Step 4 – Hkr k liay Messages

*Harawal Dasta 1*

*Step 4*
“~* Kaisay Hoa Mera Paisa Khota *~”

● Is step ka naam hy… Kaisay hoa mera paisa khota…
● Is step mein rozana 2 points bheijnay hein…
Har point mein…

1. Ghalti ka mukhtasir background batana hy.

2. Ghalti ko bohat wazeh kar k batana hy.

3. Ous ghalti k 3 nuqsanaat batanay hein…
Aisay nuqsaan jo aap ko apne zaat par kaam karnay k leay…
Nuqsaandeh lagtay hein…
Ya jis ke wajah sy aap ka Allah ke aashnaai ka safar mutaasir hota hy.
Dil sy dua :)


 

 

*Sample Msgs*

●Point:- 1
●Background:
Subah jab is step ka msg parha tou aisay foran sy andar aayaa….
K yeh step tou easy hy…mujhy achay sy aa geya ab aasani sy kar loun ge.

Ghalti
Khud ko koe bari cheeze samjhaa or ihsas e bartari andar aayaa

NUQSAN:
1. Nazar Malik ke ata sy hat kar apne abilities py gi jis ke wajah sy qurbat ka safar kharab hoa.

2. Khud ko bari cheeze samajh kar Allah ka na pasandeeda amal kiya or OSS sohny sy rishtaa kamzoor kar leya.

3. Is ghattiya ihsas ke wajah sy Sohny ke ataa ke hoe samajh par nashukri bhi kar gi or mazeed safar kharab kiya.


 

● Point 2

● Background:
Kuch mehman aaye hoay thay.
Oun mein sy bakion ko theek sy mili par aik ko gallay milli tou theek sy jourr k nai mili.
Smell se feel hoe or main bass thora sa milli or baad mein ja k hath dhoye.

Ghalti :
An’na ya takabur

Nuqsan :

1. An’na or takabour Allah ko sakht na pasand hy or mein ny wohi napasandeeda kaam kar k Allah ke narazgi mol le.

2. Allah k banday ko kamtar or haqeer samjhaa or Allah tak janay k leay jo qadam ous ko piar kar k outha sakti thee wo na kr saki.

3. Apni zaaat ko bala tarr rakha wahan zaat ko na kaat saki or zaat ko barhawa dy k Allah sy door hoe.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *