Namaz Mein Qibla Ki Taraf Tawajah…

      *~Namaz Mein Qibla Ki Taraf Tawajah~*

Namaz mein qibla ki taraf tawaja krny sy markaziyat or wahadat naseeb hoti hy agr charon taraf namaz parhny ki ijazat hoti to har shakhs ka rukh juda juda hota, na jamaat ho sakti, na imam hota, na ummat mein markaziyat hoti har taraf intashaar he intashaar hota.
Agar bilfarz qibla ki simt muntakhib na ki jati to namazi k leay ekathy namaz parhna mushkil hota insan preshani ka shikar hota.
jazba Muhabat mein is baat k takaza hy k ya to Mehboob samny ho ya Mehbob ki koe nishani samny ho ta k dil ko sakon mily.
kaba Tullah dar haqeeqat Bait Ullah hy… Allah ki nishanion mein sy hy. lehaza is ki taraf tawajha krny sy youn mehsos hota hy k aik sa’il kisi bary shahensha k darbaar mein hazir hy is k samny adaab e bandagiii baja la raha hy
Hadees pak mein hy k, “sajda krny wala Allah k Qadmon mein sajda krta hy”
Baraaee sirf Allah he ko sajtii hy…
Allah ka farmaan hy k
“Baraaeee meri Chaadar hy”
Allah chahta hy k makhlooq k dil sy takabur nikal jaey or ajzi aa jaey.
Frishton ny takhleeq e Aadam k waqt apny ap ko alaa samjha….
Allah ny “an’na” torny k leay hukam farmaya….
k Aadam a.s ki taraf sajda kro….
jis ny sajda na kia wo hamysha k leay mardood hoa…
ab Aadam a.s k dil mein khiyaal paida ho sakta tha k mein masjoud ul malaaika hon…..
in k “ana” torny k leay Allah ny hukam dea k mati pathar k ghar ki taraf sajda kro….
maloom hoa k asli maqsad Allah k hukam ko pora krna hy…
ye baat zehn nasheen honi chaheay k agar koe shakhs yeh niyat kry k main ka’aba ko sajda krta hon….
k wo shakhs kafir ho jata hy.
ham ny pathar ko nai pojna bal k Allah k hukam ko poora krna hy.apni “an’na” ko torna hy.

Ihsas Atta Ho.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *