Topic 12 : Fazool Kharchi

“Ihsas ke kiran”
Asalam o alikoum
*Fazool kharchi*
Israaf ya bejaa kharch say insani zindagi or moashray mein adam istehkam paida hota hy…
Is liay Allah aisay logon ko pasand nahi karta.
Al Quran Surat Al Inaam Aayat 141
“Beshak wo israaf karnay walon say muhabat nahi rakhta”
Or jisay Allah pasand na karay or muhabat na rakhay to os ka thikana or maqam kia ho ga…??
Dil say dua :)
1


“Ihsas ke kira”
Asalam o alikoum
*Fazool kharchi*
Zaroorat ko poora karnay k leay apne haysiat k mutabik kharch karna ya…
Khawhishat e nafsani…
Ya lazat e dunia ke chahat me kharch krna..
In dono mein bohat farq hy.
Think about it…!
Dil say dua :)
2


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
“Fazool kharchi”
Islam zindagi k har mamlay mein miana ravi ka sabq daita hy….
Is leay jahan fazool kharchi or israaf sy bachnay ka hukam hy…
Waheen boukhal ya kanjoosi sy bhe mana keya geya hy…
Allah hamein in dono say bacha k apne pasand k mutabiq kharch karnay walo mein shamil kar dy.ameen
Dil say dua :)
3


“Ihsas ke kiran”
Asalam o Alikoum
*Fazool kharchi*
Kanjoosi sy muraad ye hy k…
Insaan ye samjhay k jo kharch keya wo zaya ho geyaa…
Jo bacha leyà wo barra kam aye ga.
Sochiyee..!
Kahein ham bhe yehi tou nai kartay…??
Allah hamein boukhal karnay walo mein shamil honay sy bacha lay.ameen
Dil say dua :)
4


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
“Fazool kharchi”
Al Quraan
Surat Al Baqra
Aayat # 190
“Byshak Allah had say tanawuz karnay walon say muhabat nahi krta”
Allah hamein attaat or frmabrdarii ki zindagi guzarnay ki tofeeq atta kr dy.ameen
Dil say dua :)
5


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
*Fazool kharchi*
Aaj ham apna jaiza lain gy or jab jab ham ny Allah ki banai hoe hadood sy tajawuz kar k fazool kharchi ke…
Os par sharminda ho kr sachay dil sy maafi maang k toba krein gy…
Kion k..
Surat Al Baqra
Aayat # 222
“Byshak Allah toba krnay walo ko pasand krta hy”
Aey Allah hm sy jb be danista ya na danistaa Teri bnai hoe hadood sy tajawuz kartay hoay fazool kharchi hoe…
Is pr sachi toba ki tofeeq atta farma dy.ameen
Dil say dua :)
6


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
*Fazool kharchi*
Allah ki atta ke hoe naimaton ko oun k…
Maqsad or faiday k leayy istamaal karnay ke bajaye…
Sirf apne khawhish or lazzat k leay istamaal karna bhe…
Fazool kharchi or israaf kehlaey ga…
Allah hamein shaoor atta karay k fazool kharchi or israf ke samajh aey.ameen
Dil say dua :)
7


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *