Step 3 – Sunnat e Nabvi (Day 31)

Mehmaan Nwazi

Mehmaan nwazi ikhlaaq e hasna mein sy aik hy. Islam mein is ke bari ehmiyat hy. Allah ny na sirf is wasf ko pasand farmaya hy balky isy apni dosti ke ilamat qarar deya hy.
Farmaya k mery dost mehmaan nwaz hoty hein.
Piary Aaqa S.A.WW na sirf khud mehmaan nwaz thy balky mehmaan ko Allah kr rehmat samjhty thy.
Jab koe mehmaan aata tou khud ous ke maizbani famaty or mehmaan nwazi mein azkhud koshish farmaty. isi leay mehmaan ke apni basaat k mutabiq khidmat karna sunnat hy.

Mehmaan Nwazi Sy Mutaliq Piary Aaqa S.A.WW ke Ahadees E Mubarika

Tamam mazahib ny mehmaan k ehtram ka hukm deya hy.
Hamari shariyat jo k aik jamay shariyat hy ny bhe is ke bohat takeed ke hy.
Hazrat Abu Huraira r.a sy riwayat hy k Aap S.A.WW ny farmaya k,
“Jo Allah or qayamat k din par emaan rakhta ho wo mehmaan ka ikram kry”
Mehmaan apna rizq maizban k dastar khawn par khata hy wo maizban k hissy mein kami nai krta balky ous k dastar khawn par khany sy maizban ko swab milta hy ous k gunnah maaf hoty hein. Hazrat Abu Darda r.a sy riwayat hy k Aap S.A.WW ny farmaya k,
“Mehman apna rizq lay kar aata hy or maizban k gunah lay kar jata hy”.
Mehmaan k ikram mein yeh bhe sunnat hy k ous k sath chand qadam chala jaye.
Hazrat Ibn e Abbas sy marvi hy k Aap S.A.WW ny farmaya,
“Mehmaan k leay sunnat yeh hy k ous k sath darwazy tak jao”
Mehmaan ke aamad maizban k leay tohfa e rehmat or barkat hy.
Hazrat Abu Qar Safa sy marvi hy k Aap S.A.WW ny farmaya k…
“Jab Allah pak kisi k sath bhalaai ka irada krta hy tou ousy mehmaan k tohfy sy nwazty hein jo apna rizq ly kar aata hy or maizban ke maghfirat ka baes ban jata hy”
Mehmaan ka na aana bukhal, bad ikhlaaqi, or logon sy husn e salook na hony ke daleel hy jo nahayat he mazmoom or deen o duniya k leay bury injam ka baes hy.
Hazrat Aqba Bin Umer r.a sy marvi hy k Aap S A.WW ny farmaya,
“Wo bura hy jis k pass mehman na aaye”.
Msg 2

Hazrat Ibn e Abbas sy marvi hy k Aap S.A.WW ny farmaya k,
“Mehmaan ka ikraam kro sub sy pehly Hazrat Jibreel ous ka rizq lay kar aaty hein jis k saath ghar walon ka bhe rizq aata hy”.
Mehmaan ke aamad par ous k khany ka hasb e wusat intezam wajib hy.
Hazrat Samra Bin Jandab r.a sy riwayat hy k Aap S.A.WW mehmaan k khany ka hukm daity thy.


 

Mehmaan Nwazi Ke Ehmiyat

Mehmaan nwazi ke ehmiyat ka andaza is baat sy lagaya ja sakta hy k aik baar Hazrat Ali a.s baithy ro rahy thy kisi ny rony ka sabab poucha tou frmaya k saat din sy koe mehman nai aaya mujhy dar hy k kaheein Allah ta’ala ny kisi baat sy naraz ho kar zaleel krny ka irada tou nai farma leya.
Is baat sy pata chalta hy k mehmaan nwazi ke kis qadar ehmiyat hy or Allah ka kitna pasandeeda amal hy k wo Aala Hastiyan bhe mehmaan k na aany sy kis qadar pryshan rahti theein.


Mehmaan Nwazi K Chand Majmooei Adaab

1* Mehmaan ke izat ke jaye.

2* Mehmaan ke aamad par khushi or mohabat ka izhar keya jaye.

3* Wusat e qalbi sy mehmano ka istaqbal keya jaye.

4* Mehman sy muhabat or apnaiyat sy paish aaein.

5* Mehman ko ous k aaram gah ka btaein.

6* Qareebi masjid ka btaein.

7* Mehman ka aana baes e izat h. Mehman k leay khair o barkat ke dua krwana masnoon hy.

8* Mehmaan ko khana khilany mein jitni aasani ho waisy khilaaein yani dastar khawn, maiz ya chataai jis par sahoolat sy kha saky.

9* Agar kisi jagah kisi mehman ka haq ada ba keya jaye yani ous k khany peeny ka bandobast na ho tou mehman ko yeh haq pohanchta hy k wo khud kha pee ly.

10* Aisa mehman jis ny tumhary sath mehman nwazi mein bura salook keya ho tou ous ke mehma nwazi krty hoay ous sy badla na lain balky ous sy achy ikhlaaq sy paish aaein.
Msg 2

Hazrat Abu Huraira r.a sy riwayat hy k
Aap S.A.WW ny farmaya, “Sub sy pehly Hazrat Ibrahim ny maizbani ke”
Hazrat Ibrahim a.s logon ko bula bula kar dastar khawan par bithaty. Agar koe na milta tou akaily khana na khaty.
khana khilany ke sunnat aap a.s sy raaij hoe jis ke bari targheeb hoe or jannat k amaal mein sy btaya gaya.



 

EXERCISE QUESTIONS

MCQ’s /5

1. Mehmaan ka istaqbal keya jaey…
a) piar sy
b) phoolon sy
c) wusat e qalbi sy

2. Sub sy pehly maizbani ke…
a) Hazrat Aadam a.s
b) Hazrat Ibrahim a.s
c) Hazrat Ismaael a.s

3. Mehmaan ke aamad maizban k leay baes hy….
a) Khushi o mussarat
b) piar o muhabat
c) rehmat o barkat

4. Mehman k ikram mein sunnat hy…
a) chand qadam sath chalna
b) batein karna
c) khana khilana

5. Mehmaan apny sath ly kar aata hy…
a) tohfy
b) kapry
c) rizq

Fill in the Blanks /5

1. Mehman ke apni basar k mutabiq khidmat karna______ hy.
2. Mehmaan nwazi ______ mein sy aik hy.
3. Mehman sy ______ krwana masnoon hy.
4. Jo shakhs ________or _______ par emaan rakhta ho wo mehman ka ikram kry.
5. Mehman apna rizq ly kar aata hy or maizban k ______ ly jata hy.

True / False /5

1. Khana khilana jannat k amal mein sy nai hy.
2. Mehmaan nwazi Allah ke dosti ke ilamat hy.
3. Tamam mazahib ny mehmaan k ikraam ka hukm nai deya.
4. Mehmaan sy muhabat sy paish aana chahiye.
5. Piary Aaqa S.A.WW khud mehman nwazi karna pasand nai karty thy.

Short Answer Questions /15

Q1. Mehman nwazi ke ehmiyat par mukhtsiran waqiya biyan krain.
Q2. Mehman ka na aana kis baat ko zahir karta hy?
Q3. Mehman nwazi k koe sy 5 adaab biyan krain.
Q4. Agar kisi mehman ny aap k sath bura salook keya hoa ho tou ous k sath kaisy paish aana chahiye?
Q5. Hazrat Ibrahim kis tarah maizbani krty thy?


ANSWER SHEET

MCQ’s

1. (c)
2. (b)
3. (c)
4. (a)
5. (c)

Fill in the Blanks

1. sunnat
2. ikhlaq e hasna
3. dua
4. Allah / qiyamat k din
5. gunnah

True/False

1. ✖
2. ✔
3. ✖
4. ✔
5. ✖

Short Answer Questions

A1. Mehmaan nwazi ke ehmiyat ka andaza is baat sy lagaya ja sakta hy k aik baar Hazrat Ali a.s baithy ro rahy thy kisi ny rony ka sabab poucha tou frmaya k saat din sy koe mehman nai aaya mujhy dar hy k kaheein Allah ta’ala ny kisi baat sy naraz ho kar zaleel krny ka irada tou nai farma leya.
Is baat sy pata chalta hy k mehmaan nwazi ke kis qadar ehmiyat hy or Allah ka kitna pasandeeda amal hy k wo Aala Hastiyan bhe mehmaan k na aany sy kis qadar pryshan rahti theein.

A2. Mehmaan ka na aana bukhal, bad ikhlaaqi, or logon sy husn e salook na hony ke daleel hy jo nahayat he mazmoom or deen o duniya k leay bury injam ka baes hy.

A3. koe sy 5 adaab

A4. Aisa mehman jis ny tumhary sath mehman nwazi mein bura salook keya ho tou ous ke mehma nwazi krty hoay ous sy badla na lain balky ous sy achy ikhlaaq sy paish aaein.

A5. Hazrat Ibrahim a.s logon ko bula bula kar dastar khawan par bithaty. Agar koe na milta tou akaily khana na khaty.
khana khilany ke sunnat aap a.s sy raaij hoe jis ke bari targheeb hoe.


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *