Shukar – DAY 2

DAY 2

Shukar:

Jo bandon ka shukar adda karta hy… oun ke nawazshon ke shukar or on ke qadar karta hy wohi Allah ka bhe shukar ada karay ga.
Matlab k bandon ka shukar adda karna… Allah ka shukar guzar banda honay ke allamat or maiyaar hai.
Hazrat Usama Bin Zaid r.a sy riwayat hy k…

Piaray Aaqa S.A.WW ny farmaya
“Khuda ka shukar guzar banda wo hy jo logon ka shukar adda karnay wala ho”
Shukar ko Qilaa kaha geya hy or is mein daakhil honay wala shaitaan k hamlay sy bach jata hy.

Shukar or nashukri mein farq ye hy k agr ham Allah ke atta ke naimaton ko Os k pasand k kamo mein istamal karein tou shukar
Or Agar ham Allah ke naimaton ko Os k napasandeeda kamo mein istamal karein tou nashukri.
Jitna hamein Allah ke aashnaai hoti ja rahe hoti hy utna he hamaray andar Allah k sath shukar ka ihsas barrhta jata hy…

Nashukri aur shikway mein sirf woi rehty hein jinhein Allah ka ihsas a aashnaie nai hota.

Nashukray insan ke aik barri nishaani ye hy k… wo museebat mein tou Allah ke taraf raju karta hy par museebat dour hotay he Allah ko bhol kar apne porani rawaish apna laita hy…
Par shukar guzar har khushi ghamm mein Allah k aagay he jhukta hy.
Jitna hamy Allah ki pehchaan hoti jati hai outna hi hamray andr Allah k sath shukar ka ehsas bharta jata hai aur nashukri ka ehsas yani shikway mn sirf woi rehty hein jinhein Allah ka ehsas-e-Ashnaie nai hota. Nashukary insan ki aik bari nishaani yeh hai k musibat mein Allah sy rajouh karta hai aur musibat k dour hony par Allah ko bhool kr apni purani adatain apnaa laita hai.

Hazrat Abu Huraira r.a sy rewayat hai k, Piaray Aqa-E-Dojahan S.A.W.W ny farmaya,” jo logon ka shukar ada nai karta hai wo Allah ka bhe shukar ada nai karta” jis shaks ki adat ho k Wo logon k ehsanaat ko faramosh kar daita ho aur Oun ki naikiyoun ka shukar ada na karta ho wo apni adat k taqazy sy Allah ki naimatoun ki b nashukri karta hai aur shukar ada nai karta.
End.


 

EXERCISE

Q1:-
Fill in the blanks:

(i): Bandoun ka shukr adda karna Allah ka shukr guzar banda hony ki ________ hay.

(ii): Shukr ko _______kaha gia hay or iss men dakhil hony wala shitan ky hamly sy bach jata hy.

Q2 :- MCQ’s :

(i): Jitna hamen ALLAH ki ______ hoti jati hy.utna hamery ander ALLAH ky sath shukr ka Ahsas brhta jata hy.

(a) .muhabbat
(b). Ashnaie
(c). Pehchan

(ii): Shukr guzaar har khushi or gham men Allah ky Agy hi ______ hay.

(a) .dua karta
(b) .jhukta
(c) .bethta

Q3: short Question :

Sawal:
Jab hmy hamari mazri ki cheaz nai mil rhi hoti tu kia hamara dil mili hui naimtoon per shukr aada krta hy ya marzi ki cheaz na milny per shikway shekayat krny lagta hai? Apna jaiza ly kr suchaie k sath shear kryn…


 

ANSWER KEY

Blanks :

1:Aalamt
2:Qilaa

Mcqs : 

1:( c)
2: (b)

Question 3:

Ye sabka apna
jawab hoga.

……..


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *