Tip # 44 : Worker or Self judgment

“Worker or Self judgment “

Batil aksar worker ko
“Negative Self Judgment” par uksata hai…
Worker jo working karta hai usky hawaly se khud he andazay lagata rehta hai k usne kia kiya…
Kese kiya….
Acha kiya….
Burra kiya….
Yahan ye khiyaal rehe k worker to aik nokar hai… Uska kaam amal karna hai…
Apny amal par faisla sadir karna ya khud he andazay laga kar down hojana ya mutmain ho jana, dono he darust nai…
Uska kaam sirf hazir rehna aur duty karna hai.
Ye batil hai jo usay isterah se khud ko janchny par majboor kar k agay ki raah khoti (کھو ٹی ) karny ki koshish karta hai….
Worker khud ko jaanch kar agay khud mein behtari lany ki koshish karta rehe to ismein muzaiqa nai….
Balkay achi baat hai k wo apny point dhoonday, apni kamzooriayn pakray, aur phir un par kaam kar k working mein behtari laye…
Magar uska down hona ya mutmain hona theek nai….

از : ❤ شاہ جی

? “حق کا علم تھامے رکھنا” ?
(محمدی حسینی سلسلہ )


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *