Topic 21 : Zulm

*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
*Zulam*
kisi bhe moaamlay mein jaab hum apnay haq sy ziadaa laitay hain tou yeh zulam hota hy.
Zulam karna Allah ki narazge ka raasta hy.
Zulam karnay walay ko na tou Allah pasand karta haai or ne he Piyray AAQA S.A.WW pasand kartay hein.
Allah hamay zalim honay sy bacha lay.ameen
Dil sy dua :)
1


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
*”Zulam*”
Hazrat Abdullah bin salaam r.a ka biyan hy k
Jab Allah ny makhlok ko paida kea aur Apnay paon par kharre hui tou is nay sar outha k Allah ki taraf daikha aur araz keya
Aey Allah Too kis ka sath hai?
Allah nay farmyaa Main mazloom ka sath houn.
Think about it…!!
Dil sy dua :)
2


‘”Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
*Zulam*
Zalim ir Mazloom
Piyray AAQA S.A.WW nay farmaya…
”Jo shaks kisi mazloom ki madad k leay os ka sath chalay ga tou Allah baroz e qiymat jo qadmon k phisalnay ka din hai os k qadmon ko pull siraat par sabit qadam rakhay ga…
Or jo shaks zaalim k sath os k zulaam par oski madad karnay k laey jata hai tou qiymat k din os k qadam pull siraat par phisall jaein gay.
Allah hamein zulam karany or zaalim ka sath dainay sy apni panah mein rakhay.ameen.
Dil sy dua :)
3


“Ihsas ke kiran”
Asalam O alikoum
*Zulam*
Allah zaalim ko siraat e mustaqeem ki traff laotnay k leay os ki ras’ee daraaz karta hy or jabb wo is had tak pahonch jata hy k…
osay aagay janay ki ijazat nahi hote or na pechay hatnay k raasta tou wo Allah ki girift mein aa jata hy.
Hazrat Abu Mousa sy riwayat hy k piyraay AAQA S.A.WW ny farmya…
“Allah zaalim ko mouhlat daita hy aur jab wo is ko pakarr laita hy tou phir nahi chourrta”
So be carefull..!!
Dil sy dua :)
4


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum.
*Zulam*
Zulam do qisam ka hota hy… apne zaat par zulam or dosroun pa zulam.
Al Quran Surat Younas Aayat # 44
”Byshuk Allah logoun par koe zulam nahi karta balkay log apnay aap par zulam karty hain.”
Allah ki naimatoun par shukar adda na karna, or ounka ghalat istamal karna… khud pa zulam hy… jab k dosroun par zulam… oun ko oun k haqooq sy mahroom karna, oun par zulam karna hy.
Think about it…!!
Allah hamaay haar qisaam ka zulam sy batcha kaa Apne panah ata kaar dy.amen
Dil sy dua :)
5


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
*Zulam*
insan jaahil hy or wo apnay aap par os waqt zulam kar raha hota hy… Jab wo Allah k hukam k mutabik zindagi guzarnay ki bajaey nafarmani ka raasta ekhtiyaar karta hy…
Ye jaanaty hoay bhe k Allah ki nafarmaani karnay sy dunia mein bhe zellat or khuwaare hy or aakhrat mein bhe dardnaak azaab ho ga…. Jaahil insan khud par zulam karta hy Allah ke nafarmani kar k….
Allah hamay apna attaat guzaar banda banany ki toufiq ata karay.ameen
Dil sy dua :)
6


“Ihsas ke kiran
Asalam 0 alikoum
*Zulam*
Allah mazloom ke pukaar khasoosiyat k sath sounta hy or os ke madad farrmaty hy…
Hazrat Ibn e Abbas r.a sy riwayat hy ka AAP S.A.W.W ny jab Hazrat Ma’aaz r.a ko yaman ke taraf bhaija tou farmya k… Mazloom ke bad’dua sy bachna k is k or Rab k darmiyan koe hijaab o parda ya rukawat nahi… Is ke bad’dua qabool ho jate hy.
Allah hamay mazloum ka sath dainay ke taofeeq dy.ameen
Dil sy dua :)
7


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
*Zulam*
Insan dosroun par zulam tab karta hai jab wo firoun ban jata hai.
kamzour or bekason ki jaan o maal or izzat ko paamaal karta hy or kamzour k haqooq ghazab karta hy.
kisi ki majburi sy faida outhana or najaaiz treeqay sy maal jama karna zulam hy.
Jis par zulam ho raha hota hy Wo Allah k bhut qareeb hota hy kion k wo Allah sy fariyaad karta hy tou faoran Os tak punchatae hy.
Dil sy dua :)
8


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *