Step 3 – Sunnat e Nabvi S.A.W.W

Step 3 MAQASID

● Harawal Dasta 2 Training ka step 3
“Sunnat e Nabvi S.A.WW hy”

● Sunnat lughat mein aadat ko kehty hein. shariyat mein
Piaray Aaqa e dou Jahan S.A.WW k adaat o atwar or Aap S.A.WW k amal mubarik Aap S.
A.WW ke sunnat mubarik kehlatay hein.
Piaray Aaqa S.A.WW ny farmaya, “Tum par meri sunnat lazim hy”.

● HD 2 k is marhala mein sunnat e Nabvi S.A.WW sy moutaliq ilm o aashnai dy kar Piaray Aaqa S.A.WW ke oun piari piari sunnaton sy roushanas karanay ke koshish ke jati hy jin k baray mein aam taor par, aik ummati honay k bawajood ham ilm nai rakhtay.

● Is step mein pehlay Sunat e Nabvi S.A.WW k baray mein agahi de jati hy… or ye aagahi training karnay walon k dill mein Piaray Aaqa S.A.WW sy muhabat k ihsas baidar karti hy…
Kion k jab ye ilm hota hy k apne roz mar’ra zindagi ke routine k in aadaat o atwaar ko jab ham sunnat e mubarika k mutabik adda karein tou kaisay na sirf hamare sehat behtreen rehti hy bulky hamare deen o duniya sanwarnay lagti hy or zindagi pursakoon honay lagti hy…
or in ihsasaat ka baidar hona hamein sunnat par amal karnay k leay khushi sy raaghib karta hy.

● Training mein hissa lenay walay sab member is hawalay sy apnay apnay baidar hotay ihsasaat bhe aik doosray sy share kartay hein or youn Sunat k moutaliq ilm ko amal mein dhalnay sy is k amli fawaid bhe doaran e training he samnay anaa shuru ho jatay hein.

● Jab training karnay walay khud sunnat e Nabvi S.A.WW ke barkaaat sy faiz yaab honay lagtay hein tou oun k andar ye shaoq bhe baidar keya jata hy k… ab aap ghar walon or milnay walay doston or rishtadaron ko bhe is ke targheeb dain… ta k baki ummati bhe Sunat e Nabi ke barkaat sy mehroom na rahein or har aik k leay nijat ke raah asaan hoti jaey… kion k beshakk nijat Piaray Aaqa e dou Jahan S.A.WW ke amlan pairvi mein he hy jaisay k Hazrat Imam Malik ka qoul hy k,
“Sunnat misl e kashti e Nooh hy jo is par swar hoa wo nijat paa geya or jo peechy reh geya wo gharq hoa”.

● Is step mein bari bari kisi aik adat e mubaarika k baray aagahi dy k osay amaln kara k aagay targheeb dilana kara k tab dosri sunnat e mubarika k baray aagahi daina shuru keya jata hy.


 Sunnat Or Ous Ke Tareef

Sunnat lughat mein aadat ko kehty hein or shariyat mein ousy kehty hein jo Piary Aaqa S.A.WW sy qoulan or amlan manqool hy.
sunnat or hadees aik douary k mutradif hein. jo mafhoom sunnat ka hy wohi hadees ka bhe hy.
Sunnat ka itlaaq Aap S.A WW k tamam aadaat o atwaar par hota hy.
Aap S.A.WW ny farmaya, “Tum par meri sunnat lazim hy”.


 Itbaa E Sunnat Ke Takeed Or Ehmiyat 

Hazrat Anis r.a farmaty hein k Aap S.A WW ny mujh sy farmaya k,
“Jis ny meri sunnat sy mohabat ke yani ous par amal keya tou ous ny mujh sy mohabt ke or jis ny mujh sy mohabat ke wo jannat mein mery sath rahy ga”
Hazrat Abu Huraira r a sy marvi hy k Aap S.A.WW ny famaya k,
“Jis ny meri sunnat ko fasad e ummat k waqt zinda keya wo 100 shaheedon ka swab paye ga”
(Yani jis sunnat koblog chor chuky hon gy ous par amal krna or karana baes e swab hy)
Hazrat Imam Malik ka qoul hy k,
“Sunnat misl e kashti e Nooh hy jo is par swar hoa wo nijat paa geya or jo peechy reh geya wo gharq hoa”
Aap S.A.WW ny farmaya k,
“Jis ny meri sunnat ke hifazat ke tou Alla ous ke chaar baton sy takreem kry ga,

i. Naik dilon mein ous ke mohabat paida kry ga

ii. Fajir logon k dilon mein ous ke haibat daly ga

iii. Rizq wasee kry ga

iv. Deen mein pukhtagi dy ga”


Uswa E Rasool S.A.WW Ka Maqaam Or Ous Ke Ehmiyat 

Khaliq e kaainaat ny insano ke hidayat k leay is aalam mein nabiyon or rasoolon ka aik silsila qaaim keya or in barguzeeda hastion k wasty sy bandon tak hidayat ka paigham pohanchaya jis ke takmeel quran e pak par hoe.
Allah ny apny paigham ko bra e raast apny bandon par nazil nai keya bal’k paigham o farma k sath ous ko samjhany wala or ous par amal kr k dikhany wala bhe bheija kion k paigham e elahi ko aamjhna or ous sy hidayat hasil karna bina nabi o rasool k mumkin nai.
Agar hum ghour krain tou pata chalta hy k Aap S A.WW ke baisat ka maqsad bhe kalam e elahi ke taleem tha.
Or aik baat yeh bhe wazeh ho gi k kitab Allah koe fikri, ilmi ya falsafiyati kitab nai balky yeh aik mukamal dastoor e hayat hy, aik saheefa e nijaat hy.
isi leay is dastoor e amal k sath aik naqsha e amal ke zaroorat samjhe gi, aik noor ke zaroorat samjhi gi jo is dastoor e amal ko paish krny or samjhany k sath amal kr k dikhaye kion k ilm amal sy numayan hota hy
Msg 2

Quran e kareem ny jis tarah apni itbaa or ita’at ka hukm deya hy isi tarah ous ny sunnat ke itbaa ka bhe hukm deya hy.
“Allah ke ita’at kro or ous k Rasool ke ita’at kro”
Quran e Kareem ny sirf yehi nai k hukm deya balky rasool ke itbaa ko apni itbaa or Ous ke ita’at ko apni ita’at qarar deya hy.
“Jis ny rasool ke ita’at ke ous ny goya Allah ke ita’at ke”
yehi nai balky is sy bhe aagy bta deya k Rasool ke mohabat Allah ke mohabat ka mayar or kasooti hy.
Surat Al Imran…
“Aey Mere Habeeb Aap farma dejiye k agar tum Allah sy muhabat kartay ho tou mere pairve karo Allah tum sy muhabat karnay lagay ga or tumaray gunaah maaf farmaey ga or Allah bohat bakhshnay wala meherban hy ”
Piary Aaqa S.A.WW ke pouri zindagi ummat k leay uswa e hasna hy.
Imam Ghazali r.a farmaty hein k,
“Sa’aadat ke kunji tamam amour mein Rasool Allah ke itbaa hy Aap S.A.WW ki zindagi k tamam amour ke pairvi mein falah o nijat hy”



Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *