k aitabar sy namaz k maani hein…
Dua karna…
tazeem karna…
aag jalaana…
aag mein jana…
aag par garam kar k tairhi lakrri ko seedha karna…etc

Ihsas Atta Ho.


*~Namaz Ke Shaan~*

Namaz ko baki tamaam faraaiz ke nisbat ye imtiyaazi shaan haasil hy k…
tamaan faraaiz k ihkaam zameen par farz keay gaey…
jab k namaz Mairaaj shreef ke raat arsh par ja k farz hoe…
Allah ny apnay Mehboob ko apnay pass bula k khaas ul khaass hazoori mein aamnay saamnay farz ke…
Jis qadar ehtamaam is farz ka hoa… baki faraaiz ka is k asar e asheer bhe nai hoa.

Ihsas Atta Ho.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *