Alert 77-*Batil Or Apni Parakh*

*Batil Alert 77*
*Batil Or Apni Parakh*
Haq ke Raah par chalnay k leay koe bhe Allah ka banda agar kisi Peer o Murshad ya Ustad ka hath pakar kr Haq ke Raah par chalnay lagay tou wo ye dekhay k Ounke Rehnumai, Oun ke taleemat hasil honay par kia osk andar Allah k ihsas e ashnai k tehat tabdeeli aa rahi hy ya nai. Yehi wo mayar hy jis par wo khud ko parakh sakta hy k jab Wo Peer o Murshad ya Ustad sy wabasta hoa tou os wabastgi ny Osk ihsas, soch mein kia aisi mussbat tabdeeli paida ke k os k mamoolat or maomlat sanwarnay lagay.
Wo khud ko youn bhe check kray k:
kia oska eman pehlay ke nissbat mazboot ho raha hy…
Kia zindgi k moamlat mein sy eman ke is mazbooti ke wajah sy wo apni guzishta zindgi k moalmat ke nissbat behatr tareeqay sy nikal sak raha hy…
Kia kisi azmaish mein wo pehlay ke tara larrkhara jata hy ya abb Apnay Peer o Murshad ke Rehnumai or faiz paa k Haq ke Rah par qadam mazboot hoay hein.Or kia is mazbooti ke wajah sy wo is azmaish mein sy Allah par yakeen k saharay guzarnay ke behtareen koshish kar raha hy….
Agar aisa ho raha tou is k maa’ni ye hein k wo haq ke raah par hy or Haq ka jo Input oss Haq k Rahi ko Apnay Rehuma Sy Rehnumai, faiz or taleemat ke soorat mein mill raha hy wo oss sy faida outha k manzil ke janib barh raha hy.
Doosri soorat mein wo check karay….
K agar osk andar Allah ka ihsas e ashnai bhe nai aa raha or wo haq ke raah par qadam bhe aagay nahi barha paa raha tou ossay batil ny kahin na kahin zatiyat mein phanssa kar mutamein kar rakha hy.
Wo is bina par apni wabastgi tou qayem rakhay hoay hy magar batil haq k rahi ko is wabastagi sy haqeeqi faida uthanay nahi de raha or osk qadam haq ke rah par aagay nai barh rahay.
Koe bhe Haq ke rah par qadam aagay barhanay ke chahat rakhnay wala haq ka rahi apni wabastgi ko youn check kray or agar ossay ihsas ho k is wabastgi k bawajood osk qadam Haq ke rah par aagay nahi barh rahay tou wo kisi or sy Rehnumai le kar haq ke raah par qadam aagay barhata jaye or batil ke kisi haq k raahi k safar ko muttasir karnay ke ye chaal bhe nakam ho jaye.

Haq ka Allam Thamay Rakhna?


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *