Topic 20 : Ikhlaaq e Hasna

“Ihsas ke kiran”
Asalam o Alikoum
“Ikhlaaq e Hasnaa”
Piaray AAQA S.A.WW ny farmaya k…
” Allah ny mujy makaram e ikhlaaq ke takmeel k leay bheija hy”
Allah hamein ba ikhlaq bana dy.
Aameen
Dil say dua :)
1


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
“Ikhlaaq e Hasnaa”
Piary AAQA S.A.WW sy kisi ny pucha k…
” Kon sa momin emaan mein afzal tareen hy??
AAP S.A.WW ny farmaya…
“Jis ka ikhlaaq sub sy behtr ho”
Check your self…!!
Allah hamein behtreen momin ki sifaat ata kr dy.
Aameen
Dil say dua :)
2


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 Alaikoum
“Ikhlaq e Hasnaa”
“Ikhlaaq e Hassna”
is ko do ilfaz na samjhein..
Balkay is mein zindagi k wo tamam moaamlaat attay hein…
Jin mein ham apnay hath ya zaban sy kisi shakhs ke dil aazari ka baais na banein.
Try it…!!
Allah hamay ikhlaaq e hassna ke fazeelat ka ihsaas atta kar dy.Aameen
Dil say dua :)
3


“Ihsas ke kiran”
Asalam o Alaikoum
“Ikhlaaq e Hasnaa”
Hazrat Ans r.a sy riwayat hy k…
Piary AAQA S.A.WW ny frmaya k…
“Ikhlaaq e hassna gunah ko aisay bana daitay hein…
Jaisay suraj jamay hoay pani ko”
AAP S.A.WW aksr aisay dua krtay k…
“Aey Allah !!
Mein tujh sy tandarusti o afiaat or hussn e ikhlaaq mangta hein”
Try it…!!
Dil say dua :)
4


“Ihsas ke kiran”
Asalam o Alikoum
“Ikhlaaq e Hasnaa”
Khush ikhlaaqi ham sirf achay ilfaaz say he khush ikhlaaqi ka muzahira nahi kar sktay…
Balkay hamein chehray k tasuraat say bhe khush ikhlaaqi ka muzahira karna hota hy.
Dil say dua :)
5


“Ihsas ke kiran”
Asalam o Alikoum
“Ikhlaaq e Hasnaa”
Jis shakhs k ander hussan ho ga tou…
Wohi kisi dosray k sath hussn e ikhlaaq say paish aey ga…
Kion k jo kuch hmaray pass hota hy…
Ham wohi to agay paish kartay hein na….
Dil say dua :)
6


“Ihsas ke subh”
Asalam 0 Alikoum:-)
“Ikhlaaq e Hasnaa”
“Ikhlaaq ke khubiaan ”
Ikhlaaq ki khubian ye hein k….
Jo ham say torray ham ous k sath jorrein…
Jo hamein mehroom rakhay ham usay atta krein…
Jo ham par zulm karay ham ous say darguzar karein…
Try it.. !!
Allah hamay ikhlaaq ki khubian atta kar day.Aameen
Dil say dua :)
7


“Ihsas ke kiran”
Asalam o Alaikoum
“Ikhlaaq e Hasnaa”
Hazrat Fazil r.a sy riwayat hy k…
Piaray AAQA S.A.WW say kisi ny arz kea k…
Aik aourat din ko rozza rakhti hy or raat tahajud parhti hy…
Magar bad ikhlaaq hy, hamsayon ko zabaan sy takleef daiti hy.
AAP S.A.WW ny farmaya…
Is mein koe khair nahi, wo dozakhiyon mein say hy”
So be careful…!!
Allah bad ikhlaaqi sy bachaye.ameen
Dil say dua :)
8


“Ihsas ke kiran”
Asalam o Alikoum
“Ikhlaaq e Hasnaa”
“Khush ikhlaaqi ka rutba”
Piaray AAQA S.A.WW ny farmaya…
“Qiyamat k din mujhay tum mein say mehboob tar or mere majlis k qareeb tar wo hy k Jo…
Sub say ziyada ikhlaaq wala hy.
Jaisay ham dunia ki kamyabi panay k leay din rat aik kar daitay hein.
Aisay he Allah hmay achay ikhlaaq k zariye daaimi zindagi mein bhe kamiyabi hasil krnay ki tofeeq atta kray.
Aameen
Dil say dua :)
9


“Ihsas ke kiran”
Asalam o Alikoum
“Ikhlaaq e Husnaa”
Kisi aik achi adat ka naam nahi…
balkay achii aadaat k majmoay ka khulasa hy…
Piaray AAQA S.A.WW ka farman hy k…
“Apni aadaat ko khubsurat banaao”
Try it…!
Allah ham sub ko apne aadaat ko khubsurat bnanay or sanwarnay ki tofeeq atta frmaye.(Ameen)
Dil say dua :)
10


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 Alikoum
“Ikhlaaq e Hasnaa”
“Bad ikhlaaqi sy chutkara”
Har qisam ki rohani bimare ka illaaj is bimare ki zidd hota hy.
Garmi sy paida honay wali bemari ka illaaj sardi hy.
Ghussay say paida honay wali bimare ka illaaj bourd bare hy.
Aisay he jo shakhs naik kaamo ki aadat dalay ga…
Tou achay ikhlaaq paida hon gy.
Allah hmaray dillon ko naik ousaaf ke tarf phair dy.
Aameen
Dil say dua :)
11


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 Alikoum
“Ikhlaaq e Hasnaa”
“Husan e ikhlaaq walo ka rutba”
Hazrat Ans bin Malik r.a say rawayat hy k…
Piaray AAQA S.A.WW ny frmaya…
“Jis ny jhoot ko chorr dea k wo galat tha… ous k leay mehal jannat k shuru mein ho ga…
Or
Jis ny jhagrra khatam kar deya bawajood yeh k wo haq par tha… ous k liay mehal jannat k darmiyan mein ho ga…
Or
Jis ny umda ikhlaaq ikhtiyaar keay…ous k leay jannat k buland o bala hissay mein mehal bnaya jaey ga.
Think about it…!!
Dil say dua :)
12


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 Alikoum:-)
“Ikhlaaq e Hasnaa”
Hazrat Abu Huraira r.a sy riwayat hy k
AAP S.A.WW ny frmaya…
K Allah ny Hazrat Ibrahim a.a ko yeh wahi bheiji k…
Aey mere dost…!
Husan e ikhlaaq ka brtao kro khwah kaafir k sath he kion na ho.
Jannat mein abraar k sath dakhil ho jao gy.
Ye mera faisal shuda kalma hy… Jo husan e ikhlaaq ka haamil ho ga… Usay arsh k saaey mein rakhun ga.
Or mein ousay zaheer e quds sy seiraab karon ga or ousay bilkul qareeb jaga don ga.
Allah k nazdeek is ke ehmiyat kis qadar hy k isay ikhtiyaar keya jaey…
Tou ous ka qurb, arsh ki sakoonat or abraar k sath dakhil ho ga.
Magr wo to wada kar rha hy zaheera e qudss ka Jo…
Malaika ka nizaam hy.
Is k mutabark pani sy sairaab keya jaye ga.
(subhanAllah)
Think about it.. !
Dil say dua :)
13


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 Alikoum
“Husan e ikhlaaq”
Hazrat Umar Farooq r.a ka frman hy…
“Logo ka martaba ikhlaaq k aitbar sy hy.”
Yahya bin maaz r.a razi ka qoal hy k…
“Ikhlaq ki wusat rizq ka khazana hy yani is k zariaye sy rizq mein barkat hoti hy”
Allah hamein aisay achay ikhlaaq apnanay ki tofeeq dy jo rizq mein barkat ka baais ban jaye.
Aameen
Dil sy dua :)
14


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 Alikoum
“Hussan e ikhlaaq”
Hazrat Aisha r.a sy marvi hy k..
Emaan k kamil honay ki ilamaton mein sy yeh hy k…
“Aadmi k ikhlaaq achay hon or apnay ghar walo mein mehrban or shafeeq ho”
Check your self…!!
Allah hmay kamil emaan wala bna day.
Aameen
Dil say dua :)
15


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *