Topic 13 : Shukar

“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
*Shukar*
Allah ke attat ka naam shukar hy…
Bulky is tara kaha jaey k zaahir o baatin k tamaam aazzaa sy attat ka naam shukar hy.
Kisi ny Allah ke nafarmani sy bachnay ke koshish ke tou wo bhe shukar hy.
Jis ko shukar ke taofeeq mil jaey bohat bara karam hy Allah ka apnay is banday par…
Quran pak ke Surat Nissa mein hy k…
“Beshuk kam hein mere banday jo mere shular guzar hein.
Allah hamein apna shukar guzar bana dy.ameen
Dil sy dua :)
1


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
*Shukar*
Hazrat Abu Huraira sy riwayat hy k…
Piaray Aaqa S.A.WW ny farmaya k…
“Jis k sath Allah bhalaai ka irada karta hy tou umar mein ziyaadti or shukar ke taofeeq sy osay naawazta hy”.
Allah hamaray dil k dar roshan kar k shukar ka ihsas baidar karay.ameen
Dil sy dua :)
2


“Ihsas ke kiran”

Asalam 0 alikoum

*Shukar*

Sabar or shukar islam k azeem tareen aamal mein sy hein k jis mein ye wasf nai wo islaam sy aari hy.Hazrat Ans r.a sy riwayat hy k…Emaan k do hissay hein.1. Sabar2. ShukarJis dil mein jitna ye ihsas ho ga os ka emaan outna he mazboot ho ga.

Think about it…!!

Dil sy dua :)
3


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
*Shukar*
Piaray Aaqa S.A.WW ka farman hy k…
“Beshuk Allah os sy muhabat karta hy k Os ke naimat ka asar banday par dikhaai dy.
Naimaton k shukar ka aik andaz ye bhe hy k insan ke zaat sy in ka izhaar ho….
Yani naimaton ko hasbay haisiyat istamal mein laya jaey par fazool kharchi sy bacha jaey…
Aaj is hawalay sy apna aao check karein…!!
Dil sy dua :)
4


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
*Shukar*
Shukar ke taofeeq kaisy paida ho ge…??
Hazrat Abu Huraira r.a sy riwayat hy k Aap S.A.WW ny farmaya…
“Jab tum mein koe khuda ke naimat ke qadar (shukar) ada karna chahay tou apnay sy kamzor ko daikhay… apnay sy oupar walay ko na daikhay”
Apnay sy kamzor par nigaah rahay ge tou shukar ke taofeeq ho ge jab k apnay sy oupar nigaah rahay ge tou nashukri ka ihsas paida ho ga”.
Try it…!!
Dil sy dua :)
5


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
*Shukar*
“Shukar zawaal e naimat sy hifazat hy”
Hazrat Umar r.a sy riwayat hy k…
“Naimat pat Khuda ke tareef is k zawaal sy amaan hy”
Koe naimat haasil ho tou osay apna kamaal na samjhein bulky Allah ke taraf sy Os ka khaas fazal samjhein k…ye Allah k fazal sy mila warna main ya mera amal is laaiq hargiz nahi… yehi shukar hy naimat ka jo zawaal sy bacha laita hy.
Allah hamein naimaton k shukar karnay ka sahi shaorr atta karay.ameen
Dil sy dua :)
6


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
*Shukar*
Allah ka shukar guzar banda…
Jo bandon ka shukar adda karta hy… oun ke nawazshon ke shukar or on ke qadar karta hy wohi Allah ka bhe shukar ada karay ga.
Matlab k bandon ka shukar adda karna… Allah ka shukar guzar banda honay ke allamat or maiyaar hy.
Hazrat Usama Bin Zaid r.a sy riwayat hy k…
Piaray Aaqa S.A.WW ny farmaya
“Khuda ka shukar guzar banda wo hy jo logon ka shukar adda karnay wala ho”
Apna jaaisa lain k kia ham aisa kartay hein.. ??
Dil sy dua :)
7


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
*Shukar*
Shukar ko Qilaa kaha geya hy or is mein daakhil honay wala shaitaan k hamlay sy bach jata hy.
Check our self…!
Kia han shaitaan k hamlay sy mayousi mein mein chalay jatay hein ya naimaton par nazar rakh k shukara mein rehtay hein….??
Dil sy dua :)
8


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
*Shukar*
Shukar or nashukri mein farq ye hy k…
Agar ham Allah ke atta ke naimaton ko Os k pasand k kamo mein istamal karein tou shukar…
Or
Agar ham Allah ke naimaton ko Os k napasandeeda kamo mein istamal karein tou nashukri.
Ham kia kartay hein…??
Dil sy dua :)
9


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
*Shukar*
Jitna hamein Allah ke aashnaai hoti ja rahe hoti hy…
Outna he hamaray andar Allah k sath shukar ka ihsas barrhta jata hy…
Nashukri ir shikway mein surf wohi rehtay hein jinhein Allah ka ihsas e aashnaai nai hota.
Think about it…!!
Dil sy dua :)
10


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
*Shukar*
Nashukray insan ke aik barri nishaani ye hy k… wo museebat mein tou Allah ke taraf raju karta hy par museebat dour hotay he Allah ko bhol kar apne porani rawaish apna laita hy…
Par shukar guzar har khushi ghamm mein Allah k aagay he jhukta hy.
Sochiyee…!!
Ham kia kartay hein…!!
Dil sy dua :)
11


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *