Topic 17 : Ehad ya Waada

*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Ehad ya Wada”
AlQuran Surat Al Imraan
Aayat 76
“Haan jis kisi ny ehad poora keya or parhaizgaari ko ikhtiyaar keya tou beshuk Allah parhaizgaron sy muhabat rakhta hy”
Is aayat e mubarika mein ehad nibhanay or taqwa ya parhaizgari ikhtiyar karnay walon ko Allah ke muhabat ke khush khabri sounai gae hy…
Allah hamein ehad poora karnay wala parhaizgar banda bana dy.
Ameen
Dil sy dua :)
1


*Ihsas ke subh*
Asalam 0 alikoum
“Ehad Ya Wada”
Eefaaey ehad mein beshumaar hikmatein, raaz, khoobiyaan or muhabatein chupi hoe hein… isi waja sy Alkah in sifaat walay shakhs sy muhabat karta hy…
Laikin agar sachaai sy daikha jaey tou ham sy daanista ya nadaanista ziada tar badehdi ho jaati hy….
shaaid hamein is ke ehmiyat ka andaza nahi hy.
Think about it…!!
Alkah hamein ifaaye ehad karnay wala bana dy.
Ameen
Dil sy dua :)
2


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Ehad Ya Wada”
Zindagi k baaz moaamlaat mein sirf zabaani iqraar kar k wada kartay hein…
Or baaz aouqaat hamary kisi qaol o fail k sath khud bakhud ehad ke doori jourr jati hy or zindagi ka koe shoba aisa nahi jis k sath koe ehad wabasta na ho.
Piaray Aaqa S.A.WW ka farman hy k….
“Jo kisi musalman k sath ehad kar k torr daita hy tou Alkah is par tamaam farishton or tamaam logon ke laanat bheijta hy or Allah is k nafal or farz qabool nai karta.
Sochiye…!!
Kia hamein is ke itni sangeeni ka ihsas hy…??
Dil sy dua :)
3


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Ehad Ya Wada”
Wada sirf wo baat he nahi jis mein ham ny ye kaha ho k
“Ye mera wada hy”
Bulky har wo baat jo ham roz marra ke guftagu or moaamlaat k doran kisi shakhs k sath iqraar ke surat kartay hoay osay mutmain kar daitay hein… wada ya ehad kehlata hy.
Allah ny wada ya ehad pora karnay ka hukam deya hy.
Surat Bini Israeel mein Allah ka farman hy k..
“Apnay ehad ko pora karo, is ke baazpurs ho ge”
Think about it…!!
Dil sy dua :)
4


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Ehad Ya Wada”
Hazrat Abu Huraira r.a biyan kartay hein k…
Piaray Aaqa S.A.WW ny farmaya k…
Teen nishaniyan munafiq ke hein,
chahay wo namaz parrhta ho,
roza rakhta ho
or apnay aap ko musalman samajhta ho.
Wo ye hein…
1. Baat karat tou jhoot bolay
2. Wada karay tou khilaf warzi karay
3. Ehad karay or torr dy.
Check your self…!!
Dil sy dua :)
5


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Ehad Ya Wada”
Aik ehad Allah ny duniya or insanai zindagi k aaghaaz sy bohat pehlay roohon ko ikatha kar k oun sy leya tha or farmaya tha..
“Kia main tumara Rab nahi hon*
Tou sab ny kaha tha *haan*
Ab insan ny is duniya mein Allah ke attaat kar k is ehad ka amli saboot daina tha.
Is ehad ke yaad dehani k leay Nabi or Rasool bheijay gaey.
Ham par Allah ke khaas rehmat hy k is ehad ke yaad dilanay k leay Allah ny apnay Piaray Habeeb Piaray Aaqa S.A.WW ko rehmat bana kar bheija or farmaya k…
Surat Nisaa Aayat 80
“Jis ny Rasool ka hukam mana beshuk os ny Alkah ka hukam mana”
Dil sy dua :)
6


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Ehad Ya Wada”
Ehad ka matlab hy, kisi baat ya amal ke hifazat karaty hoay is par qaaim rehna…
Jo shakhs Allah ke ita’at karta ho ga wo shakhs he bandon sy keay gaey ehad par bhe qaaim rehtay hoay isay poora karta hy or asal mein wohi shakhs sacha deendar hota hy.
Hazrar Ans r.a sy riwayat hy k…
Piary Aaqa S.A.WW jab bhe hamaray saamnay khutba irshaad farmaya os mein ya baar bohat baar irshaad farmaai k…
“Os shakhs ka deen nahi jo apnay ehad ka paband nai ho ga”
Allah hamein paband e ehad bana dy.
Aameen
Dil sy dua :)
7


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Ehad Ya Wada”
Chahay koe ita’at karay ya na karay… par har shakhs k zahen mein Allah ke ita’at ka iqraar hy… or wo itna zaror jaanta or maanta hy k hamein Allah ke ita’at karni chahiye or Quran pak mein wazeh taor par apne it’taat k sath Piaray Aaqa S.A.WW ke ita’at mashroot kar de.
Hazrat Abdullah Bin Umar r.a farmatay hein k… Piaray Aaqa S.A.WW ka farman hy k…
“Jo shakhs Allah or Os k Rasool sy ehad shikni kartay hein, on par dushmano ko musalat kar deya jata hy or wo in k amwaal lout kar ly jaatay hein.
Yahan hamein khud ko check karna bohat zarori hy…!!
Dil sy dua :)
8


*Ihsas ke subh*
Asalam 0 alikoum
“Ehad Ya Wada”
Kalma taiyaba bhe aik Ehad hy or is ko parrhnay wala har shakhs khud ba khud aik Ehad ke doori mein bandh jata hy…
Aap kia samajhtay hein k is mein ham sy kia ehad leya ja raha hota hy….??
Allah hamein kalma e taiyaba mein keay gaey ehad ke samajh or sha’our atta kar k is par amal ke taofeeq atta karay.
Aameen
Dil sy dua :)
9


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *