Topic 11 : Hassad

*Ihsas ke Kiran*
Asalam 0 alikoum
“Hassad”
Hassad ke tareef ye hy k kisi shakhs ko koe naimat milay…
or wo hamein buri maloom ho…
or ham ye chahein k…
is shakhs ko ye naimat na milli hoti…
yea ab is k pass na rahay.
Allah hamein is buraai sy bachaey rakhay.ameen
Dil sy dua :)
1


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Hassad”
Piaray Aaqa S.A.WW ny farmaya…
“Hassad naikion ko is tara kha jata hy…
Jaisay aag khushk lakrrion ko”
Zara sochiyee…!
Apne itni mushkil sy akathi ke hoe naikion ko kisi ke waja sy jala kar raakh kar daina bhala kahan ke aqalmandi hy…??
Dil sy dua :)
2


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Hassad”
Jis shakhs sy hassad ho ham jab os shakhs ko daikhein gy ya milein gy ya sochein gy tou apnay dil mein bechaini… bewaraari or besakooni mehsoos karein gy.
Is tara ham khud aasani sy apna jaaiza ly saktay hein k… kisi sy hassad kartay hein ya nai…??
Dil sy dua :)
3


*Ihsas ke subh*
Asalam 0 alikoum
“Hassad”
Hassad karnay wala Allah k ghussay ka nishana bana hota hy… kion k jab ham Allah ke naimat kisi k pass daikh kar os sy hassad kar rahay hotay hein tou asal mein ham…
Allah ke apnay bandon par naimaton ke taqseem par naraaz ho rahay hotay hein…
Sochiye ga…!!
Aisa he hy na??
Dil sy dua :)
4


P*Ihsas ke subh*
Asalam 0 alikoum
“Hassad”
Piaray Aaqa S.A.WW ny farmaya…
“Musalmaano…!! Tum mein wo cheez paida honi shuru ho gae hy k jo tum sy pehlay bohat se qaomo ke halakat ka baais ban chuki hy…
wo cheez hassad or adaawat hy”
Check ou self…!!
Dil sy dua :)
5


0*Ihsas ke subh*
Asalam 0 alikoum
“Hassad”
Hazrat Mosa a.a ny aik shakhs ko arsh k saey mein daikha tou pocha k ye kon saahab hein…??
Allah ny naam tou na bataya par faramaya k in k kirdaar sy Aap (a.a) ko bakhabar kar daita hon…
Is shakhs ny kabhe hassad nai keya.
Arsh ka saya atta ho ye har aik tamana hy…
Aaj dua hy k hamara pehla keya hassad maaf kar k aagay k leay is buraai bacha ly.ameen
Dil sy dua :)
6


0*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Hassad”
Jis tara hamein hassad sy bachnay ka hukam deya geya hy
Isi tara haasid k shar sy bhe panaah maangnay ke dua k leay kaha geya hy…
Quran pak mein is tara dua karnay ko kaha geya hy k…
“Allah ke panaah maangta hon haasid k shar sy jab wo hassad karay”.
Ameen
Dil sy dua :)
7


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *