Namaz Ka Aaghaz Takbeer E Tehreema Sy…

*~Namaz Ka Aaghaz Takbeer E Tehreema Sy~*

Dunia k baadshahon ka yeh dastoor hy k jb wo awaam k samny jalwa afroz hony lagein’
Tou pehly majma ikatha hota hy phir baadshah aany wala ho tou aik karinda ounchi awaaz sy kehta hy
Baa adab….
Baa mulahizaa….
Hooo shyaar….
Yeh alfaaz sunty he sb log moadab ho kr istaqbaal krty hein.
Namaaz mein monineen k samny Zaat ILAHEE khud jalwagar hoti hy…

Lehaza..!! Namaz shuru hony sy pehly sb namazi safain bana kr saleeqy tareeqy sy khary ho jaty hein pihr Imam buland awaz sy
ALLAH O AKBAR k alfaz kehta hy ta’k Azmat ILAHEE ka istakhzar hasil ho.
Muktadee bhe
ALLAH O AKBAR k alfaz keh kr adab sy khary ho jaty hein gulamon ke tarha hath bandhy hoay’ nigahein jhukaye hoay dil or Azmat ILLAHEE ka khiyal hota hy.
Chehry pr khof k asaar hoty hein.
Or zaban sy
(ALLAH TOO pak hy) k Alfaz sy Shahenshah e Aalam e Haqeeqi Ke tareefain krny lag jaty hein.

Ihsas Atta Ho.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *