Step 2 – Arkan e Islam (Day 25)

Jehad K Maani O
Mafhoom

Jehaad ka lafz juhad sy nikla hy jis k maani koshish or mushaqat k hein.
Islaam mein jehaad sy muraad wo koshish hy jo deen ke hifazat o faroogh or ummat e muslima k difaa k leay ke jaye is k ilawa nafsaani khawaishaat k khilaaf or khair k ghalby or sharr ko mitany k leay koshish jehaad kehlati hy.
Jehad ke fazeelat k bary mein Allah ny farmaya:-
sorat Al-saf
aayt 2
“Allah oun logon ko pasand krta hy jo ous ke raah mein qitaar baandh kar larty hein goya wo seesa pilaai hoe deewar hein”


 

Jehad Ke Ehmiyat

Jehad islam ka bohat bara rukn hy or bohat bari ibadat hy choun k is ke zaroorat kabhe kabhe paish aati hy isleay ko chatta nmber deya jata hy. warna zaroorat o ehmiyat k aitbaar sy kisi sy kam nai.
Baaz riwayaat mein isy hajj sy afzal qarar deya geya hy.


 

Jehad K Leay Fi Sabi’lil’lah Ke Shart

Islam ky aanae sy pehlae jang ky liye harb ka lafz istemal hota tha.
Islam ny aa kar sub sy pehly tou harb ka lafz khatam keya or ous ke jagah jehad ke istelaa raaij ke jo ous sy wasee tar mafhoom ke hamil hy or phir is jehad ko bhe fi sabil’lil’lah ke shart sy mashroot kr deya yani mehaz wo koshish jehad kehlany ke mustahiq hy jis ka mqsad sirf haq ka bol bala krna ho is k ilawa har wo koahish jo apni khawaishat ke takmeel k leay ke jaye jehad fi sabil’lil’lah kehlany ke mustahiq nai hy.

Msg 2
Aik hadees e mubarika sy is ke mazeed wazahat ho jati hy….
Aik baar Aap S.A.WW sy poucha geya k aik shakhs maal e ghaneemat k leay larta hy, dousra shohrat k leay larta hy, teesra kisi qoumi o khandani ya kisi or maqsad k leay larta hy tou in mein sy kis ke laraai fi sabil’lil’lah hy. Aap S.A.WW ny farmaya sirf jo kalma e haq buland karny k leay larta hy ous ka larna he fi sabi’lil’lah hy.
Yani agar maqsad sirf raza e elahi ka hasool ho tou jehad waqee fi sabi’lil’lah hy warna wo aam laraai hoti hy jo insan sirf apni khawaishaat ke takmeel k leay larta hy.


 

Jehad Ke Iqasaam

Ma’araka e haq o batil k pehloo hoty hein or is mein mukhtalif andaz sy hissa leya jata hy.
Mujahideen ke ghair hazri mein oun k bivi bachon ka khiyal rakhny waly or mujahideen ko rasd pohanchany waly yeh sub log ma’arka jehad mein shareek hoty hein.
Is lehaz sy jehad ke la tadad qismein qarar de ja sakti hein.

1. JEHAD BIL SAIF
2  JEHAD BIL MAAL
3. JEHAD BIL LISAN
4. JEHD BIL QALAM
5. JEHAD BIL NAFS
msg 2


1. JEHAD BIL MAAL

Deen e haq ke nashr o isha’at k leay maal sarf karny ko jehad bil maal kehty hein.
Jismani jehad yani laraai ke zaroora har waqt nai hoti lakin maali jehad ke zaroorat har waqt rehti hy.
Inasan ke yeh kamzori hy k maal ke mohabat jaan ke mohabat par ghalib rehti hy.
Quran e pak mein jahan jahan jehad jehad bil nafs ka zikr aaya hy wahan jehad bil maal ka ziakr pehly keya geya hy or jehad bil jan ka baad mein.
Allah farmata hy k,
Sorat Al-Infaal
aayt 72
“Beshak jo log emaan laaye or hijrat ke or apny maal o jan sy Allah ke rah ein jehad keya”.
Yani Allah ke raah mein maali qurbani paish krna bohat bara jehad hy.
Baaz ouqaat jan qurban karny waly tou kafi mil jaty hein lakin maal qurban krny wala koe nai milta.
Jehad mein maal ke bari ehmiyat hy is sy mujahideen k leay asleha khareeda jata hy, oun me khurd o nosh ka bando bast keya jata hy, oun k leay aswiyat khareedi jati jein is sub zarooriyat k leay maal ke zaroorat hoti hy.

Msg 3
Ghazwa e Tabook mein Hazoor S A.WW ny musalmano sy maali imdad ke apeal ke tou Hazrat Umer r.a ny ghar ka nisf saman, Hazrat Abu Bakar r.a ny sara saman Aap S.A.WW k qadmon mein dhair kr deya.
Hazrat Abu Huraira r.a sy riwayat hy k,
Aap S.A.WW ny farmaya k,
“Insano par koe din aisa nai jab do farishty nazil na hoty hon oun mein sy aik farishta yeh dua krta hy,
Aey Allah…!!
jis ny maal kharch keya ousy acha badla dy or dousra kehta hy,
Aey Allah….!!
jis ny haath roka ous k maal ko talf kr dy”.



 

 

EXERCISE QUESTIONS

MCQ’s /5

1. Baaz rawayat mae jehaad ko _____ sy afzal qarar diya gaya hy.
a) Namaz
b) Roza
c) Hajj

2. Jehaad ka lafz Juhad sy nikala hy jis ky ma’ani _____ ky hain.
a) Muhabbat
b) Mushaqat
c) Manzil

3. Jehad ke fazeelat ky barae mae Allah ny _____ surat mae farmaya.
a) Al- Safi
b) Al- Imran
c) Al- Falaq

4. Jehad ke kitne iqsaam hote hain?
a) 5
b) 10
c) La tadad

5. Jehaad Islaam ka bohat baraa _____ hy.
a) Rukan
b) Nafal
c) Farz

Fill in the blanks /5

1. Islam ky aanae sy pehlae jang ky liye _____ ka lafz istemaal hota hy.
2. Jehad bohat bari _____ hy.
3. Islam ny jehad ko _____ ke shart sy mashroot kar diya.
4. Baaz riwayat mae jehad ko ___ sy afzal qaraar diya gaya hy.
5. ____ Jehaad ke zaroorat har waqt rehte hy.

True/False /5

1. Jehaad ke zaroorat har waqt paish rehte hy.

2. Shohrat ky liye larnaa bh Jehad Fi Sabililah kehlata hy.

3. Insaan ke yeh kamzoori hy k maal ke muhabbat jaan ke muhabbat par ghalib rehte hy.

4. Jehad Islaam ka teesra rukan hy.

5. Mujahideen ke ghaer miujoodgi mae unky biwi bachon ka khayal rakhnae walae log bhi jehaad mae shareek hotae hain.

Short Answer Questions /15

1. Jehaad sy kya muraad hy?
2. Jehaad ke fazeelat ky barae mae Allah ka farmaan beyan karaein.
3. Jehad fe Sabil’ilah sy kya muraad hy?
4. Jehad fe Sabil’ilah ky mutaliq Hadees e Mubarika beyaan karaein.
5. Aaj ke maloomat ky barae mae kis kis ko aur kis point par targheeb de ?.

 


 

ANSWER SHEET

MCQ’s

1. (c)
2. (b)
3. (a)
4. (c)
5. (a)

Fill in the Blanks

1. Harb
2. Ibadat
3. Fi Sabil’illah
4. Haj
5. Maalee

True/False

1. ✖
2. ✖
3. ✔
4. ✖
5. ✔

Short Answer Questions

1. Islam mae jehaad sy muraad wo koshish hy jo deen ke hifazat o faroogh or ummat e muslima k difaa k leay ke jae is k ilawa nafsani khawaishat ky khilaf or khair ky ghalby or sharr ko mitanay k leay koshish jehaad kehlatii hy.

2. Surah Al-Saf mae aaya hy keh:
Allah oun logon ko pasand karta hy jo Us ke raah mae qitaar bandh kar lartae hain goya woh seesa pilaii hoe deewar hain.

3. Woh koshish jis ka maqsad sirf Haq ka bol bala karnaa hota hy.

4. Jawab:
Aik baar Aap S.A.WW sy poucha geya k aik shakhs maal e ghaneemat k leay larta hy, dousra shohrat k leay larta hy, teesra kisi qoumi o khandani ya kisi or maqsad k leay larta hy tou in mein sy kis ke laraai fi sabil’lil’lah hy. Aap S.A.WW ny farmaya sirf jo kalma e haq buland karny k leay larta hy ous ka larna he fi sabi’lil’lah hy.

5. Yeh har aik ka apna jawab ho ga.


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *