Step 4 – Moamlaat (Day 43)

AAJIZII

Aajizi ka matalb yeh hy k insan mein takabur or gharoor paida na ho, har shakhs dousry ke izat kry or apni kami, kotahi or kamzori ka eitraaf kry. Aajizi yeh hy k zameen par inkisari k sath chalna….
yani seena taan kar mutakabirana chaal sy dour rehna.
Aajizi Allah k khas bandon ka wasf hy.
Logon sy baat krty hoay be rukhi na ikhtiyar ke jaye.
Zameen par akar kar na chala jaye, aawaz mein taizi or sakhti na ho k kibr o gharoor tapky.
Gharz zindagi k har moamly mein aajizi ka zahir ho yehi Allah k piaray bandon ke nishani hy.
Allah farmata hy,
“Aey shakhs…!!!
apny Rab ko yaad kr apny dil mein aajizi k sath or khouf k saath zor ke aawaz ke nisbat kam aawaz k sath subah o shaam or ehl e ghaflat mein sy mat ho ja”.
Msg 2

Allah hamein khud aajizi k sabaq dy raha hy k hum kaisy aajizi ikhtiyar krain magar hum tou ehsas he nai rakhty, bolty hoay, baat krty hoay, ya waisy bhe hamary kisi bhe amal sy aajizi ka izhar nai hota or dil mein aajizi k hony ka ehsas tou bilkul bhe nai rehta yani sub gand jama krty jaty hein or andar aajizi naam ke koe shay nai reh jati.
Hazrat Abu Umama r.a sy riwayat hy k Aap S.A.WW ny farmya k Allah ny mujhy kaha k Main Makkah ke wadi e Bat’ha ko Aap S.A.WW k leay sona bana doun….
Main ny arz ke nai
Ya Allah…!!!
balky meri khawaish hy k main aik din saair ho kar khaoun or dousry din bhouka rahon or jab bhouka rahon tou Tery saamny aajizi kron or jab saair ho kar khaoun tou Tera shukr ada kron or Teri hamd o sana biyan kron.
Kia shaan hy k dono aalam k data hein or aajizi ka yeh aalam hy k jab kuch na milta tab bhe aajiz rehty….
or hum sub kuch hoty hoay bhe aajizi k nazdeek nai jaty.
Piary Aaqa S.AWW aajizi mein bhe apni misal aap rahy.
Piary Aaqa S.A.WW ke aajizi ke besbumar misalein hamary saamny hein.
Hazrat Anis r.a farmaty hein k Aap S.A.WW ghulamon ke bhe dawat qabool farma laity thy, bimaron ke ayadat famaty, fuqra k saath hum nashini farmaty, or apny sahaba k saath mil jul kar beitha kartay…
Msg 3

Hazrat Abu Saeed khidri r.a ny farmya k,
Aap S.A.WW gharailo kaam apny hathon sy krty thy, apny ghulamo k saat khana khatay, or ghar k kaamon mein ghulamo ke madad farmaty.
Piary Aaqa S.A.WW ke shan e aajizi bhe sary aalam sy nirali thee Allah ny Aap S.A.WW ko yeh ikhtiyar ata farmaya k,
“Aey Habib S.A.WW agar Aap chahein tou shahana zindagi basar krain or agar Aap chahein tou aik bandy ke zindagi guzarain tou Aap S.A.WW ny aik aam bandy ke c zindagi guzarny ko pasand farmaya.
Allah pak quran mein farmata hy,
“Rehman k bandy wo hein jo zameen par aajizi sy chalty hein”
Fatah Makkah k din jab fatehana shan k sath Aap S.A.WW apny lashkaron k hajoom mein shehar Makkah k andr dakhil hony lagy tou ous waqt Aap S.A.WW par aajizi or inkisari ke aisi aalam tha k Aap S.A.WW ountni ke peeth par is tarah sar jhukaye baithy thy k Aap S A.WW ka sar mubarik kajaway k agly hissy sy laga hoa tha.
Msg 4

Hazrat Ma’aaz bin al Hasaan r.a sy riwayat hy k Aap S A.WW ny farmaya,
“Jo shakhs umda libas ke ista’ta’at k bawajood inkisari ke wajah sy umda libas ko chorry tou qayamat k din ousy tamam makhlooq k saamny bulaya jaye ga or ousy ikhtiyar deya jaye ga k jis jory ko chahy ikhtiyar kar ly”.
Aajizi o inkisari mein khush numa libbas k tark ke aisi fazeelat hy hum aajizi k qareeb sy bhe nai guzry k hamein beshumaar ata keya geya hy lakin hum aajizi ke bjaye shikway mein rehty hein.
Allah hamein moaaf farma kr har haal mein sirf or sirf aajizi mein rehny ke toufeeq ata farmaey Ameen
Hazrat Ali r.a sy marvi hy k,

Teen amour aajizi ke buniyad hein,

i. Mulaqaat hony walon sy awlan salam krna
ii. Majlis mein aala maqaam k ilawa baithny par razi hona.
iii. Riya or shohrat sy dour bhagna
Jab Haja tul vidah mein Aap S.A WW aik lakh shama e nabuwat k parwano k saath apni muqadas zindagi k aakhri hajj mein tashreef ly gy tou Aap S A.WW ke ountni par aik purana palaan thaa or Aap S.A.WW k jism e anwar par aik puarani chadar thee jis ke qeemat char dirham sy ziada na thee. Ousi ountni ke pusht par or ousi libbas mein Aap S.A.WW ny Allah k naaib or taajdaar e do aalam hony ke hasiyat sy apna shehnshahi khutba parha jis ko aik laakh sy zaaid farzandaan e toheed ny hamatan gosh souna.
Msg 5

Piary Aaqa S.A.WW ke aajizi bemisal thee.
Hazrat Abdullah bin Aamir r.a biyan krty hein k aik martaba Aap S.A.WW k nalain mubarik ka tasma tout geya or Aap A.S.WW apny dast e mubarik sy ousy darust farmany lagy.
main ny arz keya,
Ya Rasool Allah S.A.WW…!!!
Aap khud yeh kaam na kijiye mujhy dijiye main is ko darust kar doun.
meri is darkhawast par Aap S A.WW ny farmaya, k yeh sahee hy k tum is ko theek kr do gy magar main is ko pasand nai krta k main tum logon par apni baraai or bartari ko zahir kron.
Isi tarah sahaba karaam r.a.a Aap S.A WW ko kisi kaam mein mashghool daikh kar baar baar ous ko krny ke arz krty magar Aap yehi farmaty k,
tum log mera sub kaam kr do gy lakin mujhy gwara nai k main tum logon k darmiyan imtiyazi shaan k saath rahon.
Aap S.A.WW ke aajizi bemisaal thee aik taraf wo shehar fatah keya jahan k logon ny Aap S.A.WW ke zindagi tang kr rakhe thee is k bawjood takabur na keya balky mazeed aajizi aa gi.
or aik hum hein k zara zindagi mein kuch hasil ho jaye tou takabur ka namouna ban jaty hein or aajizi tou siry sy khatam ho jati hy.
Allah hamein aajizi ke dolat sy mala maal kr dy.
Aameen
Msg 6

SHUKAR

Shukar k maani yeh hein k yeh naimat jis ny di hy ous ko ous ke marzi or ita’at k mutabiq istamal kry.
Muhammad Bin Ka’ab Karzi r.a ny farmaya,
Shukar taqwa or amal e saleha ka naam hy.
Shukar ka khulasa yeh hy k Allah ke di hoe naimat, jan o maal ko ous k hukm k mutabiq lagana shukr hy or jismani aaza ko ita’at e khudawandi k ilawa gunnah mein lagana nashukri hy.
yeh bhe khiyal rahy k Allah ka shukr tou koe banda mukamal kisi haal mein bhe nai kar sakta.
Allah ny jin anmol naimton sy apny bandon ko nwaz rakha hy oun mein sy kisi aik par bhe kisi ka koe haq nai hy yeh tou Oss ka ain fazal o karam, rehmat or ehsan e azeem hy.. lehaza oun ka be dil o jaan, zaban sy or amal sy shukar ada krna Allah ta’ala ka haq hy or jab tak Allah ka haq ada na keya jaye tou insan gunahgaar hota hy.
Msg 7

Shukar sy mutaliq Allah ka farman hy,
“Agar tum shukar kro tou ziada doun ga”
Shukar sy Allah ke naimton par rang o roup aa jata hy or wo wajad mein aa jati hein or Allah ke inayat mein josh aa jati hy.
Baqoul bazurgaan e deen naimat or shukar mein choli daman ka saath hy.
Hazrat Molana Jalalu deen Roomi r.a farmaty hein,
“Shukar or naimat mein wohi nisbat hy jo badan or rooh mein hy”
Hazrat Imam Ghazali r.a farmaty hein,
“Shukar naimaton k leay zanjeer hy”
Har wo naimat jo Allah ny ata ke hy wo taqaza krti hy k Allah k saamny ous ka shukar ada keya jaye.
Allah farmaty hein,
Al-Quran
Sorat Al-Baqra
Aayt 172
Tarjuma:-
“Apny rab ka shukr ada kro agar tum ous ke ibadat krty ho”
Naimaton k shukar ka aik yeh bhe andaz hy k insan ke zaat sy ous ka izhar bhe ho.
Hazrat Abu al-Amous r.a apny walid sy riwayat karty hein k main baargaah e shenshah e koun o makan S.A.WW ke khidmat mein hazir hoa ous waqt main ghatiya or mamooli libbas zaib e tan keay hoay tha.
Aap S.A.WW ny mujh sy poucha,
Kia tumhary pass maal hy?
main ny arz keya,
jee haan
Aap S.A.WW ny farmaya, kis qisam ka maal??
Arz keya,
Ya Rasool Allah…!!!
Allah ny mujhy ount, gaye, bakriyan, ghory, or ghulaam, or har tarah ka maal ata kr rakha hy.
Aap S.A.WW ny souna tou irshad farmaya,
jab Allah ny tumy maal deya hy tou tum par ous ke naimton ka asar bhe dikhai daina chahiye.
Hazrat Fazal shah qutab aalam r.a farmaty hein,
“Shukar ada krny waly ibrar hein yeh Allah k yaar ko yaar bana laity hein or sabr o shukar dono maqamaat par poury outarty hein”
Msg 8

Piary Aaqa S.A.WW ka shukr sy mutaliq farman hy,
“Jo shakhs dunyavi moamlaat mein apny sy kamtar logon ke taraf daikhta hy or deen k moamlaat mein apny sy ouper walon ko daikhata hy tou Allah ous ko sabir o shakir likh laita hy or jo duniya k moaamlaat mein apny sy ouper walon ke taraf sy daikhta hy or deeni moamlaat mein apny sy neechy walon ke taraf daikhta hy tou baargaah e khuda wandi mein ousy sabir o shakir nai likha jata”
Lakin aksar logon ka haal yeh hy k dunyavi amour o moaamlaat mein apny sy ouper walon ke taraf daikhty hein is sy insan k andr hasad, bughaz, lalach, tamaa, lout khasout, bad diyanti or na jaaiz tareeqon sy hasool e doulat k jazbaat o siffat janam lainy lagti hein or agar apny sy neechy walon ke taraf daikhty hein tou is sy insan k andr ghana, esaar, shukar, sadqaat, khairaat, or sabar k jazbaat o siffat jalwa gari karny lagti hein.
Msg 9

Hazrat Umer r.a sy riwayat hy k,
“Naimat par Allah ke tareef ous k zwal sy amaan hy”
k agar koe naimat hasil ho tou ousy apna kamal na samjhy, apni taraf sy nisbat na kry k main ny isy is tarah hasil keya hy balky Allah ke janib or ous k fazal sy samjhy ousi ke taraf nisbat kry k Allah k fazal sy yeh hoa, shukar hy Allah ka k ous ny nwaza, ous ny karam keya, ousi k fazal o karam o reham sy mila warna main is laaiq kahan.
Adaa e shukar ka tareeqa yeh hy k banda is naimat ko isi masraf mein laaye jo Allah k nazdeek pasandeeda hy or dil he dil mein Allah ke naimton ka shukar ada karta rahy, is sy tabiyat az khud shukar ada krny ke taraf maail hoti hy.
Hazrat Imam Qusheeri r.a farmaty hein,
kisi soufi sy hikayat ki gae hy k ounhon ny aik safr mein aik nahayat bourhy aadmi ko daikha,
ounhon ny ous ka haal poucha,
ous ny bataya k main ibtada e umer mein apni chacha zaad behn par aashiq tha or ousy bhe mujh sy ishq tha ittifaaq aisa hoa k mera is sy nikkah ho geya,
shab e zafaaf mein hum dono ny kaha,
“Allah ny hum dono par meharbani farma kar hamein bazariya nikkah ikatha kr deya hy lehaza aaj raat hum Allah ka shukar ada krain gy”
chunachy hum raat bhar nafal parhty rahy or aik dousry ke taraf twajoo na kar saky, dousri raat bhe hum ny aisa he keya chunachy satar ya asi saal sy hum har raat isi tarah karty chaly aa rahy hein….
Msg 10

Phir burhiya ke taraf matwajoo ho kar kaha,
kia aisa nai hy??
burhiya ny kaha,
“Baat aisi he hy jis ko sheikh ny biyan keya”
Shukar guzari wo shajar e sada bahar hy jis ka phal behad lazeez o sheereein hy, is ke shakhein dono jahano mein phaili hoe hein, is k ghany rahat afza saaye mein baithny waly par har aan or har lamha Allah ke naimton ke barish hoti hy…
Beshak Allah hamein maangy or bin maangy har tarah sy nwazta hy lakin hamary andr ous ke naimton k shukr ka ehsas aisa nai hota or na he hum ny kabhe aisy shukr ada keya jaisay k krnay ka haq hy.
End



 

 

EXERCISE QUESTIONS

 MCQ’s  /5

1. Aajizi yeh hy k zameen par chala jaye,
a. inkisari k sath
b. aahista raftar sy
c. taiz raftar sy

2. Aap S.A.WW k dousron par apni baraai ko,
a. pasand farmaty
b. na pasand farmaty
c. tarjeeh daity

3. Naimat or shukar ka sath hy jaisy,
a. badan or dil
b. badan or rooh
c. badan or deemagh

4. Allah ke ata ke hoe naimton par hamara koe,
a. zoor nai
b. ta’aluq nai
c. Haq nai

5. Shukar sy naimton mein,
a. izafa hota hy
b. Kami hoti hy
c. rehmat hoti hy

 Fill in the Blanks  /5

1. Aajizi Allah k ___ bandon ke ____ hy.
2. Allah hamein maangy or ____ daita hy.
3. Aap S.A.WW apny ghulamo k sath khana ___ khatay.
4. Deeni moamlaat mein apny sy neechy daikhny wala ____ mein nai likha jata.
5. Shukar ___ or ___ ka naam hy.

True / False /5

1. Aap S.A.WW jab bhouky rehty tou sabar karty or sair ho kar khaty tou aajizi krty.
2. Fuqra k sath ham nashini karna bhe aajizi hy.
3. Allah ka haq hy k Oss ke naimton ka shukar ada keya jaye.
4. Shukar yeh bhe hy k Allah ke naimton ko istamaal krny ke bjaye sanmbhal kar rakha jaye.
5. Hamein ata karda naimtein aksar hamari apni mehnat ka nateeja hoti hein.

Short Answer Questions /15

1. Aajizi kr mukhtasiran magar jamy tareef biyan krain.

2. Hazrat Ali a.s ny aajizi k konsy teen wasf btaye hein?

3. Shukar k maani or khulasa apny lafzon mein biyan krain.

4. Ada e shukar ka behtreen tareeqa kia hy?

5. kia hum ny Allah ke ata ke hoe naimton ka shukr aisy ada keya jaisa ous ka haq hy?
koe waqiya bhe share kar sakty hein jis ny aap k andr Allah k shukr ka ehsas paida kia ho.


 

 

ANSWER SHEET

MCQ’s

1. (a)
2. (b)
3. (b)
4. (c)
5. (a)

Fill in the Blanks

1. Khas / Wasf
2. Bin maangy
3. Tanawal
4. Sabir o Shakir
5. Taqwa / Amal e Saleh

True/False

1. ✖
2. ✔
3. ✔
4. ✖
5. ✖

Short Answer Questions

1. Yeh har aik ka apna jwab ho ga.

2. Answer:
?*mulaqaat hony walon mein awlan salam kry.
?* majlis mein aala maqam k ilawa bhe baith jaye.
?* riya or shohrat sy dour rehny wala ho.

3. yeh sub ka apna jwab ho ga

4. Ada e shukar ka tareeq yeh hy k banda ous naimat ko ous masraf mein laaye jo Allah k nazdeek pasandeeda hy or dil he dil nein Allah ke naimton ka shukar ada krta rahy.

5. Yeh har aik ka apna jawab ho ga.


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *