24. Qabooliyat E Dua Ka Maheena

“~*Shaaor E Ramzan*~”
“Qaboliyat e Dua ka Maheena”
Ye Allah Ta’ala sy mangnay ka Maheena hy. Lehaza is maheenay mein duaaon ka khaas ehtamam krna chahiye.
Hazrat Abu Saeed Khizri (r.a) ki riwayat hy k Hazor Nabi Akram S.A.WW Ny Irshaad Farmaya…
Allah Rab ul Izat Ramzan ul Mubarik k har din or har raat mein jahanum sy jahanumiyon ko bari krtay hein or Ramzan ul Mubarik har din or har Raat mein Allah Rab ul Izat har Momin ki koi na koi dua qabool Farma laitay Hein.
Lehaza is baat ka khayal rakhna chahiye k koi bhi Ghari Qaboliyat ki ho sakti hy… Is leay Duaon ki kasrat krni chahiye… Is maah ki aik or khaas baat ye Farmaai k…
Rozadaron ki Aftar k waqt duaen Qabool hoti hein. Lehaza Aftar k waqt mein aftari sy pehlay khob duaen krni chahiye.
Aik Hadees mein aaya k Allah Ta’ala Ramzan ki har Raat mein aik manadi ko hukam daitay hein k…
3 martaba ye aawaz lagao k hy koi mangnay Wala jisay Main atta kron, hy koi toba krnay Wala k Main us ki Toba qabool kron, hy koi maghfirat chahnay Wala k Main Us ki maghfirat kron.
Ab ye ham per munhasir hy k ham Allah Rab ul Izat sy kitna mangtay hein. Qaboliyat ka ishara dy deya gaya hy. Hamesha mangnay Walay ko apnay daman k chotay honay ka shikwa raha hy magar dainay Walay k khazanay bohat baray hein.
“Us k Lutf o Karam k Kia Kehnay…
Laakh mango Karor Daita Hy”
Ye tou mangnay Walay per munhasir hy, jaisi fariyaad kray ga waisa hi inaam milay ga. Allah k Bando! Duniya daar log bhi faqeeron k bhais ka lehaz rakhtay hein, agar Ramzan ul Mubarik mein koi banda Naikon ka bhais bana kr Allah sy Mangay ga tou Allah kion lehaz nahi farmaen gy.
Ihsas Atta Ho


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *