Topic 19 : Tanz o Tamashkur

“Ihsas ke kuran ”
Asalam 0 alikoum
“Tanz o Tamaskhur”
Al Quran Surat Al Hujrat Aayat # 11
“Emaan walo…!
Koe qaom kisi qaom ka mazak na ourraye….
Mumkin hy k wo log un sy behtr hon or na ourtein dosri ourton ka….Mumkin hy k wohi ourtein mazak ourranay wali ourton sy behtr hon…or na aapas mein tana zani or ilzaam tarashi keya karo”
Sochiye ga zaror…!!
Allah hmaein Quran k ehkamat par amal krnay ke tofeeq dy.ameen
Dil say dua :)
1


“Ihsaas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
“Tanz o Tamaskhur”
Hazrat Imam Gazali r.a ny likha k…
Jo log dunia mein logon par hanstay hein…
Qiyamat mein in par bhe hansi hogi wo youn k…
Aik darwaza jannat ka khoal dea jae ga or kaha jaey ga k…
Yahan aao musebat k maray jab wahan pohnchein gy tou…
Wo band kar dea jaey ga or dosri tarf bulaya jaey ga jb wo wahan pohnchein gy tuo phir wohi hal hoga…
Or aisa he bar bar hota rahay ga yahan tak k wo thak jaein gy…
Or bulanay par bhe nahi jaein gy.
Allah is azab sy apne panah me rakhy.ameen
Dil say dua :)
2


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
“Tanz o Tamaskhur”
Piyaray AAQA S.A.WW ny farmay k…
“Aadmi k boura honay k leay itna kafii hy k wo apnay muslman bhai ko haqeer janay”
Think about it…!
Kion k kisi ka mazaq ham tab he ourratay hein jab osay haqeer samajhtay hein…!!
Allah hamay muslman ki tanz o tamaskhur krnay sy apni panah atta farma dy.ameen
Dil say dua :)
3


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
“Tanz o Tamaskhur”
Tanz o tamaskhur or tehqeer ka izhaar ham tab he kartay hein…
Jab ham aglay shakhs ko har lihaz sy apnay sy kamtar samjhtay hein…
Or khaas taor par ye bhe jantay hein k…
Wo is k badlay mein hamaray samnay zaban nahi kholay ga.
Kia aap is baat sy mutafiq hein…??
Dil say dua :)
4


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 Alaikoum
“Tanz o Tamaskhur”
Allah apnay jis banday sy 70 maon sy zyada piyar krta hy….
Hm us k sath kaisa salooq kar rahay hein.
Izzat daina or zilat daina Allah k hath mein hy…
Ham kisi ko neecha dikha kar sirf apnay ghatia pan ka saboot daitay hein…
Hamare har khoobi Allah ke atta karda hy…
Is mein hamara koe kamal nahi.
Allah aibon ke parda poshi karnay walo ko pasand karta hy…
Phir hmara kisi k aaib ya khami par hansna kion…???
Sochiyee…!!
Dil say dua :)
5


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
“Tanz o Tamaskhur”
Hansi mazak sirf is surat mein jaiz hota hy k… Jab hamare baatein ya isharay kisi ke dil aazari ka bais na banein…
Balkay aglay ka dil khush kar dain…
Try it…!!
Aey Allah hamay kisi ki dil azari ki himmat na daina.ameen
Dil say dua :)
6


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 Alikoum
“Tanz o Tamaskhur”
Piyaray AAQA S.A.WW ny farmaya…
“Mein mazak krta hon lykin haq k siwa kuch nahi kehta”
Jaisa k aik bar kisi ny AAP S.A.WW sy ount manga…
AAP S.A.WW ny frmaya…
“Tujhy ount ka bacha dea jaey ga”
Is ny kaha mujhay ount k bachay sy kea kam wo mujhay gira dy ga…
Tou AAP S.A.WW ny farmaya…
Har ount dosray ount ka bacha hota hy…
Khwa kitna bhe barra ho jaey.
Dil say dua :)
7


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
“Tanz o Tamaskhur”
Kisi sy bhe hansi mazak sirf wohi shakhs kar skta hy…
Jo apnay sath keay gaey hansii mazak ko bardasht krnay ka hosla rakhta ho.
Apna jaiza lain k kia aap mazaq bardasht kar saktay hein…??
Allah hm sub ko jaiz mazak ka shaoor atta frmaye.ameen
Dil say dua :)
8


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
“Tanz o Tamaskhur”
Ham jantay hein k…
Tanz o tamaskhur or tehqeer krna Allah or Piyaray AAQA S.A.WW ka pasandeda amal nahi hy.
Tou phir hamaray ander wo kon sa ihsas hy jo hamein aisa karnay par majboor karta hy…???
Dil say dua :)
9


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
“Tanz o Tamaskhur”
Kisi shakhs k halat o mamlat ya…
Is ki guftagu ki waja sy is par tanz krtay hoay…
Is ki hansi ourrana, tanz o tamaskhr kehlata hy.
Think about it…!!
Allah hmay is buri adat sy apni panah mein rakhay.ameen
Dil sy dua :)
10


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
“Mazak ya Tamaskhur”
Mazak jaiz jo Piaray AAQA S.A.WW sy sabit hy.
Is mein na kisi ki dil azaari ho, na koe jhooti ya khilaf e waqiya baat zaban sy niklay…
Or na he ye hamare aadat ban jaey…
Balkay kabhi kabhi et’tifaqan ho jaey.
Tamaskhr haram hy is mein kisi ki dil azari hoti hy or jhoot shamil hota hy.
Khud ko check karen..!!
Ham mazak krtay hein ya tamaskhur…???
Dil say dua :)
11


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
“Tanz”
Jis shakhs k baray mein kisi bhe qisam ki tanzia baat ka izhar kea ja rha ho chahay…
Wo samnay mojoud ho ya na ho tanz he kehlaey ga.
Allah hmay is burai say mehfoaz rakhay.ameen
Dil say dua :)
12


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
“Tanz ”
Tanz krnay wala halankay…
Asal bat k bilkul oulat alfaz istimal kar rha hota hy.
Or wo ye bhe jaanta hota hy k…
Wahan mojoud log baat k andar chupay hoay matlab ko achi traha jaan gaey hein.
Sochiay…!!!
Dil say dua :)
13


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
“Tanz ”
Tanz k leay alfaaz he zroori nahi hotay…
Balkay ham isharon or harkaat o saknaat sy bhe is ka izhaar kartay hein.
Or khaas baat ye hy k tanz ka izhaar haqeeqat par mabni alfaaz or isharo par he hota hy.
Think about it…!!
Dil say dua :)
14


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *