Topic 18 :

“Ihsas ki kiran”
Asalam 0 alikoum
*Ghussa*
Bad ikhlaqi mein sub sy khatrnaak or numayan burai gussa hy.
Gussay ki asal aag hy.
Or is aag k asraat gussa krnay walay k dil ko sub sy zyada mutasir krtay hein.
Allah hmaray dilo ko gussay ki aag sy bachaye.ameen
Dil sy dua :)
1


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum:-)
“Ghusa”
Gussa aag hy or aag ko qarrar nahi…
Is liay gussa krnay walay k ander bychaini or bysakooni paida ho jati hy.
Aaj jab bhe gussay ki ye aag barhay apnay andar is ki bychaini or bysakooni ko zroor check krein…??
Dil say dua :)
2


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 Alikoum
“Ghussa”
Ghussa aag hy or aag shaitani sift hy.
Is liay jo bhe gussa krta hy.
Wo os waqt shaitani amal kar k…
Is shetani sift ko apna raha hota hy.
Kion k os ny apnay ander aag bharrka rakhi hoti hy.
Think about it…!!
Allah hamein is shaitani sift sy bachnay ki tofeeq atta kray.
Aameen
Dil say dua :)
3


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
“Ghussa”
Hazrat Ibn e Umar r.a ny Piyaray AAQA S.A.WW sy pucha k…
Kon si cheez mujhay Allah k gussay sy dour rakhay ge…??
To AAP S.A.WW ny farmaya…
“Ghazabnaak na hona”
Aakhrat mein achay anjaam ki umeed k leay bhe farmaya…
“Jaan boujh kar ghazabnaak na hona”
Try it…!!
Dil say dua :)
4


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
“Ghussa”
Allah ny gussay ko hamaray ander aik insani sift k toar par rakha hy…
Ta k jo Allah ka pasandeeda banda ban’na chahay…
Wo is sift ko bouraion or gunahon k khilaaf taqat k taor par istimal karay.
Kaash ham bhe is taqat ko shaitaan k khilaf istimal kar skein.
Check our self…!
Kia ham aisa karnay ke koshish karty hein…??
Dil say dua :)
5


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 Alikoum
“Ghussa”
Al Quran Surat Al Imran Aayat # 134
“Or gussay ko zabt karnay walay or logon ko maaf krnay walay,
Allah aisay naik logon ko mehboob rakhta hy”.
Kia ham gussay ko zabt kartay hein…??
Dua hy k….
Allah hmaein gussay ko zabt krnay or logon ko maaf krnay wala bana dy.ameen
Dil say dua :)
6


“Ihsas ke subh”
Asalam 0 alikoum
“Ghussa”
Gussay k waqt…
“Aa’ouzu bi’Allah’he minash’aita’nirrajeem” parrh kar panah mangna Allah ki shaitaan mardood sy…
Or agar kharray hein tou beith jaein…
Or beithay hein tou lait jaein…
Aisa karnay sy gussa kamzor ho jata hy.
(sunnat e Nabvi)
Try it.. !!
Aey Allah..!!
Hamay sunat ki raah par chaltay huay gussay par qabo panay ki taqat atta kr dy.ameen
Dil say dua :)
7


“Ihsas ke kuran”
Asalam 0 alikoum
“Ghussa”
Gussay ki shiddat mein dua ka behtreen istamaal kar k faida hasil keya ja sakta hy.
Dua mein apnay amal par nazar rakhtay hoay khud ko Allah k ghazab sy daraana…
Or sochna k jitni mere quwat is shakhs par hy.
Is sy ziyada taqat Allah ki mujh par hy.
Agar aaj main ny is par gussa keya… tou kal qiyamat k din Allah k azaab sy kon bachaye ga.
Allah hmaein darguzr krnay ki tofeeq atta frmaye.ameen
Dil say dua :)
8


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
“Ghussa”
Shaitaan ka maqoola hy k…
Ibn e Adam mujh par kaisay gaalib a sakta hy kion k…
Jab wo khush htlota hy to mein us k dil mein rehta hon…
Or jab wo gussa hota hy tou ourr kar mein os k sar par chala jata hon.
Yani khushi mein ham aksar Allah ka shukr adda nahi krtay…
Or gussay mein shaitaan ham sy apne marzi k kam karwata hy.
Think about it…!!
Allah hmein shaitaan k galbay sy bachaye.ameen
Dil sy dua :)
9


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
“Ghussa”
Hazrat Hassan r.a ny farmaya k…
“Aey ibn e Adam too gussay mein itna uchalta hy k… dar lagta hy k shaid ab ki uchaal mein too dozakh mein ja parray.
Gussa insan k hosh o hawas khatm kar dyta hy… Or is k thanda honay par hamein apnay nuqsan ka andaza hota hy jo k laotaya nahi ja sakta.
Allah aisay maoqay par hosla or samjh atta kar dy.ameen
Dil say dua :)
10


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
“Ghussa”
Piyaray AAQA S.A.WW ny farmaya…
“Barra pahelwaan wo hy jo gussay k waqt apnay nafs par qaboo rakhay”
Yani pehlwan wo nahi jo apni jismani taqat sy logon par qaboo pa lay…
Balkay pahelwaan wo hy jo apni taqat k istimal sy gussay k wqt nafs ko qaboo mein rakhay.ameen
Try it…!!
Dil say dua :)
11


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
“Ghussa”
Piyaray AAQA S.A.WW ny farmaya…
“Beshak gussa aag hy or aag ko pani bujha sakta hy”
Jab koe tum mein say gussa ho to ousay chahiaay k wazu karay”
Try it…!!
Allah hmay is shetani aag k bharkanay sy apni panah atta kr k bacha lay.ameen
Dil say dua :)
12


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
“Ghussa”
Kisi shakhs k liay gussay ko apnay andr say khatm karna mumkin nahi par koe chahay to…
Gussay ko pee jana mumkin hy.
Kion k taqat rakhnay k bawajood gussay ko pee janay wala qiyamat k din Allah ke khoob razaa hasil krayn gy.
Ye mushkil hy par namumkin nahi…!!!
Dil say dua :)
13


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
“Ghussa”
Tezzi bywaqofi ki jarr hy or is ki mansha gussa hota hy.
Gussay ki jarr ko dil say nikalna mumkin nahi hy…. par is ki taizi ko torrna or is ko kamzor kar daina mumkin hy.
Yahan tak k hamaray andar is ka josh na honay paye…
Or is ko itna zaeef bana deya jaey…
K gussay ka asar chehray par b mehsoos na ho.
Ye nafs par kaam k leay afzal hy.
Allah ham sub ko ye krnay ki tofeeq atta kray.ameen
Dil say dua :)
14


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
“Ghussa”
Hazrat Umar Farooq r.a sy riwayat hy k…
Piyaray AAQA S.A.WW ny farmaya…
“Jo gussay ko rokay ga Allah us k aaib dhanpay ga”
Think about it…!!
Allah hamay gussay ko roknay ki tofeeq dy…
Takay hm gussay mein kisi k aaibon par sy parda na outhaein….
Or Allah hmaray aaibo par parda dalay rakhay.ameen
Dil say dua :)
15


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *