Step 2 – Arkan e Islam (Day 22)

HAJJ K Maani O Mafhoom

Hajj k lughvi maani irada krna or ziyarat krny k hein.
Shariyat ke istelah mein
hajj sy murad aisi makhsoos ibadat hy jo makhsoos ayaam or ouqaat mein sirf maaldaar or sahib e hasiyat musalman par farz hy jis mein ousy hukm deya geya hy k wo apni zindagi mein kam az kam aik baar khana ka’aba ka qasad kry or ehraam bandh kar zil hajj ke 8, 9, or 10 tareekh ko khana ka’aba ka twaaf kry phir muqadas maqamaat par ja kr sharaee amaal o manasik baja laaye.


 

Hajj Ke Farziyat

Hajj islam k paanch arkaan mein sy aik eham rukn hy.
Deegar arkaan ke tarah is rukn ka munkir bhe kafir hy.
Hajj 9 hijri ko farz hoa or Hazrat Abu Bakar Siddique r.a pehly ameer e hajj thy.
Hajj har aaqil o baligh or sahib e istata’at musalman mard or aourat par zindagi mein aik baar farz hy jo azad ho, ghulam na ho or jismani taor par mazoor o apahaj na ho.
Sahib e istata’at sy murad wo shakhs hy jis k pass safar e hajj or ous safar k doran apny zair e kafalat ifraad k leay zaroori akhrajaat k leay maali wasaail hon.
Hajj ke farziyat k bary mein Allah frmata hy:-
sorat Al-Imran
aayt 97
“Or lpgon par yeh Allah ka haq hy k jo Oss k ghar tak pohanchny ke istata’at rakhta ho wo ous ka hajj kry or jo na maany tou Allah jahan k logon ke parwah nai krta”
Hajj k leay Allah ta’ala ny Hazrat Ibrahim sy farmaya k,
“Or logon mein hajj ke aam nida kr do wo tery pass chal kr or har dubli patli ountni par dour ke musafat tay kr k aaein gy”
Msg 2

Rasool e akram ka irshad e pak hy k,
“Aey logo ! tum par hajj farz keya geya hy lehaza hajj keya kro”.
is hadees sy sabit hota hy k hajj zindagi mein aik baar farz hy, baad mein jitny hajj keay jaein gy wo nafli hon gy.
Haaj krny waly k leay zaroori hy k wo khush haal ho or ous k pass itna maal ho jo hajj k masarif or akhrajaat k leay kafi ho or hajj sy wapis aany tak ous k khandan k oun ifraad k leay kafi ho jin ka naan o nufqa sharan ous k zimy hy.
Hajj karny wala jismani toar par hajj ke qudrat rakhta ho.
ousy koe bimari or jismani maazori na ho.
Baaligh hony sy qabl hajj farz nai hy agar kisi ny bachpan mein hajj kr leay tou ous ka farz ada na ho ga balky baligh hony k baad phir hajj ka fareeza ada krna ho ga.
Bachpan ka hajj nafli shumaar ho ga.
Piary Aaqa S.A.WW ny 10 hijrii mein tamam sahaba k sath hajj frmaya or yeh Aap ka aakhri hajj sabit hoa.


 

Hajj Ke Ehmiyat

Hajj ke fazeelat o ehmiyat sy mutaliq piary Aaqa S.A.WW ka farman hy k,
“Mabool hajj ka badla jannat k siwa or kuch nai”
Aik maqam par Aap S.A.WW ny farmaya,
“Jis ny ous ghar ka hajj keya or ous ny na tou koe shehwani harkat ke or na koe gunnah keya wo hajj kr k lout’ta hy tou aisa hota hy k goya aaj he paida hoa ho”
Hajj ka aaghaz Hazrat Ibrahim a.s k zamany sy hoa.
Yeh arbon ka maqbool or aam shuaar tha.
Safa or Marva k darmiyan dorna Hazrat Hajra ke yaad mein or kankrioon ka maarna or qurbani krna Hazrat Ibrahim o Ismaeel ke yaad mein hy.
is hadees e mubarika sy hajj ke ehmiyat wazeh ho jati hy…
Aap S.A.WW ny farmaya k,
“Jis ko na tou kisi sareeh hajat ny, na kisi zalim ny, or na kisi rokny waly marz n hajj sy roka ho or phir ousny hajj na keya ho or isi halat mein ousy moat aa jaye tou Allah ous sy be zaar hy khaw wo yahoudi ho kr mary ya nasrani”.
Piary Aaqa k is farman sy bhe hajj ke ehmiyat ka andaza lagaya ja sakta hy k,
“Hajj or umrah gunahon ko is tarah saaf kr daity hein jis tarah bhati lohy, sony or chandi k mail or khot ko saaf kr daiti hy or jo Urfaa k din ehraam mein guzarta hy ous ka soraj jab doubta hy tou ous k gunahon ko ly kar doubta hy”.



 

EXERCISE QUESTIONS

MCQ’s /5

1. Haj ky laghvi ma’ani _____ ky hain.
a) Irada karna
b) Ziyarat karna
c) Donon

2. Haj kis maheenae mae parha jata hy?
a) Zil Haj
b) Ramzan
c) Muharram

3. Kon sy Sahabi pehlae Ameer e Haj thae?
a) Hazrat Umar Farooq r.a
b) Hazrat Usman Ghani r.a
c) Hazrat Abu Bakr r.a

4. Haj ke farzeeyat ka zikar kis surat mae hua?
a) Surat Al Imran
b) Surat Falaq
c) Surat Kausar

5. Haj _____ mae aik baar farz kiya gaya hy.
a) Zindagi
b) Saal
c) Maah

Fill in the blanks /5

1. _____ honae sy qabl Haj farz nhe hy.
2. Pyaraay Aaqa S.A.WW ny _____ hijari mae tamam Sahaba Ikraam ky saath Haj farmaya.
3. Bachpan ka Haj _____ shumaar ho ga.
4. Safaa aur Marva ky darmeyan dorna _____ ky yaad mae hy.
5. Haj ka aghaaz _____ ky zamanae sy hua.

True/False /5

1. 8, 9, 10 tareekh ko Khana Ka’aba ka tawaaf karna Haj ka hissa hy.

2. Kankariyon ka marna aur qurbani karna Hazrat Ibrahim aur Hazrat Ismail r.a ky yaad mae hy.

3. Ghulamon par bhi Haj farz hy.

4. Jis ny bachpan mae Haj kar liya ho usae dobara karnae ke zaroorat nhe.

5. Sahib e Istata’at shakhs agar Haj kiye baghair is duniya sy chala jata hy tau us par koi harj nhe.

Short Answer Questions /15

1. Haj sy kya murad hy?
2. Sahib e Istata’at shakhs kon hota hy?
3. Haj ky mutaliq Pyaraay Aaqa S.A.WW ke koi hadees beyan karaein.
4. Kin logon par Haj farz nhe?Koi sy 3 examples daein.
5. Aaj ke maloomat ky barae mae kis kis ko aur kis point par targheeb de ?


 

 

ANSWER SHEET

MCQ’s

1. (c)
2. (a)
3. (c)
4. (a)
5. (a)

Fill in the Blanks

1. Baligh
2. 10
3. Nafle
4. Hazrat Hajira r.a
5. Hazrat Ibrahim r.a

True/False

1. ✔
2. ✔
3. ✖
4. ✖
5. ✖

Short Answer Questions

1. Haj sy muraad aisi makhsoos ibadat hy jo makhsoos ayaam or auqaat mein sirf maldaar aur sahib e hasiyat musalman par farz hy.

2. Sahib e istata’at sy murad wo shakhs hy jis ky paas safar e hajj or ous safar ky doran apny zair e kafalat ifraad k leay zaroori akhrajaat ky liye maali wasail hon.

3. Yeh har aik ka apna jawab ho ga (Upar diye gae msgs mae bhi hadees e mubarika moujood hain)

4.Aisae logon par Haj farz nhe jo:
Beemar Hon
Sahib e istata’at na hon
Na baligh hon

5. Yeh har aik ka apna jawab ho ga.


 

 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *