Step 4 : Duaein (Intro+ Surat sun’nay ka Tareeqa)

“~*Workers*~”
 4th Step 
*Duaein*

Silsilay mein sakoon or bhalaai , hidayat k leay 5 qisam ke duaein ke or karaai jaati hein…
1. Genral dua
2. Maafi-o-Taoba ke dua
3. Shukar ke dua
4. Haajat ke dua
5. Power ke dua
Is step mein aap ko in mein sy aik aik dua ka tareeqa or tafseel alag alag sy msgz mein samjhein gy inshaAllah
Aap ko duaon k Surat Rehman soun’nay ka tarreqa bhe bheijein gy.
Aap ny ye sab ache tara parrhnay hein or is hawalay sy working k daoran jo bhe sawal aap k mind mein aein ya kisi ny kabhe keay hon to ap wo Sawal bhe pooch saktay hein.

Jazba-e-Kaam Salaamat.


 

 

“~Workers*~”
*4th Step*

“Surat Rehman Soun’nay Ka Tareeqa”

Qari Abdul Baasit Abdul Samad ke awaz mein bina tarjumay k Surat Rehman kisi bhe maslay, paryshani, beemari, nazray bad ya jadu taweez k asraat weghira sy mijaat k leay ya rohaami beemarion sy nijaat k leay souni jaati hy.
21 din ka course karna hota hy jis mein har roz din mein 2 bar (Subh, shaam k aoqaat mein) soun’na hoti hy.
Jitnay log bhe surat soun’na chahein gy tou in m3in sy har aik surat soun’nay sy pehlay apnay leay glass mein tjorra sapani apnay pass rakh ly.
Is daoran had taraf sy khiyal hata k sirf ye ihsas rakhna hota hy k ham Allah k samnay paish hein or Sllah hamein daikh raha hy or ham is ka Pak Kalaam doun rahay hein.

Surat soun’nay k doran khiyal rakhna hy k sara jisam mukamal taor par sirf surat soun’nay ke taraf mutawaju rahay.
Surat soun’nay k doran na dua karni hy ns alfaaz ko duhrana hy or na he surst k tarjumay par ghsor karna hy, sirf aayaat ko soun’na hy ta k Allah k kalaam ke noor kr lrhrein hamaray jisam or rooh k aar paar ho kar hamarsy andar mojud jismani or rohani beemarion par shafa k taor par assr andaz hon or hamaray sath hamaray ird gird k mahaol par bh3 asar andaz ho kar har qisam k shar sy nijaat dila dain. Jitni tawaju,yaqeen or piar sy Allqh ka kalaam sounein gy outni he Allqh ke nazray karam or muhabat ham par ho ge.

Spirit Of Work Sslaamat.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *