Step 5 – PIYARE AAQA S.A.W.W ki Hayat e Tayba (Day 61)

GHAZWAAT

Ghazwa ous jang ko kehty hein jis mein Rasool Allah S.A.WW khud shamil hoay hon. or jis mein Aap S.A.WW khud shamil na hoay hon balky kisi sahabi r.a ya ashaab r. a ko dushman k muqably k leay bheija ho tou wo Sariya kehlata hy.
Saraiya ke tadaad 45 hy
or
Ghazwaat ke taadad 27 hy.
Ghazwaat mein…
Ghazwa ABWA…
maah e Safar mein hijrat k pehly saal hoa.
Ghazwa BAWAAT…
is ko Badar e Oula bhe kehty hein.
yeh maah e Rabi ul awal mein hoa isi saal mein ghazwa Zil Ashiraa Jamadi ul Ukhraa mein hoa.
Msg 2

*GHAZWA E BADAR* 

yeh sub sy bara ghazwa tha.
Badar k maqam par yeh jang hoe yeh bohat azeem ma’arka tha jis mein kuffar or musalmano k damiyan sakht khoon raizi hoe or musalmano ko wo azeem ul shan fatah hasil hoe jis ko FATAH MUBEEN kaha jata hy. Allah ny jang e Badar ka naam Youm ul Furqaan rakha hy.
Aap S.A.WW ny apny ashaab sy mashwara keya k kuffar ke toliyan yahan lout maar k leay Madeena k itraaf mein aati rehti hein.
Msg 3

kuffar e quraish ka qafila Abu sufiyan ke nigrani mein mulk Sham sy tijarat ka samaan laa raha tha. Aap S.A.WW ny faramaya k, is qafila par hamla kar k lout lain taky quraish ka shaam ke taraf tijarat ka raasta band ho jaye is tarah wo majbour ho kar wo hum sy sulah kar lain gy.
Insaar o muhajir sub is k leay tayar ho gy.
12 ramzan 2 hijri ko is haal mein qafily sy muqably k leay rwana hoay k….
Msg 4

Hazoor S.A.WW k sath na ziada hathiyar thy na rashan ke bari miqdar kion k kisi ko gumaan na tha k is safar mein jang ho jaye gi.
Jab Makkah mein khabar phaili k musalman quraish ka qafila loutny k leay Madeena sy chal pary hein tou kuffar musalmano par hamly k leay tayar ho gy.
Aap S.A.WW ko yeh khabar pohanchi tou sahaba r.a sy mashwara keya, sub ny Aap S.A.WW k dast e mubarik par bait ke Msg 5

Sardaran e Makkah mein sy Abu lahab k ilawa quraish k tamam rousaa pouri tarah musalah ho kar nikly.
Aik hazar ka lashkar e jarar pouri tarah musalah, dohry hatiyaar rakhty thy, fouj ke khouraak ka intazam yeh tha k quraish k maaldaar log bari bari rozana 10, 10 ount zibah karty.
Hazoor S.A.WW sahaba k sath badar mein aisi jagah par jahan na tou koe chashma tha na kunwaa.
Raitli zameen mein ghoron k paoun zamren mein dhans jaty.
Allah ke shan k taiz barish hoe jis sy maidan ke rait jam gi.
Msg 6

Musalmano k leay chalna aasan ho geya or musalmano ny barish ka pani rok kar jagah jagah houz bana leay.
Oudhar kuffar ke zameen keechar ban gi 17 ramzan 2 hijrii jummy ke raat Aap S.A.WW sari raat dua mein masroof rahy, subah Aap S.A.WW k dast e mubarik mein chhari thee jis sy zameen par aisy lakeer banaty jaty or famaty k yeh falan kafir k qatal hony ke jagah hy, kal falan ke laash yahan ho gi.
Chunachy bohat sy kafiron k qatal hony ke jagheein btaein or jang mein aisa he hoa.
Msg 7

17 ramzan ko dast e mubarik mein chhari sy Aap S.AWW mujahideen e islam ke safein darust farmaty rahy.
Sahaba ikraam ny Aap S.A.WW k leay aik chapar mein nashist bana rakhe thee. Hifazat ka swal paida hoa tou ghaar e yaar Hazrat Abu Bakar r.a k hissy mein yeh sa’aadat aaei, .
wo nangi talwar sy chapar k pass pehra daity rahy.
Hazrat Saad bin maaz r.a bhe chand insarion k sath pehry mein shamil rahy.
Msg 8

Aap S.A.WW ny is nazuk ghari mein Alah sy dua ke,
Aey Allah…!!
Too ny mujh sy jo wada keya hy ousy poura farma dy.
Ya Allah agar yeh chand nafoos halak ho gy tou qayamat tak rouye zameen par Teri ibadat karny wala koe na rahy ga.
Is jang mein Allah ny musalmano ke madad k leay frishton ka lashkar outara…
Msg 9

Jin ke tadaad pehly aik hazar phir 3 hazar or phir 5 hazar ho gi. Jang mein frishty kis ko nazar nai aaty thy magar oun ke zarb saaf nazar aati thee. Baaz kaafiron ke naak or munh par koron ke maar ka nishan paaya jata, kaheein baghair talwar nazar aaye sar kat’ta nazar aata.
Utbaa, Sheeba or Abu jehal jaisy sardaran ke halakat sy kuffar e Makkah ke kamar tout gi tou sub hathiyaar daal kar bhaag khary hoay.
Msg 10

Musalmano ny oun ko giraftar karna shuru kar deya.
is jang mein 70 qatal or 70 giraftar hoay. Baqi apna saman chour kar bhaag gy.
Jang e Badar mein 14 musalman shahadat sy sarfaraz hoay jin mein 6 muhajreein or 8 insaar thy.
Tamam kuffar ke lashein garhy mein daal di gaeein.
Aap S.A.WW ny ghary k kinary khary ho kar naam ly kar pukara….
kia tum ny apny Rab k wady ko sacha paya..??
Hum ny tou apny Rab k wady ko bilkul sacha paya.
Msg 11

Hazrat Umer Farooq r.a ny ta’ajub sy arz keya k in be rooh jismon sy kalam farma rahy hein.
Aap S.A.WW ny farmaya,
“Khuda ke qasam jis k qabza e qudrat mein meri jaan hy tum in sy ziada meri baat ko nai soun sakty lakin baat yeh hy k yeh jwab nai dy sakty”
Fatah k 3 din tak Aap S.A.WW ny badar mein qayam famaya or maal e ghaneemat ly kar madeena rwana hoay or maal e ghaneemat mujahideen mein taqseem farma deya.
Msg 12

Hazrat Usman r.a ke zouja nuhtarma Hazrat Ruqiya r a jo bimaar theein, Aap S.A.WW ke sahabzadi theein oun ko ous waqt dafan keya ja raha tha isi wajah sy Hazrat Usman r.a jang e Badar mein shamil na ho saky thy.
Kuffar sy jo qaidi hoay thy oun k bary mein Aap S.A.WW ny sahaba r.a sy mashwara keya k in k sath keya moamla keya jaye tou Hazrat Abu Bakar r.a ny mashwara deya k in sy fid’diya ly kar in ko reha kar deya jaye is tarah musalmano ke maali madad ho jaye gi.
Msg 13

or shayed in mein sy islam qabool kar ly.
Aap S.A.WW ko yeh raaye pasand aaei or qaidion ko 4, 4 hazar dirham ly kar aazad kr deya.
In mein sy jo fid’diya nai dy sakty thy or parhy likhy thy oun ko insaar k das das larkon ko likhny parhny ka kaam deya geya.
Jo Sahaba karam r.a jang e Badar mein shamil hoay wo aik khasoosi sharf k sath mumtaaz hein oun k fazaail mein aik bohat azeem ul shan fazeelat yeh bhe hy k Aap S.A.WW ny farmaya….
Msg 14

“Beshak Allah ehl e Badar sy waqif hy or Oss ny famaya tum jo chahy amal kro bila shuba tumhary leay jannat wajib ho chuki hy ya yeh famaya k main ny tumy bakhsh deya”
Hazrat Usman r.a is jang mein shareek na ho saky lakin oun ko bhe ashab e Badar kr saff mein shamil keya geya or maal e ghaneemat mein bhe oun ko mujahideen k brabar hisaa deya geya.
Msg 15

GHAZWA E OUHAD”

Ouhad aik pahari ka naam hy jo Madeena sy 3 meel dour hy.
Haq o batil ka yeh azeem ma’aarka 3 hijri ko is pahar k daman mein paish aaya is leay yeh ghazwa Ouhad k naam sy mash’hoor hy.
Jang e Badar mein srdaran e quraish k qatal or giraftarion ke wajah sy bacha bacha intaqaam ke aag mein jal raha tha.
Chunachy maqtouleein k ma’tam sy fursat mili tou ounhon ny is baat ka irada keya k jaisy mumkin ho musalmano sy apny maqtoulon k khoon ka badla lain gy.
Msg 16

Sub mashwary k leay abu sufiyan k pass gy or kaha k musalmano ny hamary rishtydaron ka qatal keya hy hum ny ous ka badla laina hy.
ous k leay aik azeem ul shaan fouj tayar kar k Madeena par charhai krain or Aap S.A.WW or musalmano ko nist o naboud kar deya jaye.
Aap S.A.WW k chacha Hazrat Hamza r.a ny hind k baap Utbaa or Jabeer bin muta’am k chacha ko jang e badar mein qatal keya tha.
Hind ny wahshi ghulam sy wada keya k agar ous ny Hazrat Hamza r.a ko qatal kar deya tou ous ko azaad kar deya jaye ga.
yeh bohat bara lashkar abu sufiyan ke sipah salari mein Makkah rawana hoa.
Msg 17

Aap S.A.WW ko khat k zariye pata chala.
Aap S.A.WW ny 2 bhaion Anis or Monis ko jasoos bana kr khabar laany k leay rwana kr deya.
ounhon ny aa kar btaya k lashkar Madeena k qareeb pohanch chuka hy.
yeh khabar soun kar 14 Shawal 3 hijri Juma ke raat Hazrat Saad Bin Maaz r.a or Hazrat Saad Bin Abaada r.a kuch or insarion k sath raat bhar Piary Aaqa S.A WW k ghar k bahir pehra daity rahy.
subah Aap S.A.WW ny sub ko jama kar k mashwara talab keya.
Msg 18

Jo log Badar mein shamil na ho saky thy oun ke raaye thee k maidan mein nikal kar dushman sy faisla kun jang ke jaye.
Aap S.A.WW andr gy or hathiyar laga kar tashreef laaye or farmaya k paighamber k leay zaiba nai k hatilhiyar pehan kar outar dy yahan tak k Allah ous k or ous k dushmano k darmiyan faisla farma dy.
Tum log Allah ka naam ly kar maidaan mein nikal paro or agar tum log sabar k sath maidaan e jang mein dat’ty rahy tou zaroor tumhari fatah ho gi.
Msg 19

is k baad Aap S.A.WW 1000 ke fouj lay kar Madeena sy nikly.
Abdullah bin ubi bhe 300 swaron k sath lashkar mein shamil tha thora aagy ja kar ous ny kaha k Muhammad S.A.WW ny mera mashwara qabool nai keya is leay main oun ka sath nai daita, ab musalmano k lashkar mein kul 700 Sahaba r.a reh gy.
jin mein sy 100 k pass zirah thee.
Kuffar ke fouj ka 3000 ka lashkar tha oun mein 700 zirah posh thy, 200 ghoury, 3000 ount, or 15 ountniyan theein.
Mushrikeen ny 12 shawal 2 hijri mein .Madeena k qareeb Koh e Ouhad mein apna paraao dala hoa tha magar Aap S.A.WW 14 Shawal ko Madeena sy rawana hoay.
Msg 20

Laahkar k peechy pahar tha jis mein aik dar’ra tha jis sy guzar kar kuffar nusalmano ke saffon par peechy sy hamla kar sakty thy.
Hazoor S.A.WW ny is dar’ra ke hifazat k leay yahan 50 teer andazon ka dasta muqarar farmaya.
Aap S.A.WW ny Abdullah bin jabeer r.a ko is dasta par muqarar karty hoay famaya,
Chahy hum ghalib hon ya maghloob tum apni jagah sy ous waqt tak na hatna jab tak Main tumhary pass kisi ko na bheijon.
Wehshi jo aik ghulam tha aik chataan k peechy chupa hoa Hazrat Hamza r.a ke taak mein tha joun he aap r.a ous k qareeb pohanchy ous ny apna naiza mara jo aap r.a ke naaf mein lagty hoay paar ho geya or aap r.a zakhmon ke taab na laa kar shaheed ho gy.
Msg 21

is jang mein mujahideen e muhajreein o insaar bari deeda dalairi sy lary yahan tak k mushrikeen k paoun oukhar gy. .
Kuffar ko shikast hoe or wo maidaan chor ka bhagny lagy.
Fatah ka yeh manzar daikh kar 50 teer andaz jo dar’ry ke hifazat par muqarar thy Piary Aaqa S.A WW k farman ko bhool kar maal e ghaneemat loutny mein masroof ho gy.
Khalid bin waleed jo abhe musalman nai hoa tha dar’ra khali daikha tou peechy sy musalmano par hamla kr deya.
kafiron ke fouj ka raasta saaf ho geya or kuffar ke fouj bhe wapis musalmano par palat pari.
Msg 22

Hazrat Mas’ab bin umair r.a Aap S.A.WW sy bohat mushabehat rakhty thy oun ko zameen par girty daikh kar kuffar ny shor macha deya k naouz billah Aap S.A.WW ko qatal kar deya geya hy. Musalman yeh soun kar bad hwas ho gy.
Hazrat Anis r.a k chacha larty larty maidan e jang sy bhe aagy nikal gy.
Daikha k kuch musalmano ny mayous ho kar hathiyar phaink deay hein.
Oun sy poucha tum yaan kion baithy ho?
ouno ny jwab deya…
Msg 23

Jin k leay larr rahy thy wo tou shaheed ho gy.
Hazrat Anis r.a k chacha ny kaha k ab hum zinda reh kar keya krain gy.
chalo hum bhe maidaan mein shaheed ho kar Oun k pass pohanch jaein gy. Yeh keh kar yeh log dushman k lashkar mein ghuss gy or bohat buhadri sy lary.
Hazrat Ka’ab bin malik r.a ny Aap S.A.WW ko daikha tou musalmano ko pukara sub ke jan mein jan aaei.
Bohat sy sahaba r.a Aap S.A.WW k pass jama ho gy.
isi asna mein Abdullah bin umaiya jo quraish ka bahadur mana jata tha wo musalmano ko cheerta hoa Piary Aaqa S.A.WW k qareeb pohancha….
Msg 24

Aap S.A.WW k chehra e Anwar par talwar maari jis sy 2 kariyan chehra e Anwar mein chub gaeein.
Musalmano ny Aap S.A.WW ko daikh leya or barh kar kuffar par hamla keya or kuffar ko bhagny par majbour kar deya.
Hinda ny Hazrat Hamza r.a kr laash ke be hurmati ke or oun k shikam mubarik ko chaak keya or aap r.a ka jigar chabaya.
Msg 25

Abdullah bin umaiya jis ny Aap S.A.WW k rukh e Anwar par talwar chalai thee ous ko aik pahari bakry ny Allah k hukm sy seeing maar kar zakhmi kar dala or pahar sy neechy gira deya jis sy ous ke laash k tukry tukry ho gy.
Is jang mein 70 sahaba r.a ny jaam e shahadat nosh farmaya.
30 k qareeb kuffar qatal hoay.
Ghazwa e Ouhad mein musalmano ka bohat nuqsan hoa.
Hazoor S.A.WW k beshumar jan nisaar sahaba ny shahadat paaei.
Is mein Aap S.A.WW k piary chacha Hazrat Hamza r.a bhe shaheed hoay jin ko Aap S.A.WW ny Sayyed ul Shohdaa ka naam deya.
... continued…



 

EXERCISE QUESTIONS

MCQ’s /5

1. Jang E Badar ka waqiya paish aaya,
a. 12 ramzan 2 hijri
b. 17 ramzan 2 hijri
c. 23 ramzan 2 hijri

2. Jang e Badar k leay musalmano ke madad k leay frishty bheijy gy,
a. 1 sy 5 hazar
b. 1 sy 3 hazar
c. 3 sy 5 hazar

3. Hazrat Hamza r.a ny jang e Ouhad mein qatal keya,
a. hinda k baap
b. Moa’atam k chacha ko
c. dono ko

4. Teer andazon k laahkar par muqarar keya geya,
a. Hazrat Hamza r.a
b. Abdullah bin jabeer r.a
c. Mas’ab bin umair r.a

5. Abdullah bin ubi apny lashkar k
a. 500 aadmi ly geya
b. 700 aadmi ly geya
c. 300 aadmi ly geya

Fill in the blanks_  /5 

1. Hazrat Hamza r.a ko ___ kaha jata hy
2. Sariya ke tadaad __ or ghazwaat ke __ hy.
3. Jang e ouhad mein Aap S.A.WW ___ fouj ly kar Madeena rawana hoay.
4. ___ ny jang e Ouhad mein dar’ray k peechy sy musalmano par hamla kar deya.
5. Musalman Aap S.A.WW k qatal ke khabar soun kar ___ ho gy.

True / False /5 

1. Ghazwa e Abwa ko Badar e Oulaa kehty hein.
2.Hazrat Usman r.a ko jang e Badar k maal e ghaneemat mein mujahideen k brabar hissa deya geya.
3. Musalman jang e Badar mein saman e jang sy pouri tarah lais thy.
4. Dar’ray ke hifazat k leay 50 teer andaz muqarar keay geay.
5. Abdullah bin Umaiya ny Aap S.A.WW par talwar sy hamla keya.

Short Question / Answers /15 

1. Gahzwa kisy kehty hein?
Ghazwa or Sariya mein kia faraq hy?
2. Jang e Badar ke fatah ko keya kaha geya hy or Allah ny is ko keya naam deya hy?
3. Aap S.A.WW ny ghazwa e Badar mein keya dua ke?
4. Jang e Badar k qaidion ke rehaai k leay kia tajveez paish ke gi?
5. Aap S.A.WW ny jang e Ouhad mein teer andazon ko kia naseehat ke or ouno ny kia keya??
End


 

ANSWER SHEET

MCQ’s /5

1. (b)
2. (a)
3. (c)
4. (b)
5. (c)

Fill in the blanks /5

1. Sayyed Ul shuhdaa
2. 45 / 27
3. 1000
4. Khalid bin waleed
5. bad hawas

True / False

1. ✖
2. ✔
3. ✖
4. ✔
5. ✔

Short Answers

A1. Ghazwa ous jang ko kehty hein jis mein Rasool Allah S.A.WW khud shamil hoay hon. or jis mein Aap S.A.WW khud shamil na hoay hon balky kisi sahabi r.a ya ashaab r. a ko dushman k muqably k leay bheija ho wo Sariya kehlata hy.
A2. gazwa e Badar ke azeem ul shan fatah ko Fatah e Mubeen kaha geya hy or Allah ny is ko Youm ul Furqan kaha hy.

A3. Aap S.A.WW ny is nazuk ghari mein Alah sy dua ke,
Aey Allah…!!
Too ny mujh sy jo wada keya hy ousy poura farma dy.
Ya Allah agar yeh chand nafoos halak ho gy tou qayamat tak rouye zameen par Teri ibadat karny wala koe na rahy ga.

A4. oun ko fid’diya ly kar reha krny ke tajveez paish ke gi or jo fid’diya na dy sakein oun k zimmy insar k 10, 10 larkon ko parhana lagaya geya.

A5. Aap S.A.WW ny Abdullah bin jabeer r.a ko is dasta par muqarar karty hoay famaya,
Chahy hum ghalib hon ya maghloob tum apni jagah sy ous waqt tak na hatna jab tak Main tumhary pass kisi ko na bheijon.
lakin wo log Aap S.A.WW k hukm k baghair apni jagah chor kar bhaag nikly.
End


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *