Step 3 – Sunnat e Nabvi S.A.W.W (Day 27)

Sunnat e Miswak 

Miswak Piary Aaqa S.A.WW ke sunnaton mein sy aik bohat he piari sunnat hy.

*MISWAK Pakarny Or Karny KA TAREEQA* 

Miswak shuru krny sy pehly dho lain or seedhy haath mein is tarah pakrain k darmiyan ke teen oungliyan miswak k ouper or angoutha miswak k siry par ho.
Kam az kam teen baar ouper or neechy or daaeib baaein miswak krain or pehly seedhi taraf ouper k daanton par miswak krain or phir seedhi taraf neechy k daanton par or talu par krain.
Aisy he ulti taraf krain.
Har martaba miswak krny k baad ous ko dho lain or miswak is tarah khara krain k raishy ouper ke janib hon. Miswak zameen par nai rakhni chahiye.


 

Miswak Sy Mutaliq Chand Zaroori Aadaab

1. Miswak ko dho kar rakhein.

2. Miswak ko kisi bhe jagah par bicha kar na rakhein kion k bicha kr rakhny sy janoon ka andaisha hy.

3. Miswak aik balisht sy ziada na ho warna is par shaitan swar ho jata hy.

4. Miswak ke motaai choti oungli k brabar ho.

5. Piary Aaqa S.A.WW ny Rayan ke lakri k miswak sy mana farmaya hy or farmaya k yeh jazaam ke ragon ko ubharta hy.

6. sharah Ahya mein Allanma Zubaidi ny biyan keya k Aabnous, injeer, anaar, ghulaab, tulsi, or mehndi ke shakh sy miswak sehat k aitbaar sy muzir hy.

7. Aksar ulma ny baans ke lakri sy bhe mana keya hy.


 

Miswak Sy Mutaliq Chand Zaroori Masaail

1. Miswak krna sunnat hy.

2. Miswak sy ibadat ka darja barh jata hy.

3. Dousry ka miswak istamaal krna jaaiz hy.

4. Miswak ko mutthi sy pakar kar na krain is sy marz bwaseer ho jata hy.

5. Miswak lait kr krny sy tilli barhti hy.

6. Miswak chousain nai is sy binaai jaiti rehti hy or andha pan paida hota hy.
(Naya miswak pehli baar chousa ja sakta hy)

7. Pehli baar miswak ko chousna jazaam or bars ko dour krta hy jab k baad mein chousna nuqsan ka baaes hy.

8. Miswak krny k baad dho kr rakhein warna shaitan miswak krny lagta hy.

9. Miswak tairhee na ho or na is mein girhein agar hon tou bohat kam hon.

10. Masjid mein miswak krna makrooh or mana hy.


 

 Miswak Ke Niyyat 

Imam Ghazali r.a ny likha hy k,
Miswak krty hoay niyyat kry k munh saaf krta hon tilawat e paak or Allah k zikr k leay.
Is ke sharah e Ahya mein hy k mehz azala e gandgi ke niyyat na kry balky tilawat o zikr ke niyyat kry ta’k ous ka bhe swab mily.


 

Miswak Sy Mutaliq Piary Aaqa S.A.WW Ke Chand Ahadees e Mubarika

1* Hazrat Abu Huraira r.a sy riwayat hy k Piary Aaqa S.A.WW ny farmaya…
“Agar momin par ya apni ummat par mushaqat ka khouf na hota tou har namaz k waqt miswak ka lazmi hukm daita”.

2* Hazrat ibn e Abbas sy riwayat hy k Piary Aaqa S.A.WW hamein miswak ke is qadar takeed farmaty k yeh guman hony laga k is k wajib honay par quran mein hukam he na nazil ho jaye.

3* Hazrat Ayesha r.a sy riwayat hy k,
“Miswak har bimari ke dwa hy siwaye moat k”.


Afzal Miswak 

Abu khaira r.a kehty hein k Aap S.A.WW ny mujhy peelu ka miswak daity hoay farmaya,
“Peelu ka miswak keya kro”
Allama zubaidi ny shifa k hwaly sy likha hy k peelu ke miswak afzal hy khaw jarr ke ho ya shakh ke.
Peelu k baad zaitoon ke miswak afzal hy.
Hazrat Maaz Bin Jabal sy riwayat hy k Aap S.A.WW ny farmaya…
“Keya he behtreen miswak zaitoon k mubaruk darakht ka hy jo munh ko khushgwar banata hy or badboo ko zaail krta hy”.



 

 

EXERCISE QUESTIONS

 MCQ’s  /5

1. Miswak kis niyyat sy karni chahiye?
a) Namaz parhny ke
b) Munh ke safaai ke
c) Zikar Allah ke

2. Shiffa k leay behtreen miswak hy…
a) Baans
b) Peelu
c) Anaar

3. Miswak ko bicha kar rakhny sy konsi beemari ka khadsha hota hy?
a) Cance
b) Bwaseer
c) Junoon

4. Miswak danton k ilawa karni chahiye…
a) Talou par
b) Masooron par
c) Zaban par

5. Miswak daeen, baaein, ouper, neechy kam az kam kitni baar karni chahiye?
a) 3
b) 5
c) 7

Fill in the Blanks  /5

1. Hadees e mubarika hy k miswak har beemari ke dawa hy siwaye ______ k.
2. Miswak ke motaain _______ oungli k barabar honi chahiye.
3. Miswak ko mutthi sy pakar kar karny sy _______ ka marz ho jata hy.
4. Miswak _______na ho or na ous mein_____hon.
5. Miswak sy ________ ka darja barhta hy.

 True/False /5

1. Zaitoon ka miswak munh ko khushgwar banata hy or badboo ko zaail karta hy.
2. Masjid mein miswak karna swab hy.
3. Miswak chousny sy beenai taiz hoti hoti hy.
4. Miswak aik balisht sy ziada na ho warna ous par shaitan swar ho jata hy.
5. Miswak baaein sy daaein taraf karna chahiye.

Short Answer Questions /15

1. Miswak pakarny or karny ka tareeq mukhtsiran btaein.
2. kin darakhton ke miswak krny sy mana keya geya hy?
3. Miswak ke fazeelat k bary mein Piary Aaqa S.A WW ke hadees e mubarika biyan krain.
4. Miswak kis niyyat sy krni chahiye?
5. Afzal tareen miswak konsi hy?


 

 

ANSWER SHEET

MCQ’s

1. (c)
2. (b)
3. (c)
4. (a)
5. (a)

Fill in the Blanks

1. Moat
2. Choti
3. Bawaseer
4. Tairhe/ Girhein
5. Ibadat

True/False

1. ✔
2. ✖
3. ✔
4. ✔
5. ✖

Short Answer Questions

1. Miswak ko aisy pakrain k teen ougliyan miswak k ouper or angotha miswak k siry par ho.
Miswak daanton k ouper sy neechy or daaein sy baaein or talu par kam az kam teen paani sy krni chahiye.

2. Rayan, Abnous, Injeer, Anaar, gulab, tulsi, mehndi or baans

3. Koe aik hadees

4. Miswak munh ke safaai k sath Allah ka zikar krny ke niyyat sy karni chahiye.

5. Peelu ke miswak


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *