Topic 23 : Tareef

*Ihsas ke kiran*
Asalam-o-alikoum
*TAREEF*
Agar koe hamari tareef kry tou os k nuqsanaat sy bachny k leay yeh sochna chahiye k, agar yeh shakhs mery oun amal or sochon sy waqif ho jaye jin pr Allah ny parda daal rakha hy tou yeh kabhe meri tareef na krta…
Is sy hamary dil mein sharmindgi aaye gi or Allah sy mohabat ka ehsas barhy ga k jo hamary aibon ko chhupa kr logon ki nazar mein hamein qabil-e-tareef bana daita hy.
Hazrat Ali r.a ki logon ny tareef ki tou Aap r.a ny arz keya,
“Aey Allah…!!
Yeh log jo kehty hein os k sabab meri poch na krna or jo nahi jaanty osy bakhsh daina or mujhy is sy behtar kr dy jo yeh samajhty hein”.
Allah hamein bhe yehi dua krny ki tofeeq ata kry.ameen
Dil sy dua :)
1


*Ihsas ke kiran*
Asalam-o-alikoum
*TAREEF*
Ziada tar hum apni tareef soun kr takabur mein aa jaty hein or khud ko dousron ki nisbat behtar samajhny lagty hein or khud ko mazeed behtar banany ki koshish kam kr daity hein.
Piary Aaqa S.A.WW ka frman hy k:
“Churri ly kr kisi k saamny jana is sy behtar hy k moun pr tareef ki jaye”.
Lakin jahan yeh nuqsan na ho or aajzi rakhny wala sacha momin ho tou wahan tareef darust hy kion k,
Piary Aaqa S.A.WW ny bohat baar Sahaba karam r.a.a ki tareef frmai or aik baar Hazrat Abu Bakar Sideq r.a sy frmaya:
“Sub logon k emaan ka Abu Bakar r.a k emaan sy muqabla kea jaye tou Abu Bakar r.a ka palrra bhari ho ga”
Dil sy dua :)
2


*Ihsas ke kiran*
Asalam-o-alikoum
*TAREEF*
Khiyal rahy k ham jis ki tareef kr rahy hein wo zalim na ho kion k,
zalim tareef par khush hota hy.
Jab k zalim ko khush krna darust nahi hy kion k, Piary Aaqa S.A.WW ka frman hy k,
“Log jab zalim ki tareef krty hein tou Allah ko oun pr ghussa aata hy”.
So be careful…!!
Allah hamein zalim k zulm sy or zalim ban,ny sy apni panah ata kry. Ameen
Dil sy dua :)
3


*Ihsas ke kiran*
Asalam-o-alikoum
*TAREEF*
Aik shakhs ny Piaray Aaqa S.A.WW sy kisi ki tareef ki, Aap S.A.WW ny frmaya:
“Afsos k too ny os ki gardan marorr de.
Phir frmaya:
kisi ki zaroori tareef krni ho tou is tarah kehna chahiye k…
mera ilm yeh hy aagay Allah behtar jaanta hy.”
Try it…!
Zindagi k har moamly k leay kitny piar sy hamary Piary Aaqa S.A.WW ny hamein samjhaya hy.
Allah hamein aisy he krny ki tofeeq ata kr dy.ameen
Dil sy dua :)
4


*Ihsas ke kiran*
Asalam-o-alikoum
*TAREEF*
Jab bhe hum kisi ki be-ja tareef krty hein tou…
Hum aisi batein bhe os k saath mansoob kr daity hein jis ka hamein ilm he nahi hota k, haqeeqat mein yeh shakhs aisa hy bhe ya nahi…
Or aisa kr k hum sy jhoot sar-zad ho jata hy.
Think about it…!
Dil sy dua :)
5


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *