23. Sari Umar k Rozay , Ramzan k 1 Rozay Ka Badal Nahi

“~*Shaaor E Ramzan*~”
“Sari Umer K Rozy Bhe RAMZAN K Aik Rozy Ka Badal Nai Ho Sakty”
Hazrat Abu Huraira r.a sy riwayat hy k Piary Aaqa S.A.WW ny irshad frmaya k,
“Agar kisi shakhs ny ramzan ka aik roza bhe chora bghair kisi rukhsat k or bghair kisi marz k tou agar wo sari umer k rozy bhe rakhy tab bhe wo ous ki qaza nai ho sakty”
Yeh ramzan k rozy ki qaza ka sharaai hukm nai hy kion k qaza roza jo koe rakhy ga tou wo ous ka ada ho jaye ga lakin haqeeqat yeh hy k Allah k nazdeek ous k umer bhar k rozy bhe ajar or martaby k lehaz sy ous rozy ka badal nai ho sakty jo ous ny ramzan mein jaan boujh k chorr diya ho.
Kisi sharaai uzar ki bina par roza chourna or baat hy kion k is sorat mein tou aadmi qaza roza rakh sakta hy or yeh cheeze qabilb e moahiza nai hy. Lakin kisi sharaaei uzar k bina jaan boujh kr roza chourna aisa hy k phir sari umer k rozy bhe ous ka badal nai ho sakty.
Ihsas Atta Ho


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *