Tip # 43 : Worker, Hkr ko zatiyaat se nikal kr pyaar karay

“Worker, Hkr ko zatiyaat se nikal kr pyaar karay” 

Baaz oqaat aisa hota hai k jo Hkr fori tour par hamari baat sunay, samjhay, aur uspay amal karny wala ho to hamari usky liye pasandeedgi ban jaati hai….
Ye sach hai k aik aisa Hkr ziada piar, power wasool karta hai…
Magar is soorat e haal mein koi doosra Hkr jo koshish k bawajood na samjhta ho, ya jisay samjhany mein aur amal ki taraf lany mein koshish ziada lagti ho, ham uspar ustaad k tour par tawajo kam kar dety hain…
Or andar ye guman rakh lety hain k ye hemesha aise he karta hai…
Yahan is hawaly se ustaad khud par gehri nazar rakhy aur working karay….
Wo har aik ko sirf aur sirf ummati ki nazar se dekhty hue he piar dey…
Piyar ki taqat he har aik k dil ko badalti hai aur ye badlao Allah ki madad k siwaa mumkin nai….
Hamain kabhi bhi umeed nai chorni chahiye….
Hoskta hai k jo Hkr aaj behtar output nai deraha wo wakt k sath Allah k Karam, hamare piaar ki power, dua ki taqat se aagay jaa kay bohat acha chalny lag jaye… Lehaza har aik ko piaar ki power diye jana hai…
Jo jitni talab rakhy usko utni rehnumayi dain….
Har kisi par darwaza khula rakhain takay wo kabhi na kabhi wakt aanay par apna rang dikhaye aur qurbat ki raah mein agay barhna chahay to ustaad ka sath uska piar, uski rehnumayi usko muyasar ho…..

از : ❤ شاہ جی

? “حق کا علم تھامے رکھنا” ?
(محمدی حسینی سلسلہ )


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *