Qaza Namazon ka Biyan or Masaail

*~*Namaz k Zaroori Masaail*~*

*~Qaza Namazon ka Biyan or Masaail~*

Islaam ny jis tarah har musalman mard o aourat… aaqil o baligh par paanch waqt ki namaz farz ki hy or ous k mutaliq quran o hadees mein bari takeed ki gi hy… is tarah yeh sahoolat bhe rakh di gi hy k agar itfaqiya tour par kisi majbouri ya shidat e bimari ki wajah sy koe namaz qaza ho jaye tou ous ko chahiye k jaldi koshish kr k ada kr ly.

Piary Aaqa S.A.WW ny frmaya k,
” K agar koe kisi namaz k waqt itfaqan sota reh jaye ya kisi waja sy namz parhna yaad na rahy tou jab yaad aaye foran parh ly”

*QAZA NAMAZ K MASAAIL*

1. Farz namazon or namaz e vitar ki qaza hy sunnaton ki nai.

2. Kisi ki aik waqt ki namaz qaza ho or ous sy pehly ki ous par koe namaz qaza nai ya is sy pehly jo ous k zimmy qaza theein wo sub ada kr deein or ab sirf aik namaz baqi hy tou pehly yeh wali namaz parhy bina qaza namaz ada kiye agli namaz parhna darust nai hy.

3. Qaza namaz siwaye makrooh ouqaat k har waqt parhi ja sakti hy. Makrooh ouqaat teen hein….
a. Taloou e aaftab ka
waqt
b. Zawal ka waqt
c. Gharoub e aaftab ka waqt

4. Waqti namaz ka waqt bohat tang ho yani agar qaza namaz parhein tou ada namaz ka waqr jata rahy ga tou aisi sorat mein pehly ada namaz parh ly phir qaza parhein.

5. Kisi ko janoon ho jaye ya behosh ho jaye or isi halat mein aik din or aik raat guzar jaye tou in namazon ki qaza nai.

6. Ayaam e haiz i nafas ki namazon ki bhe qaza nai.

7. Kisi ny raat ko isha ki namaz k baad vitar nai parhy tou fajar ki namaz parhny sy pehly vitar parh ly ous k baad fajar ki namaz parhy warna fajar ki namaz darust na ho gi.

8. Kisi ko zohar k waqt yeh yaad hy k main ny aaj fajar ki namaz nai parhi is k bawajood zohar ki namaz parh li tou yeh namaz na ho gi
pehly fajar ki namaz parhy phir ous k baad dobara zohar ki parhy.

9. Kisi par aik ya do maah ya saal do saal ki ys is sy ziada namazain wajib hein tou ousy chahiye k jald az jald ada kr ly.

10. Qaza namaz ki niyyat k waqt dil mein yeh irada krna zaroori hy k falan waqt ki namaz parhta/parhti hon… maslan fajar, zohar ya asar ki.

11. Agar kai di ki namazain qaza hon tou din or tareekh muqar’rar kr k namaz parhni chahiye…
jaisy kisi ki hafta, itwar, ya peer ki namazain qaza hon tou youn niyyat krain k main hafta ki fajar ki namaz qaza parhta/parhti hon.
Isi tarah or namzon ka naam ly kr niyyat kry isi tarah agar kai maheeny ya saal ki qaza ho tou maheeny or saal ka naam ly warna namaz sahee na ho gi.

13. Agar kisi ko din, maheena, ya saal yaad na ho tou youn niyyat kry fajar ki jitni namazain mery zima hein oun mein fajar ki pehli namaz qaza parhta/parhti hon.
isi tarah sub namazon ki qaza parhni hy phir jab dil gwahi dy dy k mery zimy jitno qaza namazain theein wo sub parh chuka/ parh chuki tou qaza namazain parhna chor dy.

Ihsas Atta Ho.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *