Topic 28 : Zid

“Ihsas ke Kiran”
Asalam o alikoum
*Zid*
Hamari kisi bhe tara ke Zidd dar asal tou hamari ana ka izhar hy…
Apni kisi chahat k ko pathar par lakeer samjhna…
ya kisi bhe moamlay mein apnay maouqaff par arr jana ham apni shan samjhtay hein… Hamein na tou os waqt Allah k bandon ko hamari os zidd ke wajah sy paohanchnay wali takleef ya nuqsan ka ihsas hota hy or na he hamaray leay ye zarori hota hy k is zidd ke wajah sy Allah or hamaray talouq par kia farq parray ga…
Think about it….!
Dil sy Dua :)
1


“Ihsas ke Kiran”
Asalam o alikoum
*Zid*
Zidd kartay waqt hamein na tou apnay achay bouray ka farq yaad rehta or na he ham os waqt Allah ke marzi ko faoqiyat dena eham samjhtay hein…
Hamein hamari anna or zaat os waqt zidd kar k wo hasil karnay ke taraf raghib karti hy jis k anjam sy ham khud bhe bekhaber hotay hein.
Aisa he hota hy na…??
Dil sy Dua :)
2


“Ihsas ke Kiran”
Asalam o alikoum :-)
*Zid*
Hamaray andar apni pasand ko tarjeeh dena… apni marzi ko muqadam samjhna…
Or apni chahat k darust honay par akkarr jana bhe zidd kehlata hy.
Think about it…!!
Dil sy Dua :)
3


“Ihsas ke Kiran”
Asalam o alikoum
*Zid*
Jab bhe ham choti barri kisi hajat k leay Allah k samnay dua mein paish hotay hein…
Tou hamara kam sirf ye hona chahiye k ham Allah k samnay apni hajat rakh dain or Osi par chorr dain k…
Wo os hajat ko jaisay or jab chahay poora farmaey…
Magar ham aam taor par aisa nahi kartay balkay ham dua mein bhe alfaz ko zidd ke soorat bana k Allah k samnay paish kartay hein. Kion k ham chahtay hein k dua mein paish ke gae hamari hajat bhe hamari chahat or marzi k moutabiq poori ho. Is ke wajah ye bhe hoti hy k hamein Allah sy zaida apnay par yakeen hota hy.
Zara sochiye…!!
Kia hamein aisa zidd krna zaib daita hy….?
Dil sy Dua :)
4


“Ihsas ke Kiran”
Asalam o alikoum
*Zid*
Ham ny Allah k hukam k tabay reh kar he zindgi guzarni hoti hy.
Magar zindgi k maomlat mein Allah k hukam par amal ke bajaye jab ham apni zidd par arr jatay hein or maomlat ko apni marzi sy dhaalnay, badalnay ya apni pasand ka rukh dainay ke koshish kartay hein tou ye aik tara sy Allah k faislay mein dakhal andazi karna or Allah k faislay sy pehloo tahee karna hy.
Jab ham har tara sy zorr azmai krtay hoay apnay tamam asbab ba roo e kaar laa kr moaamlat ko apni zidd k moutabiq dhaal kar baad mein apni isi zidd ke waja sy nuqsan outhatay hein tou tab bhe apni ghalti man’nay ke bajaye…
Allah ko oska zimadar thehra daitay hein. Halan k wo sarra sar hamari apni zidd ka nateeja hota hy.
Sochiye…!!
Dil sy Dua :)
5


“Ihsas ke Kiran”
Asalam o alikoum
*Zid*
Hamein ilm hy k hamari zindgi mein jo acha hota hy wo Allah k karam or meharbani ke wajah sy hota hy or jo nuqsan ham uthatay hein wo hamary amal ka nateeja hota hy.
Allah ke marzi maan lena hamaien hamysha falah k rasty par aagay barhata hy.
Is k bawajood bhe ham na Allah ke mantay hein or na zidd sy baz aatay hein… Or youn na sirf dunia mein nuqsaan uthatay hein balkay akhrat k leay bhe khasaray ka soda kar laitay hein…
Allah hamein apni zidd sy nijat dy or dunia or akhrat k nuqsan sy bachaye.ameen
Dil sy Dua :)
6


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *