Tip # 48 : Worker ka Hkr se impress hona

Worker ka Hkr se impress hona “

Worker k liye khaas point ye hai k agar wo duniyavi tour par kisi trah se bhi apne sath attached Hkr se mutasir yaani impress hogya to wo usay handle nai kar sakay ga….
Kiun kah aise mein worker usko haq baat nai keh sakta….
Usko wakt k wakt piaar dena aur khainch’na aur usko haq ki raah par rakhna mushkil ho jata hai….
Is liye behtar hota hai k aisa Hkr doosre ustaad ko dain k wo isko agay chalaye….
Impess hona…
Shakal soorat, shakhsiyat, status, nokri, khandan, uthna bethna, bol chaal, yaani in mein se kisi cheez, hatta kay uska piaar tawajo dena bhi agar kisi worker ko mutasir ya impress kar raha hai to ye uskay liye kahtray ki ghanti hai….

از : ❤ شاہ جی

? “حق کا علم تھامے رکھنا” ?
(محمدی حسینی سلسلہ )


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *