Step 2 – Arkan e Islam (Day 26)

Jihaad Continued

Msg 4

2. JEHAD BIL SAIF

jehad ke dousri qiam wo hy jis mein ehl e emaan apni jaan jo maal sy barh kr piari hoti hy Allah ke raah mein paish kar daity hein.
Jab dushman islam or islami riyasat ko khatam krny k leay charhai kr dy tou ous k muqabil apni jaan qurban krny k leay bahir nikal aana jehad bil saif hy.
Jehad bil saif k leay nikalny wala raah e haq mein har qism ke jismani takleef ko khanda paishani sy bardasht krny k leay tayar rehty hein.
Oun ke sub sy bari khawaish yehi yehi hoti hy k Allah ke raah mein ounhein shahadat naseeb ho jaye. Wo maidan e jang sy munh nai morty balky apny sy kae guna dushman k saamny bhe dat jaty hein.
Aisy logon k bary mein Allah ny farmaya:-
“Yeh log sachy momin hein or Allah ko bohat pasand hein”.
Msg 5

3. JEHAD BIL LISAN

jehad bil lisan sy murad yeh hy k insan apni zaban ya qoul k zariye har buraai k khilaf jehad kry, kalma e haq kehna, batil or jhoot ke nafi karna, islam ke haqaniyat ko dalaail sy sabit krna, naiki ke targheeb dilana, buraai sy nafrat paida krna, jabir sultan k saamny kalma haq kehna, zalim k saamny mazloom ke qoulan hamayat krna, aachi gwahi daina or haq ko zahir krna yeh tamam jehad bil lisan hein.
Lisani jehad k bary mein Piary Aaqa S.A.WW ny farmaya k,
“Mushrikeen k saath apny maalon sy, apny hathon sy or apni zabanon sy jehad kro”
Msg 6

Jehad bil lisan sy murad yeh hy k ma’araka haq o batil mein insan apni zaban ke pouri qouwat ko haq ke himayat mein istamal kry.
Piary Aaqa S.A.WW ny farmaya k,
“Tum mein sy koe shakhs agar kisi buraai ko daikhy tou ousy hath sy roky agar ous ke taqat na ho tou zaban sy roky or agar is ke bhe taqat na ho tou dil mein bura jany or yeh badi ko dil sy bura samjhna emaan ka kamzor tareen darja hy”.
Is sy maloom hoa k zaban bhe aik bohat bari taqat hy jis sy islah ka kaam leya jata hy.
Kufaar e Makkah k hamaiti shair jab Hazoor S.A.WW ke hajoo keya krty thy tou Aap S.A.WW Hazrat Hassan Bin Sabit sy farmaty k is ka jwab do chunachy wo hajoo k jwab mein shair kehty thy yeh jehad bil lisan ke umdah misal hy.
Msg 7

4. JEHAD BIL QALAM

Aaj k dour mein qalam mein bohat bari taqat hy is taqat sy bhe islahee kaam leya ja sakta hy.
Haq ke hamayat mein tasneef o taleef jehad bil qalam k zumry mein aata hy.
Is tarah mujahideen k karnamon ke nashr o isha’at or logon mein jazba e jehad ke tarveej bhe jehad bil qalam k daira mein shamil hy.

5. JEHAD BIL NAFS

Jehad ke sub sy aala qism jehad bil nafs hy. Apni zaati islah k leay koshish jehad bil nafs kehlati hy.
Insan k andr baaz buraiyan rasekh ho chuki hoti hein ya wo khawaishat ka aseer ho jata hy in buraiyon ka qala qama or khawaishat ke sarkobi krna jehad bil nafs kehlata hy.
Yeh bohat mushkil amar hy k insan douaron ke islah k leay tayar ho jaye lakin apni islah ke zaroorat mehsoos nai krta is leay Hazoor S.A.WW ny isy jehad e Akbar ka naam deya hy.
Aik martaba jang sy wapsi par Aap S.A.WW ny farmaya k,
“Hum jehad sy asghar sy jehad e akbar ke taraf lout rahy hein”
Jehad bil nafs ko tazkiya e nafs bhe kaha jata hy jis k maa’ni hein apny aap ko paak saaf rakhna or dil ka mail kuchail dour krna.


 

Jehad Kin Halton Mein Jaaiz Hy

Islam aman o salamti ka deen hy yeh zaati mafadaat ya bila wajah jang krny ka rwadaar nai lakin makhsoos halat mein jehad sy munh morny ko bhe bardasht na kr sakta.
Musalmano ko in halaat mein jehad ka hukm deya geya hy.
i. Agar dushman islami mulk par hamla kry tou apna difaa krny k leay musalmano par jehad farz hy.
ii. Agar kufar o mushrikeen musalmano ko zulm o sitam ka nishana bnaein.
iii. Agar dushman logon par mazhabi jabar kry or apny deen ke taleemat par amal krny sy roky.
iv. Agar dushman bad ehdi ya ghadari ka murtakib ho.
v. Agar dushman fitna barpa kry or fasad phailaye or ibadat ke adaaigi sy roky.


 

Jehad K Adaab

Zahoor e islam sy qabal jang ka lafz bara haibat nak tha is k tasawar sy he rongty khary ho jaty thy.
Islam ny aa kar isy rehmat qarar deya or is k tasawar ko yaksar badal deya.
Allah ny ehkaam sadir farmaye k:-

i. Bachon, bourhon or aourton ko qatal na keya jaye.

ii. Dushman k makanaat na jalaye jaein.

iii. Phal dar darakht na katy jaein.

iv. Faslon ko bila wajah nuqsan na pohanchaya jaye.

v. Agar musalmanon mein sy koe shakhs kisi kafir ko amaan dy tou ous sy kuch ta’aruz na keya jaye.


 

Jehad K Fazaail

Quran o hadeea mein jehad k bohat sy fazaail biyan keay gay hein.
Piary Aaqa S.A.WW ny apni tamam zindagi jehad mein basar ke.

1* Jehad sub sy afzal ibadat hy is leay k is ibadat mein aik insan apni mehboo tareen or sub sy qeemti cheeze jan Allah ke rah mein qurban karta hy.
Allah ny quran e pak mein farmaya…
Sorat Al-saff
aayt 4
“Beshak Allah oun logon sy mohabat krta hy jo Allah ke rah mein saff bandh kar jang krty hein goya wo aik mazboot deewar hein”
Piary Aaqa S.A.WW ny farmaya:-
“Ous Allah ke qasam jis k qabza e qudrat mein Muhammad ke jan hy Allah ke Allah ke raah mein jehad krny waly k leay aik subah ya aik sham ka safar duniya ke tamam naimton sy barh kar hy or Allah ke raah mein dushman k muqably mein thehry rehny ka swab satar namazon sy ziada hy”.
2. Allah ke raah mein jaan dainy wala insan agarchy is dunia sy rukhsat ho jata hy aam log ousy murda kehty hein lakin Allah ny farmaya k Alalh ke raah mein jaan dainy walon ko murda na kaho wo zinda hein magar tum oun ke zindagi ka shaour nai rakhty balky wo apny Allah k haan sy rizq paaty hein.


Jehad Mein Kaamyabi K Asool

1* ITA’AT E AMEER

Jehad mein kaamyabi ka awleen asool ita’at e ameer hy.
Quran pak or ahadees mein ita’at e ameer par bohat zor deya gaya hy.
Piary Aaqa S.A.WW ka irshad hy k:-
“Souno or ita’at kro agar tum par habshi ghulam bhe ameer muqar’rar kr deya jaye jis ka sar kishmish l dany k brabar ho”.

2* IT’TEHAD

Kamyabi ka dousra asool it’tehad hy.
It’tehad or it’tefaaq par quran e pa mein bohat zor deya gaya hy.
Allah farmata hy…
“Or sub k sub Allah ke rasi ko mazbooti sy thamy rakho or tafarqy mein na paro”.

 3* ALLAH PAR BHAROSA

Asbab or zaraye sy poura kaam laity hoay kamyabi ke umeed Allah sy wabasta rakhni chahiye or apni taqat par gharoor nai krna chahiye.
Irshad e Elahi hy:-
“Or oun logon ke tarah mat ho jao jo apny shehron sy takabur krty hoay or apni taqat ke numaish karty hoay nikly”
Msg 2

4* ALLAH KE RAAH MEIN KHARCH KARNA

Jehad ke tayari mein Allah ke rah mein dil khol kar kharch krna zaroori hy.

5* ZIKAR E ELAHI

Jab dushman sy muqabla aan pary tou Allah ko kasrat sy yaad krna chahiye.
Allah ka farman hy:-
“Aey momino…!!
jab tumhara kisi giroh sy muqabla aan pary tou tum sabit qadam raho or Allah ko bohat yaad kro ta’k kamyabi hasil kro”.



 

 

EXERCISE QUESTIONS

MCQ’s /5

1._____ sy murad yeh hy keh insaan apne zubaan ky zariye har burae ky khilaaf jehad karae.
a) Jehaad Bil Lisan
b) Jehaad Bil Saif
c) Jehaad Bil Nafs

2. Jehad mae bachon, burhon aur aurton ko qatal karna _____ hy.
a) Farz
b) Na jaiz
c) Jaiz

3. Kis Surat mae Allah ny Jehaad karnae walon ky liye Apne muhabbat ka elaan kiya hy ?
a) Surah Al Saff
b) Surah Muzamil
c) Surah Baqara

4. Jehad ke tiyari mae Allah ke raah mae dil khol kar kharch karna _____ hy.
a) Zaroori
b) Makrooh
c) Na jaiz

5. Islam _____ ka deen hy.
a) Aman
b) Salamti
c) Donon

Fill in the blanks /5

1. Jehaad bil Saif karnae walon ke sab sy bare khwaish ____ hote hy.
2. _____ bhi aik bohat bare taqat hy jis sy islah ka kaam liya jata hy.
3. Jehaad ke sab sy aala qisam _____ hy.
4. Jehaad mae kamiyabi ka awaleen asool _____ hy.
5. _____ aur itefaq py Quran e Paak mae bohat zoor diya gaya hy.

True/False /5

1. Hazrat Hassan Bin Sabit r.a hajoo ky jawab mae shaer kaha kartae thae.
2. Aaj ky door mae qalam ke koi ihmeyat nhe.
3. Jehaad Bil Nafs asghar jehaad hy.
4. Jang mae phal dar darakht katna jaiz hy.
5. Agar dushman fitna barpa karae tau jehaad karnaa lazim hy.

Short Answer Questions /15

1. Jehad bil Saif sy kya muraad hy ?
2. Jehaad Bil Lisan ky mutalliq Pyaray Aaqa S.A.WW ke koi Hadees e Muabrika beyaan karaein.
3. Tazkiya e nafs kisae kehtae hain aur is sy kya murad hy ?
4. Jehad mae kamiyabi ky asool beyan karaein.
5. Aaj ke maloomat ky barae mae kis ko aur kis point pae targheeb de ? Share karaein.


 

 

ANSWER SHEET

MCQ’s

1. (a)
2. (b)
3. (a)
4. (a)
5. (c)

Fill in the Blanks

1. Shahadat
2. Zubaan
3. Jehad Bil Nafs
4. Ita’at e Ameer
5. Ittehad

True/False

1. ✔
2. ✖
3. ✖
4. ✖
5. ✔

Short Answer Questions

1. Jab dushman Islaam aur Islami riyasat ko khattam karnae ky liye charhae kar dy tau us ky muqabil apne jaan qurban karnae ky liye bahir nikal aana jehad bil saif hy.

2. Yeh bhi har aik ka apna jawab ho ga…
laikan kuch ahadees upar diye gae material mae bhi moujood hain.

3. Jehaad bil Nafs ko tazkiya e nafs bhi kaha jata hy jis ky ma’ani hain apny aap ko paak saaf rakhna aur dil ka mail kuchail door karna.

4. Is ky 5 asool hain:
?Ita’at e Ameer
?It’tehad
?Allah par bharosa.
?Allah ke raah mae kharch karna.
?Zikar e Elahi

5. Yeh har aik ka apna jawab ho ga.


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *