Topic 24 : Takabur

“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
*Takabur*
Agar ham khud par zara ghaor karein k…
Hamare is duniya mein paidaaish ka aaghaaz aik ganda qatra…
Or hamare aakhir…
Mattii mein milli hoe chand boseeda hadiyan…
Or is darmiyani arsay mejn jisam sy jahan jahan sy jo jo khaarij hota hy… wo sara kitna ganda or ghatiya hota hy tou ham kabhe takabur na karein.
Magar afsoos k ham sochtay he nai.
Ab sochiye ga…!!
Dil sy dua :)
1


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
*Takabur*
Maal O Daolat ka takabur…
Duniya k maal o dolat ke waja sy dosron par apne barraai ka ihsas hona or logon k sath moaamlaat or baaton mein is maal o dolat ka zikar fakhriya karna.
Hamein yaad rakhna chahiye k…
Hamaray Piaray Aaqa S.A.WW ny farmaya k…
“Kisi arbi ko ajmi par or kisi ajmi ko arbi par koe fazeelat nahi hy, agar hy tou sirf taqwa ke buniyaad par”
Allah hamaray dillon mein maal o dolat sy ziada taqwa ke fazeelat daal dy.ameen
Dil sy dua :)
2


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
*Takabur*
Husan o jamaal ka takabur…
Ye hamaray andar tab aata hy jab ham kisi shakhs k jismani aazzaa rangat, libaas ya chaal dhaal k muwaablay mein khud ko behtar samajhtay hein.
Piaray Aaqa S.A.WW ny farmaya…
“Aik shakhs naaz o nakhray sy chal raha tha, os ny khubsurat libass pahen rakha tha or wo apnay aap ko gharoor sy daikhta tha.
Allah ny os ko zameen mein dhansa deya wo ab tak dhansta chala ja raha hy or qiamat tak is ke yahi surat rahay ge”
Khud ko check karein…!!
Kahein ham bhe tou aisa he nahi kar rahay…??
Dil sy dua :)
3


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
*Takabur*
Ibadat or ilam ka takabur…
Piaray Aaqa S.A.WW ny farmaya k…
“Baaz log aisay hein k Quran ke tilawat tou bohat kartay hein laikin Quran in k halaq sy neechay nai outarta or daawa in ka ye hota hy k… kon hy jo hamare tara tilawat kar sakta hy or hy koe jo in baaton ko jaanay jinhein ham jaantay hein.
Wo log tum mein sy he hon gy yani Mere ummati hon gy laikin jo koe bhe hon gy bahar hal dozkhi he hon gy”.
Think about it…!!
Dil sy dua :)
4


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
*Takabur*
Ilam ka takabur…
Asal ilam wo hy jo insan ko Allah ke azmat or barrai sy aashna karay.
Laikin agar kisi shakhs k andar ilam ke waja sy he apne barrai ka ihsas paida ho or wo doaron k janwar samjhay tou ye ilam ka takabur kehlaey ga.
Check our self.. !!
Allah hamein ilam k takabur ke pehchan atta karay ta k ham is sy bach sakein.ameen
Dil sy dua :)
5


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
*Takabur*
Allah farmata hy k…
Takabur karnay walon ka bohat bura thikana hy or dozakh mein is wisam k aatsheen sandooq hein jon mein matakabareen ko band keya jaey ga.
Allah is aziyat naak buraai sy bachaey.ameen
Dil sy dua :)
6


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
*Takabur*
Hazrat Abdullah Bin Salaam r.a aik bar bazar sy guzray…
In k sar par lakrrion ka gatha tha… kisi ny pocha k ye kion outha rakha hy jab k Allah ny aap ko mustagna kar deya hy…??
Farmaya… main ny chaha k apnay aap sy takabur dour kar doun.
Think about it…!!
Ham takabur paaltay hrin ya dour karnay ke koshish kartay hein…??
Dil sy dua :)
7


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
*Takabur*
Takabur ye hy k…
Haq baat ko qabool na karna or khud ko sab sy behtar khiyal karna.
Ye wo gunaah hy jis ny sab sy pehlay shaitaan ko tabaah keya…
Is gunaah sy naimaton k chinn janay ka andeisha hota hy.
Dil sy dua :)
8


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
*Takabur*
Allah farmata hy k…
“Or zameen mein itraatay hoay na chalo, tim na tou zameen ko pharr sako gy or na he paharron ke bulandi ko pahoncho gy”
(Bini Israeel Ayat 37)
Check our self…!!
Allah hamein zameen par akarr k chalnay ke bajaey or aajzi atta karay.ameen
Dil sy dua :)
9


“Ihsas ke kiran”
Asalam 0 alikoum
*Takabur*
Deen o duniya k kisi bhe moaamlay mein apnay aap ko behtar or dosron samajhna takabur kehlata hy.
Takabur Allah ko sakaht napasand hy or ye kabeera gunaah hy.
Think about it…!!
Dil sy dua :)
10


* Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
* Takabur.*
Takabur ham apne anna ke wajah sy karty hein wrna agar koe naimat hasil hy to wo Allah ke traf sy hy or Allah ka kram hy to phir kisi ke atta ke hoe nemat ya cheez par kaisa takbur…??
Koe sift koe naimat hmare dastras mein nahi balkay Allah jis ko jo chahta hy atta krta hy or jb chahay cheen laita hy is leay kisi bhe naimat par takabur ke bajaey shukar adda karty rehna chahiye.
Try it…!!
Allah hmein takabur sy bacha kar shukar ke tofeeq atta frmaey.ameen
Dil sy dua :)
11


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *