Topic 27 : Munafiqat

“Ihsas ke Kiran”
Asalam o alikoum :-)
*Munafqat*
Hazrat Abdullah bin Umru r.a sy riwayat hy k 4 batein jis mein hon ge wo khalis munafiq hy…
Or jis mein in charon mein sy aik baat hoge tou (bhe) os mein aik baat nafaaq ke (zaroor) hy ta waqt e k os ko chor na dey.
(Wo 4 batein ye hein)

1. Jab aameen banaya jaye tou khayanat karay.
2. Jab bat karay tou jhoot bolay.
3. Jab wada karay tou wada khilafi karay.
4. Jab larray tou behooda goe karay.
(Sahi Bukhari o Muslim)
Check our self…!!
Allah hamein munafiqon mein shamil honay sy bachaye.ameen
Dil sy Dua :)
1


“Ihsas ke Kiran”
Asalam o alikoum
*Munafqat*
Jab hamaray zahir ka amal or batin ke niyat aik na hon tou wo munafqat kehlati hy…
Yani Munafqat zahir or batin k darmian farq ya in k aik na honay ka naam hy.
Zara Sochiye….!!
Kahin hamaray zahir o batin mein bhe farq tou maojood nahi…??
Dil sy Dua :)
2


“Ihsas ke Kiran”
Asalam o alikoum
*Munafqat*
Munafiq shakhs ka har amal naa khalis hota hy. Os mein sirf or sirf dikhawa ya matlab wabasta hota hy or wo amal kartay hoay osay or koe sar o kar nahi hota.
Ghaor karen…!!
Dil sy Dua :)
3


“Ihsas ke Kiran”
Asalam o alikoum
*Munafqat*
Munafiq shakhs samjhta hy k wo doosron ko dhoka dy raha hy magar asal mein tou wo khud ko dhoka deta or sab sy zaida nuqsan khud uthata hy…
Kion k munafqat karnay walay ko na tou dunia walay pasandeedgi ke nigah sy dekhtay hein or naa he wo apnay amal k na khalis pan ke waja sy Allah k sath apna talouq mazoot bana paata hy.
So be careful…!!
Dil sy Dua :)
4


“Ihsas ke Kiran”
Asalam o alikoum
*Munafqat*
Apna jaaiza laitay hoay…
Jab hamein apnay rawaiyon or amal k zahir o baatin k farq ka ihsas ho jaye tou ham kia kartay hein.. ??
Osay khaalis kartay hein ya…??
Sochiye…!!
Dil sy Dua :)
5


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *