Topic 16 : Duniya

“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
“Duniya”
Hazrat ibn e Abaas r.a frmatay hein k…
Allah ny dunia k 3 hissay keay hein…
Aik hissa Momin k leay…
Aik hissa Munafiq k leay…
Aik hissa kafir k liay…
1. Momin yahan sy aakhrat ka zaad e rah laita hy.
2. Munafiq yahan zaib o zeenat krta hy.
3. Kafir yahan nafa hasil krta hy or dunia k mazaay luat’ta hy.
Check our self…!!
Ham yahan is dunia mein kia hasil kar rahay hein…??
Dil say dua :)
1


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
“Duniya”
Hazrat Jibraeal a.s ny Hazrat Nouh a.a sy pucha k…
Itnii lambii umar Aap ko naseeb hoe…
Tou Aap ny dunia ko kaisa payaa..??
Farmaya…
Is makaan ke traha..
Jis k do darwazay hon aik darwazay sy dakhil ho k admi dosray darwazay sy nikl aye.
Hazrat Nouh a.a ki umar taqreeban ik hazaar saal the.
Aey Allah!!
Hmay dunia k fani honay ka sacha ihsas atta kr dy.ameen
Dil say dua :)
2


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
“Duniya”
Jab hamara thora sa bhe nuqsan ho jata hy tou…
Ham ghamgen ho jatay hein…
Or is ka asar hamaray chehron or bato mein bhe nazar atta hy.
Kia deen k nuqsaan sy bhe ham aisay he ghamgeen hotay hein…
Or hamare baton or chehron sy mehsoos hota hy…??
Dil say dua :)
3


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
“Duniya”
Piyaray AAQA S.A.WW frmatay hein k..
“Allah kehta hy k
Os ny jo kuch bhe paida kea us mein zaleel tareen cheaz dunia hy…
Jo Os ke dushman hy…
Yahan tak k….
Jab say Os ny dunia ko paida kea is ki taraf daikhna tak pasand nahi kea.
Sochiaay..!!!
Agar hamare har soch o amal or koshish sirf dunia or dunia walon k leay ho tou…
Allah hamare taraf daikhna pasand karay ga…??
Dil say dua :)
4


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
“Duniya”
Dunia haq ke raah par dushman ke traha hy.
Is sy barrh kr or ghatiya kia cheaz ho ge k…
Jo banday ka Allah k qurb ke jaanib safar mushkil kar daiti hy.
Haq ke raah k musafir ko ye aisay luat’ti hy…
Jaisay kisi raah’geer ko daaku rastay mein he lout lain…..
Or wo khali hath nadhaal ho kar ghar pohnchay.
So be careful…!+
Allah hamay haq ki raah par chaltay hoay dunia k hatho lutnay sy bachaye.Ameen
Dil say dua :)
5


“Ihsaa ke kiran”
Asalam 0 alikoum
*Duniya*
Dunia ki zindge khail tamasha hy.
Jaisy koe bhe khail ya tamasha daikhty hoay humain ihsas hota hy k bas aarzi hy… is mein koe haqeqat nahi…
kuch lamhon ki baat hy…
Aisay he dunia ke zindge k leay ihsas rakhain k yeh khail tamasha arzi hy…
Ham is faani dunia ko haqeqat or baqi rehnay wali samajh k apnay asal maqsad or haqeqat sy dour ho jatay hain…
Alla hamaray dilon mein dunia ke haqeqat ko outar dy.ameen
Dil say dua :)
6


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
“Duniya”
Quran e Pak mein dunia ke haqiqat ko bohat samjhaya gea hy jis ka mafhoom ye hy k…
“Dunia ke zaib o zeenat or araaish sirf is leay hy k…. Logo ko azmaya jaa sakay k kon log hein jo is zaahiri zaib o zeenat k muqablay mein bin daikhi aakhrat ko yaad rakhtay hoay apnay amal par nazar rakhtay hein”
Think about it…!
Aey Allah..!! Hamein is azmaish mein sy kamiabi sy guzaarna.ameen
Dil say dua :)
7


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
“Duniya”
Hazrat Imam Hussain a.a farmatay hein k…
Dunia mein Ibn e Adam ke jaan 3 hasraton sy nikalti hy…
1. Jo jama keya wo istimal na karay.
2. Jo umeed rakhi wo haasil na Hoe.
3. Aainda ke zindagi ka behtreen zaad e rah na keya.
Allah dunia mein dil laganay sy bacha ly.ameen
Dil say dua :)
8


“Ihsas ke kiean”
Asalam 0 alikoum
“Duniya”
Quran e pak ka ziada tar hissa dunia ki muzamat k baray mein hy…
Or makhlooq ko dunia sy byraghbati or aakhrat ke dawat dainay k leay hy.
Piyaray AAQA S.A.WW ny frmaya…
“Jo dunia sy mohabat karay ga os ke aakhrat ko nuqsan ho ga…
or
Jo aakhrat sy muhabat karay ga os ke dunia ko nuqsan ho ga….
Is leay baki ko faani par tarjee do”
Think about it…!!
Dil say dua
9


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
“Duniya”
Dunia aik pull, rastaa ya guzargaah ke traha hy…
Jahan sy sab ny guzar kar dosre taraf jana hy…
Yahan rehna nahi hy bus guzarna hy yahan sy…
Kia aap bhe aisa he samajhtay hein…???
Dil say dua :)
10


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
“Dunia”
Dunia ko aik mari hoe kharish zada bakri sy tashbeeh de gae hy…dunia ki jo haqeqat batai gae hy os mein sy bahot kuch ham ny sounaa hoa hy…
Laken os ka aser lay k dunia sy bayraghbat nafs nai honay daita….
Dunia mein agar koe mari hoe kharishzada, bakri khanay ko dy tou kia ham kha lain gy…??
Nahi na…
Tou phr dunia ki lazatoun say itnaa mehzouz kion hotay haan…
Think about it…!
Dil sy dua :)
11


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
“Dunia”
Dunia azmaish ka ghar hy.
Ham es point sy waqif hein laken shayid is mein chupay raaz say aashna nai hein…
Ya kabe hum khud ankhaain bund kar laaitay haan….
Dunia mein ham azmaaish k leay bhaijay gaeay hain jis ka nateeja aglaay jahan mein dy dea jaeay ga.
Jaisay dunia k kamra imtihan mein sirf imtihaan k leay jatay hain…
Wahan kisi or cheez ki chahat ya tawaqou nai kerty…
Aisay he ager es dunia ko azamish ka ghar smjh lain gy tou bouht ache tarha es azmaish say niklna aa jaeay ga.
Try it…!
Dil sy dua :)
12


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
“Duniya”
Imam ghazali kemiye saadat mein aik hadees mubarka k hawalay sy likhtay hein k
Qiamat k din dunia ko ik aisi bad shakal burrhia ke shakl me laya jaey ga… k jis ki ankhein sabz or daant bahir nikal deay gay hn gy…
Log is ko daikh kr Allah ki panah mangtay hoay pochayn gy k Ye kon hy…??
Btaya jayga k ye wohi dunia hy Jis ki khaatir tum aik dosray sy bughz, keena or dushmani rakhty or khoon bahatay thy”
Afsoos k ham aik bad surat burriha ke chahat me apnay piaray Allah sy dour hotay ja rhay hotay hn”
Think about it..!
Dil sy dua :)
13


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
” Duniya”
Dunia ki zindge mein waqt itna taizi sy guzar raha hy k
Ham byikhtiar kehtay k waqt ka tou pata he nai chalta…
Subh sy shaam ho jati hy etc…
Ham waqt k guzrnay ko bas dunia k hisaab sy daikhtay rehtay hain.
Or apnay asal maqsad tak pouhnchny k leay zayaa honay walay waqt ka ihsas nahi rakhtay.
Check our self…!
Dil sy dua :)
14


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
*Duniya*
Dunia ko momin k leay qaid khana kaha gea hy…
Kion k momin ke nazar apny abdii ghar ke taraf lagi hoti hy..l
Os ka dil is dunia ke fani rangenion mein nahi laga hota…
Wo har lamha yahan ke qaid sy aazaad honay ke justajou mein laga rehta hy….
Or is justajou samy os ka abdii thikana behter sy behter hota chala jata hy.
Check our self..!
Kia duniya hamaray leay bhe waid khana hy…??
Dil sy dua :)
15


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
“Duniya”
Al Quraan Surat Al Ankaboot Aayat# 64
“Aey logo…!!
Ye dunia ki zindagi khail tamasha hy…Or is k siwa kuch nahi hy.
Haqeeqat me akhrat ka ghar he asal zindagi hy… Kash ye log ye raaz jantay”
Kahein ham jaan k bhe anjaan tou nai banay hoay…??
Think about it…!!
Dil sy dua :)
16


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *