Topic 15 :Hadood sy tajawuz karna.

“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
*Hadood sy tajawuz karna.*
Allah ki rehmat or ehsaan hy k Allah ny apnay bandon or emaan walon par oun ke bhalaai k leay…
Zindagi ki kuch hadood muqarar kar k samjha dea k….
In k andar rehtay hoay tum log apne dunia o akhrat sanwar saktay ho…
Lykin agr koe in hadood sy tajawz krtay hoay agay niklta hy tou dunia os k demagh par qabza kr laiti hy…
Shetaan is ka dost ban kar piar sy mashwary daita hy…
Or gunah os k har amal mein shamil ho jatay hein.
Aey Allah!!
Hmaeein apne pasand k bajaye Too apne pasand or hukam par chalnay wala bna dy.ameen
Dil say dua :)
1


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
“Hadood sy tajawuz karna”
Asal mein Allah ki banai gae hadood hamary leay…
Allah ki muhabat rehm o karm ki panah gaah hein…
Jb dil mein Allah ka ihsaas kam honay lagtaa hy…
Tou he ham dunia or shaitaan ke banai hoe rah par chaltay hoay Allah ki banai hoe hadood sy tajawuz krnay lag jatay hein.
Lykin jaisay he ihsaas ho jae to foran…
Allah k samnay sharminda ho kr…
Apne khataon ka iqraar kr k maafi mang lain…
Or toba kar k ham phir Allah ki hadood ke panah gah mein wapis a sktay hein.
Try it…!
Dil say dua :)
2


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
“Hadood sy tajawuz karna”
Jab koe shakhs kisi k bulanay ya ishara par he os ke jaanib chal parray tou os ka hukm man’nay wala kehlaye ga…
Is traha jab hm Allah k ehkamaat ka ehsaas na kartay hoay nafs or dunia ya shaitaan k isharay par os ki jaanib chal parrtay hein to ham kis ka hukam man’nay walay kehlaein gy…??
Ye lamha e fikriya hy k kion na ham aaj he sharminda ho kar toba kar lain…
Or naey siray sy Allah ke hadood mein rehnay ke koshish krtay hoay…
Allah ka hukam man’nay walay ban jaein…
Aey Allah..!!
Is koshish mein hamary madad farma.ameen
Dil say dua :)
3


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
*Hadood sy Tajawuz karna*
Al Quraan
Surat Al Baqra
Aayat # 190
“Byshak Allah had say tanawuz krnay walon say muhabat nahi krta”
Allah hmaein attat or frmabrdarii ki zindagi guzarnay ki tofeeq atta kar dy.ameen
Dil say dua :)
4


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
*Hadood sy Tajawuz karna*
Jab ham hadood sy tajawuz kar rahay hotay hein tab hamein Allah k ihsas k sath koe sharm o haya or khaof mehsoos nahi hota.
Ham bholay hoay hotay hein k aik din Allah k samnay oaish ho kar in tamaam baton ka jawab daina hy…
Think about it…!
Itni barri haqeeqat ham kion bhol jatay hein…??
Dil say dua :)
5


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *