Step 2 – Arkan e Islam (Day 24)

 Hajj Continued 

Msg 5

9. WAQOOF E ARFAAT
9 zilhajj ko hajiii mina sy arfaat k maidan mein jaty hein. Is din ko youm e Urfa kehty hein. yahan tamam haji zwaal e aaftaab sy ly kar gharoob e aaftab tak duaon mein masroof rehty hein.
Arfaat Makkah Mukarma sy choda meel k faasly par aik wasee o areez maidan hy.
Jabl e rehmat isi maidan mein hy. Yaheein jabl e rehmat k pass khary ho kar ameer e hajj hajj ka khutba daity hein.
isi pahar k pass Piary Aaqa S.A.WW ny khutba haja tul wida irshad farmaya.
Hazrat Aadam i Hawa a.s ke yaheein dobara mulaqaat hoe thee.
Waqoof e arfaat he asal hajj hy jo is sy reh geya wo hajj sy reh geya.
Maghrib k waqt namaz parh kar hajji yaha sy rawana ho jaty hein.
Waqoof arfaat hajj ka rukan e aazam hy.
Msg 6

10. QAYAM E MUZDALFA

Muzdalfa ka mina or arfaat k darmiyan hy.
Arfaat sy tamam haji maghrib sy pehlae rwana hoty hein or phir muzdalfa k maqaam par qayam krty hein. is maqam par maghrib or ishaa ke namazain ikathi ada ke jati hein.
Taloo e fajar k baad yahan sy rwangi hoti hy yehi jagah hy jahan Masjid e Haraam waqea hy.

11. RAMI JAMRAAT
Maidan e mina mein teen stoon nasb hein ounhein jamaar ya jamaraat kaha jata hy. Hujaaj teen din 10 sy 12 zilhaj tak yahan rami karty hein yani in satoonpn ko saat saat kankriyan maarty hein. Hazrat Ibrahim yahan jab Hazrat Ismaeel ko qurbani k leay ly kar aaye tou in maqamaat par shaitan ny aap a.s ko is ziba sy rokny ke koshish ke tou aap a.s ny ousy kankar maary. Rami jamraat isi waqiya ke yaadgaar hy.
Msg 7

12. QURBANI
10 zilhaj ko haji mina mein qurbani krty hein is k baad haji sar mundwata ya baal katwata hy.
Isy Halq kaha jata hy.
is k baad ehraam ke pabandi khatam ho jati hy.

12. TWAAF E ZIYARAT
Mina mein 10 zilhajj k baad do din qayam krna sunnat hy is k baad haji k leay 10, 11 or 12 zilhaj ke shaam tak twaaf krna zaroori hy is ko twaaf e ziyarat kaha jata hy.
Yeh hajj ka teesra eham rukn hy.

13. TWAAF E WIDAA
Mina sy farigh ho kar haji 12 ya 13 zilhaj ko haji wapis Makkah aa jaty hein.
Ab hajj mukamal ho geya.
Makkah sy rwangi sy qabl phir khana ka’aba ka twaaf keya jata hy jisy twaaf e widaa kaha jata hy.



 

EXERCISE QUESTIONS

 

MCQ’s /5

1. Zil Haj ko Haji Mina sy _____ ky maidaan mae jatae hain.
a) Arfaat
b) Aafat
c) Aftab

2. _____ ky paas Pyaraay Aaqa S.A.WW ny Khutba Hajaa tul Wida Irshad farmaya.
a) Jabl e Rehmat
b) Saeeh
c) Mina

3. _____ he asal Haj hy.
a) Tawaaf
b) Waqoof e Arfaat
c) Zam Zam peena

4. Maidan e Mina mae _____ satoon nasb hain.
a) 5
b) 3
c) 1

5. In satoonon ko _____ kankariyaan mare jate hain.
a) 9
b) 8
c) 7

Fill in the blanks /5

1. 10 Zil Haj ko Haji Mina mae _____ kartae hain.
2. Mina mae 10 Zil Haj ky baad 2 din qiyaam karnaa _____ hy.
3. _____ Haj ka teesra eham rukan hy.
4. Makah sy rawangi sy qabl _____ kiya jata hy.
5. 9 Zil Haj ky din ko _____ kehtae hain.

True/False /5

1. Aarfaat Makah Mukarma sy 15 meel ky faslae par aik waseeh o areez maidan hy.
2. Hazrat Aadam o Hawa r.a ke Jabl e Rehmat ky qareeb mulakat hue.
3. Muzdalfa ky maqaam par asar aur maghrib ke namazaein akathee ada ke jatee hain.
4. Hajaj 5 din tak Maidan e Mina mae Ramii kartae hain.
5. 9 Zil Haj ko Haji sir mandwatae ka baal katwatae hain.

Short Answer Questions /15

1. Waqoof e Aarfaat ky doran Haji kya kartae hain ?
2. Rami Jamaraat kis waqeya ke yaad gaar hy?
3. Tawaf e Zeyarat kab aur kahaan kiya jata hy ?
4. Tawaf e Wida kab aur kahaan kiya jata hy ?
5. Aaj ke maloomat ky barae mae kis kis ko aur kis point par targheeb de ?


ANSWER SHEET

MCQ’s

1. (a)
2. (a)
3. (b)
4. (b)
5. (c)

Fill in the Blanks

1. Qurbani
2. Sunnat
3. Tawaf e Ziyarat
4. Tawaf e Ziyarat
5. Youm e Aarfaat

True/False

1. ✖
2. ✔
3. ✖
4. ✖
5. ✖

Short Answer Questions

1. Yahaam sarae Haji zawal e aftaab sy lae kar gharoob e aftab tak duaon mae masroof rehtae hain.

2. Hazrat Ibrahim yahan jab Hazrat Ismaeil ko qurbani k leay ly kar aaye tou in maqamaat par shaitan ny ap a.s ko is zibaa sy roknae ke ksohsih ke tou aap a.s ny ousy kankar marae. Rami Jamraat isi waqeyae ke yaadgaar hy.

3. Yeh 10, 11 aur 12 Zill Haj ke shaam tak kiya jata hy. Khana Ka’abah ky ird gird.

4. Haj mukamal honae ky baad Makah sy rawangi sy qabl yeh tawaf e ziyarat Khana Kabah ky ird gird kiya jata hy.

5. Yeh har aik ka apna jawab ho ga.


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *