Topic 29 : Nafrat

“Ihsas ke Kiran”
Asalam o alikoum
*Nafrat*
Nafrat hamary andar aik manfi jazbay ya ihsas ka naam hy.
Nafrat ka aaghaaz na pasanseedgi sy hota hy or aahista aahista ye na pasandeedgi barrh kar nafrat mein badal jati hy.
Ham Allah k ihsas sy ghafil ho kar jab Allah k bandon k sath moaamlaat k hawalay sy zatiyat mein phanstay hein tou nafratein barrhti hein or dushmani o adaawat janam laiti hy.
Allah hamein nafrat jaisay jazay sy dil ko pak rakhnay ke taofeeq ata farmaye.
Aameen
Dil sy Dua :)
1


“Ihsas ke Kiran”
Asalam o alikoum
*Nafrat*
Allah ny hamein hukam dea hy k… Allah ke ras’si ko mazbooti sy thaam lo or aapas mein taffarqa na dalo.
Agar ham ghor karen k Allah ke ras’si hy kia… tou ihsas hoga k darasal ye ras’si Allah tak paohanchnay ka zariyaa hy.
Or agar dekha jaye tou Allah k banday he wo ras’si hein jin sy piar hamein Allah tak paohanchata hy.
Jab dil mein Allah sy muhabat ka ihsas utarta hy tou Allah sy muhabat OS k bandon sy bhe muhabat ke tarf raaghib karti hy or yehi Allah ke ras’si agar mazbooti sy thamay rahein tou ye hamein Allah tak ly jati hy or ham taffarqay mein nahi parrrtay…. Yani aapas mein nafraton ko farogh nahi millta balkay muhabat ke fiza qaim rehti hy.
Zara Sochiye….!
Kia ham apas mein tafarqay daal kr or Allah k bandon sy nafrat rakh kar Allah tak paohanch saktay hein…?
Dil sy Dua :)
2


“Ihsas ke Kiran”
Asalam o alikoum
*Nafrat*
Nafrat aik manfi jazba zaroor hy magar Allah is tara k manfi jazbay ko bhe bina kisi maqsad k nai banaya.
Shaitan k phailey hoay jaal mein phans kar ham bahot se buraion mein phanstay or boht sy gunah kartay hein.
Agar ham burai or gunah sy nafrat karen tou hamaray leay hidayat ke raah khud bakhud khulnay lagti hy. Kion k bourai or gunah sy nafrat he hamein bhalai ke taraf ly ka jati hy.
Agar ham bourai sy nafrat na karen tou oske wajah sy ham musalsal nuqsan uthatay hein or hamein ihsas tak nai hota.
Aaj ghor karein k kia…
Ham nafrat k is jazbay ko bourai sy khud ko nijat dillanay k leay istamal kartay hein ya nai…?
Dil sy Dua :)
3


“Ihsas ke Kiran”
Asalam o alikoum
*Nafrat*
Ham aik aisay deen k man’nay walay hein jo sulah joe, bhai charay or muhabat ka paigham deta hy.
Jab ham dillon mein kadoorten paal kar, nafrat ke aag mein jaltay hein tou aik doosray k leay asani ka sabab ban’nay ke bajaey…
ham aik dosray k leay muskhilaat paida kartay hein or youn aik musalman baraadri k taor par bhe mil joul kar rehnay sy bhe qasir ho jatay hein.
Aapas mein bhai bhai ban kar rehna muhaal hota hy.
Allah hamein aapas ke nafraten khatam kar k mil joul kar rehnay ke taofeeq ata karay.ameen
Dil sy Dua :)
4


“Ihsas ke Kiran”
Asalam o alikoum
*Nafrat*
Nafrat… muhabat ke zidd hy.
Nafrat ke aag jungle ke aag ke tara phelti hy.
Aik fard k dill mein bahrrakti aag doosray fard ko apni lapait mein leti hy or youn ye barrhti or phelti he jaati hy…
Or is aag mein sab hamaray amaal jo akhrat mein hamari nijaat ka sabab banein gay wo sab kuch jall k raakh ho jata hy.
Zara sochiye…!!
Kia ham bhe isi nafrat ke aag mein jaltay hoay apna akhrat ka samaan tou jala kar raakh nahi kar rahay….?
Dil sy Dua :)
5


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *