*Harawal Dasta 1*
*10th Step A*
“~*Sawal Jawab*~”
- Is mein aap ny check karna hoga k Allah ke qurbat or aashnaai ke is raah par chalnay k baad…
- Share karne waala kis tarha sachaai sy in sawaalon k jawabaat mein apna view khol khol kar biyaan kar raha hy…
- Is step mrin 10 sawal dainay hoty hain.
Aap ne tarteeb sy baari baari aik aik sawal bheij k ye step muakamal karwana hy. - Aik sawal ka mukamal jawab honay k baad he dosraa sawal bijana hy…
- Or har sawal par jitnay points liknay ka kaha geya hy…
- Osay check karna hy k points aik jaisay na hon… bulkay har point dosray sy different ho.
Q:1 Allah k bandon ko aap kis nazar sy daikhtay hain….??
(10 points)
Q:2 Apnay emaan ke jaanch kis tarha karein gy…??
(10 points )
Q:3 Lagon k saath moaamlaat mein kon kon sy points aap ko kisi ko be mouaf kar dainay par majboor kartay hain…???
(10 points )
Q:4 Apni zindagi mein ham mein…
Main, Anna, Fakhar ya Gharoor…. ke waja sy kia kia nuqsanaat outhatay hain…??
(10 points )
Q:5 Hum nafs k ghulam ho kar duniya khawahishaat or shaitaan k shikanjay mein phans kar zaat k qaidi ho jatay hain…
aap ko kia lagta hy k kis kis point par aap zaat k qaidi hain…???
(20 points )
Q:6 Wo kon kon kon sy points hain jo agar aap k andar outar jaein tou aap namaz ki barwqat or baqaaida adaaegi kar sakty hain…???
(10 points )
Q:7 Aisay kon kon sy points hain jo ager aap k andar outar jaaein tou aap ki rozana tilaawat shoaq sy kar saktay hain…??
(10 points )
Q:8 Aap ki nazar mein aap ke khoobiyaan…??
(Top 5)
Q:9 Aap ki nazar mein aap ki khamiyaan…???
(Top 5)
Q: 10 Aap ke duaein…??
(Top 5)
Dil sy dua:)