Step 2 – Arkan e Islam (Day 23)


Manasik E Hajj

Hajj k rasoom o amaal ko manasik kaha jata hy.
Hajj k eham manasik darj zail hein.
Jab koe hajj k irady sy nikalta hy tou Makkah sy kafi dour aik mutaein maqam par pohanch kr jisy “MIQAAT” kehty hein aam istamaal k kapron ke bjaye ehraam baandh leya jata hy.
Ehraam do unsili chadron ko kehty hein.
Mard ky liye aik chadar tehband k tor par baandh li jati hy or douari jism k gird lapait li jati hy.
Ehram baandny sy qabal ghussal ya wazoo keya jata hy phir do rak’at namaz ada ke jati hy.
Yaan sy hajj k nanasik shuru ho jaty hein.
Msg 2

2. TALBEEH
Ehraam baandh kr haji buland aawaz mein tabeeh pukarta hy jis ilfaaz yeh hein…
LABAIK ALLAHUMA LABAIK LABAIK LA SHAREEKA LAKA LABAIK IN’NAL HAMDA WA NAMATA LAKA WALMULK LA SHAREEKA LAKA.
Tarjuma…
Aey Allah main hazir hon, hazir hon, Tera koe shareek nai, main hazir hon, hamd Tery leay hy, naimat Teri hy, baadshahi Teri hy, Tera koe shareek nai.
Labaik ke yeh sada haji ke pukar or vird e zaban ban jati hy. Wo har lamha chalty phirty outhty baithty yeh kalmaat dohrata hy.
Ehraam k baad zaib o zeenat mamnoo ho jati hy. Na amama rehta hy na topi, na baal tarshwa sakta hy na nakhun kaat sakta hy, na khushboo na saban ka istamaal kr sakta hy, mian bivi k khasoosi ta’aluqaat par pabandi lag jati hy gharz yeh k ous ke pouri tawajaa sirf or sirf khaliq e kaainaat par markooz ho jati hy.

3. TWAAF
Twaaf ka maani hy chakar lagana.
Haji khana ka’aba k charon taraf ghoom kr saat chakar lagata hy or duaein maangta hy, yeh goya apny aap ko Allah k saamny paish lrny k mutradif hy.
Haxrat Ibrahim a.s k ehad mein nazar or qurbani k janwar ko qurban gaah k charon taraf phira kar qurban keya jata tha twaaf ousi rasam ke yaad taza krny ka naam hy.
Msg 3

4. ISTALAAM YA HAJAR E ASWAD
Istalaam ka lughvi maani choumna ya chouna ya haath sy ishara krna hy.
Hajar e Aswad ka lafzi maani hy kala pathr jo deewar e khana ka’aba mein nasb hy.
Twaaf ka har chakar khatam hony par is pathar ko bosa deya jata hy.
Agar bosa mumkin na ho tou ous ke taraf ishara kr k haath choum laina kafi hy.
Hazrat umer ny aik baar is pathar ko mukhatib krty hoay kaha tha.
“Aey kaly pathar! main khoob janta hon k tu aik mamooli pathar hy na nuqsan pohancha sakta hy na nafa lakin man tujhy is leay choumta hon k main ny Hazoor S.A.WW ko tujhy choumty daikha tha”.

5. MAQAAM E IBRAHIM
Khana ka’aba ke tameer k waqt jis pathar par khary ho kar Hazrar Ismaeel a.s apny walid Hazrat Ibrahim a.s ko gaara or pathar daity thy osu ko maqam e Ibrahim kehty hein.
Is pathar par Hazrat Ibrahim a.s k qadmon k nishan mojoud hein. Twaaf k baad is maqam k qareeb tareen do nafal ada leay jaty hein jo k wajib hein. Agar qareeb jagah na ho tou harm mein kaheein bhe do nafal ada kr sakty hein.
Msg 4

6. SAFA O MARWA K DARMIYAN SAEE
Saee ka matlab hy taiz qadmon sy chalna…
Ka’aba Tullah k mashraqi janib
mutasil do paharion safa or marwa k darmiyan saat chakar lagany ko saee kaha jata hy.
Yahan Hazrat Hajra r.a Hazrat Ismaeel k leay pani ke talash mein dori theein.
Hajion ko oun ke yaad mein saee krny ka hukm deya geya.

7. ZAM ZAM
Zam zam wo chashma hy jo Hazrat Ismaeel k leay Allah ny jari farmaya.
Masjid e haram mein nal k zariye is chashmy ka paani kae maqamaat tak pohanchaya jata hy. Maqam e Ibrahim par do rak’at nafal ada krny k baad qibla rukh khary ho kar teen saanso mein aab e zam zam peety or dua krty hein.
Jadeed tehqeeq k mutabiq yeh paani aik mukamal ghiza bhe hy or shifa bhe.

8. QAYAAM E MINA
Makkah sy chand meel k faasly par aik bohat bara maidan hy jisy mina kehty hein.
Zilhaj ke 8 tareekh ko haji yahan jama ho kar aik din or raat ka qiyam krty hein is din ko youm ul Tarwiya kehty hein. Phir waqoof e arfaat k baad dobara 10 zilhaj sy 12 zilhaj tak yahan qayam krty hein is doran Rami Jamraat or qurbani krty hein or haji sar k baal mundwaty hein.



 

EXERCISE QUESTIONS

 

MCQ’s /5

1. Ihraam _____ unsee chadron ko kehtae hain.
a) do
b) teen
c) chaar

2. Ehraam bandhnae sy qabl _____ rakat namaz ada ke jateee hy.
a) Char
b) Do
c) Teen

3. Ihraam ky baad zaib o zeenat _____ ho jate hy.
a) Mamnooh
b) Farz
c) Wajib

4. _____ ky ma’ani chakar lagana hy.
a) Tawaaf
b) Ihraam
c) Hajj

5. Haji Khana Ka’aba ky charon tarag ghoom kar _____ chakar lagatae hain.
a) 5
b) 3
c) 7

Fill in the blanks /5

1. Islam ka laghvi ma’ani _____ hy.
2. Tawaf ky har chakar ky mukamal honae par _____ ko bosa diya jata hy.
3. Tawaf ky baad _____ ky qareeb tareen do nafal ada kiye jatae hain.
4. _____ ka matlab hy taez qadmon sy chalna.
5. Makah sy chand meel ky faslae par aik bohat bara maidaan hy jisae _____ kehtae hain.

True/False /5

1. Aab e Zam Zam Qibla rukh baith kar 3 sans mae peena hota hy.
2. Ihraam bandhnae sy qabl ghussal ya wazu nhe kiya jata.
3. Hajar e Aswas ka laghvi ma’ani hy Laal pathar.
4. Haji ko Hazrat Hajra r.a ke yaad mae Saeeh karnae ka hukam diya gaya hy.
5. Jadeed tehqeeq ky mutabiq Aab e Zam Zam aik mukamal ghaza bhi hy aur shifa bhi.

Short Answer Questions /15

1. Manasik e Haj sy kya murad hy?
2. Hajr e Aswad ky mutaliq Hazrat Umar Farooq r.a ka farmaan likhaein.
3. Saeeh kisae kehtae hain ?
4. Qiyaam e minaa par Haji kya kartae hain ?
5. Aaj ke maloomat ky barae mae kis kis ko aur kis point par targheeb de ?


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *