Tooic 22 : Tawakul

“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
*Tawakul*
Tawakul ka mafhoom ye hy k…
Apnay kaam ko Allah k hawalay kar do or dil ko mutmain rakho.
Tawakul k mani ye nahi k Allah k paida keay hoay asbaab ko chorr dain…
Balkay muraad ye hy k asbaab e ikhtiyariya ko ikhtiyar karein magar bharosa asbaab par karnay ke bajaey… Allah par karein k Jab tak Allah na chahay tou koe kaam nahi ho sakta.
Allah hamein tawakul ke samajh atta kar dy.ameen
Dil sy dua :)
1


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
*Tawakul*
Tawakuk k baray mein Allah kehta hy k…
“Allah par bharosa karo, Allah tawakul karnay walay ko pasand karta hy”
Tawakul Islam o emaan k buland aamaal o ahwaal mein sy hy, jis shakhs ka tawakul Allah k sath jisqadar ziada ho ga osi qadar wo maqaam e qurb par faaiz ho ga.
Allah hamein tawakul ke dolat atta kar k apna qurb atta kar dy.ameen
Dil sy dua :)
2


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
*Tawakul*
Hazrat Ans Bin Malik r.a sy riwayat hy k…
Aik aadmi Piaray Aaqa S.A.WW ke khidmat mein aaya or pocha k…
Ount baand doun or phir tawakul karon ya ount chorr doun or tawakul karon?
Aap S.A.WW ny farmaya k baandh do or phir tawakul karo.
Matlab ye k asbaab ko ikhtiyar kar k Allah par bharosa karay.
Think about it…!!
Dil sy dua :)
3


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
*Tawakul*
Al Quran Surat Toba
Aayat 129
“Mujhy Allah kafi hy, Os k siwa koe mabood nahi, main Osi par bharosa keay hoay hon or 2o arsh e azeem ka malik hy”
Aaj ka din isi dua k ihsas mein rehtay guzarnay ke koshish karein gy, Allah hamein is mein kamiyab karay.ameen
Dil sy dua :)
4


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
*Tawakul*
Piaray Aaqa S.A.WW ny farmaya k…
“Agar tum log Allah par tawakul rakho jaisa k tawakul rakhnay ka haq hy tou Allah tumhein is tara rozi pahonchaey ga k jis tara parindon ko pahonchata hy…
Jo subh bhokay hotay hein or shaam ko sair ho k aatay hein”
Think about it…!
Dil sy dua :)
5


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
*Tawakul*
Tawakul k 3 darjaat hein…
1. Tawakul karnay walay ka haal aisa ho jaey jaisay koe jhagrray mein aik chalaak wakeel ya rehnuma muqarar karta hy or os par mutmain ho jata hy.
2. Mutawakal ka haal os bachay ke tara hota hybjo har aafat mein apne maan k siwa kisi or ko nahi pukarta panaah k leay.
3. Mutawakal ka haal aisa hota hy jaisay ghusaal k samnay murday ka hota hy.
Allah hamein bhe aisa he tawakul atta karay.ameen
Dil sy dua :)
6


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
*Tawakul*
Tawakul ye nahi k banda hath par hath rakh k baitha rahay or sab kaam Allah par chorr dy or apnay ikhtiyar sy kuch mehnat na karay.
Saanp bichoo ya shair sy na bhagay or bemaar ho tou illaj na karay… ye sab ghalat hy ye tawakul nahi.
Allah hamein sacha tawakul atta karay.ameen
Dil sy dua :)
7


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *