Topic 25 : Amanat

*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Amaanat”
Amaanat… aman o amaan sy hy… is leay amaanat ka haq wohi adda kar sakta hy jo emaan wala ho.
Hazrat Huzaifa r.a sy riwayat hy k…
Piaray Aaqa S.A.WW ny farmaya k
“Amaanat jald he outha le jaey ge or log is tara baiat kar k (emaan) laa rahay hon gy k in mein koe bhe amaanat adda karnay wala na ho ga.
Bulky ye kaha jaey ga k… falaan bani mein aik shakhs ameen hy”
Allah hamein emaan wala bana dy.ameen
Dil sy dua :)
1


*Ihsas ke kiran0*
Asalam 0 alikoum
“Amaanat”
“Musaman dosray musalman k mala izzat o aabru ka muhaafiz hy”
Agar koe musalman dosray musalman k mala izzat o aabru par nazar rakhta hy tou ye khiyanat hy.
Quran pak mein hy k jab azeez e misar ke bevi ny Hazrat Yousaf a.a ko warghlana chaha tou Aap bhag gaey
*Surat Yousaf Aayat 52*
“Ye is leay k Azeez ko maloom ho jaey k main ny is ke ghair maojudgi mein is ke koe khiyanat nai ke or beshuk Allah khiyanat karnay walay k makar o faraib ko kamiyaab nahi honay daita.”
Allah sab k maal or izzat o aabru ko sharr sy mehfooz rakhay.ameen
Dil sy dua :)
2


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Amaanat”
“Aolaad bhe amaanat hy”
Waldain ye samajhtay hein k aolaad malkiyat hy… jab k aolaad tou waldain k pass Allah ke amaanat hy or waldain ke zimadari hy k Allah k hukam k mutabik aolaad ke tarbiyat karein.
Alkah karay k waldain aolaad ko Allah ke amaanat samajh kar behtareen tarbiyat ke zimadari adda karein.ameen
Dil sy dua :)
3


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Amaanat”
“Zindagi bhe amanat hy”
.Hamare zindagi bazaat e khud Allah ke amaanat hy.Ham bandon ko takleeq karnay ka maqsad sirf Allah ke attaat or Allah k ehkamaat par amal kar k is ke bandagi mein rehna hy.
Agar ham is zindagi ke amanat ko nafs kr shaitaan ke pairve mein guzartay hein tou is amaanat mein khiyanat ho ge.
Kion na aaj ham apne is zindagi par nazar daalein k agar kal ham sy is amaanat k baray mein pocha geya tou…???
Dil sy dua :)
4


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Amaanat”
*Maal ke amaanat*
Agar koe shakhs kisi k pass apna maal amaanat k taor par rakhta hy laikin wo is mein khurd burd karay ya is k pochay bina istamaal karay ya is ke adaaigi mein bahanay banata rahay tou ye maal ke khiyanat kehlaaey ge.
Maal ke khiyanat ziada tar maal o daolat ke muhabat ke waja sy sarzad hoti hy.
Think about it…!!
Dil sy dua :)
5


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Amaanat”
“Jismaani aazza bhe amaanat hein”
Jismani aazza bhe hamaray pass Allah ke amaanat hein… kion k inhein kisi maqsad k leay ata keya geya hy.
Aankh kaan naak zaban or hath paoun weghira ko Allah k hukam k tahet istamaal karna zarori hy, laikin ham in ko apna samajhtay hoay Allah k napasandeeda kaamo mein or in aazza k maqsad e atta k khilaaf istamal kartay hein tou ye khiyanat hy.
Sochiye ga zaror…!!
Dil sy dua :)
6


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Amaanat”
*Logon k haqooq*
Piaray Aaqa S.A.WW ny farmaya k…
“Jis shakhs ko Allah ny logon ka haakim banaya ho or wo in k haqooq mein kiyanat karay tou Allah is par jannat haraam kar dy ga”
Haakin e aalla k illawa bhe ham mein sy har shakhs kahein na kahrin kuch logon par haakim hy… jaisay nokron par, aolaad par, maatahet par, khaawid or bevi par… ham jon logon par bhe hakim hein… in k haqooq ke adaaigi sy ghaafil ho jana khiyaanat hy.
Check our self..!!
Dil sy dua :)
7


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Amaanat”
*Deen ka ilam amaanat hy*
Allah ny deen ke samajh or ilam jin logon ko atta keya hy… wo ilam or samajh in logon k pass dosray logon ke amaanat hy or in par is amaanat ka haq waajib hy k wo is ilam ko bina kisi ghaflat, zaati gharz or bina laalach k dosron tak pahonchaein…
Try it…!!
Allah hamein deen ke jo samajh or ilam atta karna tou sath he is amaanat ko doaron tak phailanay ke taqat or himmat bhe atta karna.ameen
Dil sy dua :)
8


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Amaanat”
*Baat bhe amaanat hy*
Kisi ke baat bhe amaanat ka darja rakhti hy agar kisi ka koe raaz maloom ho jaey tou is ko logon k saamnay na kholein warna khiyanat kar rahay hon gy.
Agar kisi baat k leay kaha jaey k kisi sy na kehna tou wk bhe amaanat ka darja rakhti hy…
Kisi moaamlay mein koe mashwara ly tou is ko logon mein phailana bhe khiyanat hy.
Think about it…!!
Allah hamaray dillon ko wusat atta karay k ham kisi ke baat ko amanay samajh kar apnay tak he rakhein.ameen
Dil sy dua :)
9


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *