Tip # 51 : Working mein Ustaad aur Hkr ka zaviya e Nazar

Working mein Ustaad aur Hkr ka zaviya e Nazar

Ustaad ka kaam hkr ko is taraah se rasta dikhana k wo dunia ki har cheez ko badlay huay zaviya e nazar se dekhnay lagay..
Us ka har cheez ko dekhnay ka zaviya e nazar Allah k ehsas se jurrnay lagay..
Kyun k hum jab dunia mein rehtay hain to nazar dunia aur dunia ki kaamiyabion per, status per, shohrat per, raabton per hoti hai…
Ustaad yehi sab to set kraata hai hkr ko is sab ko haq se aur haqeeqat se jorrna aur us haqeeqat ki roshni mein sab dekhna sikhaata hai…
Ustaad apnay nafs aur zaat per kaam aur safar mein haalat e koshish ki buniyaad per banta hai aur aisay hi uska zaviya e nazar bhi was’see hota hai..
Lekin agar Ustaad apnay hkr ko zaviya e nazar dikhatay dikhatay khud hi duniyawi nazar se Hkr k level per jaa k sochnay, samjhnay lag jaye aur nazar tang hoti jaye usko un points per sikhanay k bjaye, us ki islaah aur darsutgi ki bajaye usi se us sab ka asar lenay lag jaye to wahan uski garift kamzor parr jaati hai…
Yani wo us se mutaasir hua ho aur Ustaad ki tarah se mazbooti se wahan tawazun bar qaraar na raha balkay garift dheeli parri..
Lehaaza is hawale se Ustaad khud per gehri nazar rakhay…

از : ❤ شاہ جی

? “حق کا علم تھامے رکھنا” ?
(محمدی حسینی سلسلہ )


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *