Step 8 – step 8 krwanay k Maqaasid

*~*Step 8 Krwany K Maqasid*~

1. Is step k 2 Part hein.

Pehlay Step ka naam hy,
“Real Love Story”

Or dousry step ka naam hy,
“On The Spot Love.”

Is step mein ham aik tou zindgi k baray baray waqiat jo bazhir mayoos kunn or takleef deh hon or jin ke wajah sy ham pareshani mein ghirr gey hon or ous waqt oun moamlaat or waqiyat mein chuppa wo piar na dhoondh sakein jo oun mein maojoud tou hota hy magar hamaray apnay dil k yaqeen ke kami ke wajah sy ham issay talash nai kr patay, oun moamlaat mein sy Allah ka piar talaash karna sikhaty hein.
Or dousra is step mein ham kainaat mein phaily ajaibat or zindgi k chotay chotay maomlat o waqiyat mein ous waqt faori toar par ham par jalwa garr honay walay Allah k aisay piar ko talash karna sikhaty hein jo ousi aik lamhy mein hamaray dil par Allah k piar ke jalwagari kar k hamaray dil ko Allah k piar k yaqeen sy bhar daita hy.

2.  Is step mein jab ham pehlay sy apni zindgi mein rou numa ho chukay baray baray waqiyat mein sy Allah ka piar dhoondhtay hein tou ham is mayousi or mazloomiyat mein sy nikaltay hein k, hamaray sath kuch bura hoa tha, youn Allah k piar k ihsas dil mein outartay hein tou yaqeen mazboot hota hy k Allah hamara khiyal rakhnay wala hy or hamysha hamary leay behtreen faisla karta hy.

3. Jab hamein hamari zindgi k mazi k baray baray waqiyat mein Allah ka piar nazar aanay lagta hy tou ham apnay maojouda halaat mein kisi bhe tarah k moamlaat o waqiyat mein Allah k yaqeen par kharay rehtay or Os ke Raza mein razi rehtay hein k Wo hamaray leay jo kar raha hy wohi behrareen hy, beshak k wo ous waqt hamari samjh mein nahi aa rahi hoti.

4.  Allah sy piar ka ihsas dil ke quwat e emani ko barhata hy tou hamaray andar ihsas, soch or amal mein tabdeeli aati hy or ham khud ko Allah k ehkam k tabay rakhnay ke koshish krnay lagtay hein k kuch aisa na ho jaye jo ham sy be inteha piar karnay walay Allah ko na pasand ho.

5.  Is step mein jab ham apnay mamoolat, moamlat or ajaibat mein sy har lamha Allah ka piar dhoondhny lagty hein tou ham har lamha khud ko Allah ke muhabat k hissar mein mehsoos kartay hein or ye cheez hamaray dil mein Allah ke muhabat ko barhati hy or hamara Allah sy qurbat ka rishta na sirf ustawar hota hy balky mazboot sy mazboot tarr hota chala ja raha hota hy.

Dil sy dua :)


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *